Friday 12 February 2016

Zamane Nooh (a.s) Ka Azaab

Imam Reza(as) se raavi ne pucha ke kya wajah thi jo Allah ne zamane Nooh (a.s) me saari dunya ko garq kar diya, haalaa'nke un garq hone walo me bacche bhi the jinka koi Gunaah na tha ??

I.Reza(as) ne farmaya : Unme koi baccha na tha, isliye ke Allah ne Qaum-e-Nooh ke sulbo'n aur unki aurto'n ko 40 saal pehle hi se Aqeem aur Baanjh bana diya tha. Aur unki Nasl munqata ho chuki thi, unme koi baccha na tha. Allah ye kabhi nahi karta ke apne Azaab se kisi aise ko halaak karde jiska koi gunaah nahi. Aur baaqi Logo'n ko Allah ne garq isliye kiya ke woh Nabi-e-Khuda (H.Nooh) ki takzeeb (jhoot bolne ka ilzaam lagaana) kar rahe the. Aur tamam log isliye garq hue ke woh takzeeb karne walo ki takzeeb par raazi-o-khush the aur jo shaks kisi kaam me shareek na ho magar wo us par raazi ho, to woh bhi aisa hi hai jaise woh is kaam me shareek tha.

📚 Elul al Sharaaye 📖 Pg.22(23)

No comments:

Post a Comment