Wednesday 3 February 2016

Bachho ko Talim

1. Imam Ali (as):
Bachche ka maa-baap par ye haq hai ke uska achcha naam rakhein, achchi tarbiyat karein aur Quran padhaayein.
(Aasmani Nasihatein, v2, p123)

2. Imam Sadiq (as):
Bachche ko 7 saal tak khelne do aur doosre 7 saal usay adab (manners / eqituette / shishtachaar) sikhayein aur teesre 7 saal oos se kaam lene mein madad lein. Agar ye tarbiyat ke 3 maraahil muassir (effective / asar-kaarak) huwe to tumhara bachcha kaamyaab hai aur agar kuchh asar na huwa to wo be-tarbiyat hoga.
(Aasmani Nasihatein, v2, p124)

3. Rasule Khuda (saww):
Jab bachche 7 saal ki umr ke ho jaayein to unhe alag alag sulaana chahiye.
(Aasmani Nasihatein, v2, p126)

No comments:

Post a Comment