1. Imam Sajjad (as):
Jab Haji Qurbaani ka jaanwar zibah karta hai, to ye uski taraf se Jahannum ka fidya ban jaata hai.
(Wasaail ush Shia, v10, p88)
2. Riwaayat:
Ek martaba H. Ummul Momeneen H. Salma Rasule Khuda (saww) ki khidmat mein haazir huwi aur arz kiya, "Ya Rasulallah (saww), Qurbaani ka din aa pahuncha lekin mere paas Qurbaani ka jaanwar kharidne ke liye raqam nahi hai, to kya main qarz lekar Qurbaani karu'n?"
Aap ne farmaya, "Qarz le lo aur oos qarz ko Allah ki taraf se adaa-shuda samjho."
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v2, p290)
3. Imam Reza (as):
Agar Allah ne Dumbe (sheep) se behtar koi cheez paida ki hoti to oosi ko Janabe Ismail (as) ka fidya qaraar deta.
(Wasaail ush Shia, v17, p52)
4. Imam Sadiq (as):
Tumhari Qurbaani ke jaanwar mote hone chahiye, kyun ki Imam Baqir (as) is cheez ko mustahab jaante the ke Qurbani ka jaanwar mota ho.
(Wasaail ush Shia, v10, p100)
5. Riwaayat:
Rasule Khuda (saww) Qurbani ke din 2 mendhhe (sheep) zibah karte the, ek apni taraf se aur doosra apni ummat ke oon logo'n ki taraf se jo qurbani nahi kar sakte. Aur Ameerul Momeneen (as) 2 mendhhe (sheep) zibah karte the, ek apni taraf se doosra Rasulallah (saww) ki taraf se.
(Furoo e Kafi, v4, p422)
6. BACHCHO'N KE HAATHO'N SE QURBANI KARWANA MUSTAHAB HAI
Imam Sadiq (as):
H. Ali ibne Husain (Imam Sajjad) (as) bachche ke haath mein chhuri pakadwaate the aur phir zaabeh (zibah karne wala shakhs) uske haatho'n par haath rakh-kar jaanwar ko zibah karta tha.
(Wasaail ush Shia, v10, p119)
7. Rasule Khuda (saww):
Apni Qurbani ke zibah ke waqt haazir raho, kyun ki jab Qurbani ke jaanwar ke khoon ka pehla qatra zameen par girta hai to uski barkat se Khuda har gunaah aur har lagzish (galati) maaf kar deta hai…
(Wasaail ush Shia, v10, p120)
8. Imam Reza (as):
Nabi e Akram (saww) par Durood / Salwaat bhejna har maqaam par zaruri hai; chhi'nk ke waqt aur jaanwar ko zibah karne ke waqt bhi Durood Shareef padhna chahiye.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p39)
No comments:
Post a Comment