1. Imam Ali (as):
Insaan jis kaam ko anjaam dena chaahe to usay chahiye ke BISMILLAH kahe aur jo kaam Allah ke naam se shuru ho wo Mubarak / barkat-wala hai.
(Tafseer e Namoona, v1, p50)
2. Rasule Khuda (saww):
Jiske din ki shuruaat Ilm haasil karne se hoti hai uspe Farishte saaya karte hain, uski Kamaai mein Barkat hoti hai aur uski Rozi mein zara bhi kami Nahi aati.
(Rizq)
3. Rasule Khuda (saww):
Jo Nek kaam karta hai uske ghar ki taraf Barkatein oos se bhi zyada tezi ke saath pahu'nchti hai jitni tezi se paani ka dhaara apni dhhalaan tak pahunchta hai….
(Man La Yahzarahul Faqih, v2, p42)
4. Rasule Khuda (saww):
Apne ghar waalo'n par Salaam karo, tumhare ghar mein barkat hogi.
(Hadiyat ush Shia, p27)
5. Imam Ali (as)
farmate hain ke Rasule Khuda (saww) ne unhe taalim di ke jab bhi naya libaas (new dress) pehno to kaho, "Hamd hai Oos Khuda ki Jisne ye libaas mujhe pehnaya jo logo'n ke darmiyaan iftekhaar ki alaamat hai. Khudaya, is libaas ko mere liye baais e Barkat bana de ke main ise pehen kar Teri riza talab karu'n aur Teri Masaajid ko aabaad karu'n". H. Ali (as) farmate hain ke Rasule Khuda (saww) ne farmaya, "Jo koi is tarah kisi libaas ko pehnega to uske gunaho'n ko maaf kar diya jayega".
(Amaali - Shaikh Sadooq, p254)
6. Rasule Khuda (saww):
Sabse ba-barkat maut shohda (martyrs) ki hai.
(Hadiyat ush Shia, p42)
7. Imam Sadiq (as):
Koi banda e Momin MOHTAAJ agar Khuda se kehta hai "Aye mere Rab, mujhe Rizq ataa farmaa taaki main fulaa'n fulaa'n neki aur umoor e khair anjaam doo'n", to Allah uski niyyat ki sachchai maalum kar ke usko wo ajr ataa farmata hai jo uske kaam karne par deta hai. Beshak, Allah Wus'at wala aur Kareem hai.
(Al Kaafi, v3, p331)
6. DULHAN KI BARKAT
i) Rasule Khuda (saww):
Jab DULHAN tumhare ghar mein daakhil ho jaaye to baithne ke baad uske paao'n se jootiyaa'n utaaro, uske dono paao'n dho aur oos paani ko ghar ke darwaze se ghar ke aakhir tak chhidko. Pus, jab tum ye amal kar loge to Khuda Wande Aalam tumhare ghar se 70000 qism ki mukhtalif naadari aur faqeeri ko baahar nikaal dega aur 70000 barkatein daakhil karega aur phir 70 Rehmatein Dulhan par naazil farmayega aur ye Rehmatein ghar ke har kone tak phail jayengi aur Dulhan jab tak is ghar mein rahegi wo Diwana, Juzaam aur Bars jaise marz se mehfooz rahegi. (Man La Yahzarahul Faqih, v3, p358)
(Nawaadirul Ahadees, v1, p146)
ii) Rasule Khuda (saww):
Sab se ba-barkat Aurat wo hai jiske akhrajaat (expenses) sab se kam ho.
(Hadiyat ush Shia, p8)
8. SADQA
i) Imam Ali (as):
Daulat ki barkat Sadqe mein hai.
(Tajalliyat e Hikmat, ch Sadqa)
ii) Rasule Khuda (saww):
Sadqa diya karo aur apne Beemaro'n ka ilaaj Sadqe se kiya karo.. Sadqa dene se tumhari Umr aur Nekiyo'n mein Barkat hoti hai.
(Sharh Dua e Kumail)
iii) Rasule Khuda (saww):
Jo banda haraam maal kamata hai aur oos se Sadqa deta hai to usay uspar koi ajr o sawaab nahi milta. Jahaa'n usay kharch karta hai oos se wahaa'n koi barkat nahi hoti aur agar usay apne pichhe chhor deta hai to wo Jahannum ke liye uska zaad e raah hota hai.
(Meezan ul Hikmah, v6, p41)
No comments:
Post a Comment