**********************************
♦NE'MAT♦
★Quran
1. Surah Baqarah: 201 - 202
(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)
(وَمِنْهُمْ مَنْ يَقُولُ رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ * أُولَٰئِكَ لَهُمْ نَصِيبٌ مِمَّا كَسَبُوا ۚ وَاللَّهُ سَرِيعُ الْحِسَابِ)
"Aur kuchh Bande aise bhi hain jo Dua karte hain ke 'Aye mere Palnewale mujhe Duniya mein NEMAT de aur Akherat mein Sawab de aur Dozakh ki Aag se bacha.
Yehi woh log hain jin ke liye unke Aamaal ka hissa hai aur Allah Ta'ala Jald Hisab lene wala hai."
2. Surah Baqarah: 211
(سَلْ بَنِي إِسْرَائِيلَ كَمْ آتَيْنَاهُمْ مِنْ آيَةٍ بَيِّنَةٍ ۗ وَمَنْ يُبَدِّلْ نِعْمَةَ اللَّهِ مِنْ بَعْدِ مَا جَاءَتْهُ فَإِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ)
"Bani Israel se poochha to ke Hamne unhe jis qadr roshan nishaniyan ata farmayin aur jo Shakhs Allah Ta'ala ki NE'MATON ko apne pas pahunch jane ke baad badal dale (wo jan le) ke Allah Ta'ala bhi Sakht Azaab denewala hai."
----------------------------------------------
MORAL OF THE DAY ....!!!!!!!!
Duniya ki NEMAT se murad Ilm hai aur Akherat ke Sawab se murad Bahisht hai.
★Hadith
1. Rasoole Khuda (sa):
"Jis Shakhs ko Shukr Guzar dil aur Zikre Khuda karnewali zaban aur Imaandar Zauja mile Jo uske Deen aur Duniya ke kaamon mein madad kare to use Duniya aur Akherat ki Neki mil gaye."
2. Hazrat Dawood (as):
"Ya Rab! Kis tarah Tera SHUKR ada karu'n, jab ke Teri ne'mato'n par Shukr adaa karna bhi ek Ne'mat hai JISKA Shukr zaroori hai."
(Sharh Dua e Kumail)
3. Allah (swt):
"Ya Dawood! Agar tum YE jaan lo ke JO BHI NE'MAT tumhare paas hai wo Meri (Allah ki) taraf se hai, wohi Mera SHUKR hai."
(Sharh Dua e Kumail)
4. Imam Ali (as):
"Farzande Adam! Jab gunaaho'n ke bawajood Parwardigaar ki ne'matein lagaataar tujhe milti rahein to KHABARDAAR ho jana."
(Nahjul Balagah)
5. Imam Baqir (as):
"Allah ki taraf se ne'mat ki zyaadati (excess of bounties) munqata (cut off) nahi hoti jab tak bande ki taraf se SHUKR munqata na ho jaye."
(Mishkaat ul Anwaar)
6. Rasule Khuda (saww):
"Jise Allah kisi Ne'mat se nawaaze usay ALHAMDULILLAH kehna chahiye aur jiske Rizq mein taakhir (delay) ho jaaye usay bahut zyada ASTAGFIRULLAH kehna chahiye."
(Meezan ul Hikmah, v4)
7. Rasule Khuda (saww):
"Kisi ko DAKAAR (belch) aaye to aasman ki taraf mu'nh NA uthaaye. Dakaar Allah ki ek Ne'mat hai. Dakaar ke baad ALHAMDULILLAH kahe."
(Tehzibul Islam)
----------------------------------------------
No comments:
Post a Comment