Wednesday, 10 February 2016

Aalim e Deen: Hadith

Allah (swt) Shaheed Sheikh al-Nimr ko gareek e Rehmat kare aur jawaar e Ahlebait (as) mein jagah inaayat farmaye

Imam Sadiq (as):
Shaitaan ki liye Aalim e Deen ki Maut har Momin ki Maut se zyada mehboob hai.
(Usool e Kaafi, v1, p82)

Imam Ali (as):
Kameeno'n ki hukumat shareefo'n ka liye aafat hai.
(Hadiyat ush Shia, p46)

Rasule Khuda (saww):
Allah zaalim ko mohlat deta rehta hai yahaa'n tak ke jab usay pakaddta hai phir dhheel nahi deta.
(Irshadaat e Masumeen (as), p16)

Imam Ali (as):
Aalim Zinda hota hai bhale hi wo Mar gaya ho.
(Tajalliyaat e Hikmat, ch Aalim)

Imam Kazim (as):
Jab koi Momin Faqeeh mar jaata hai to Farishte uske liye rote hain aur zameen ke wo hisse rote hain jin par usne Allah ki Ibadat ki ho.
(Usool e Kaafi, v1, p83)

Imam Husain (as):
Jiska madad-gaar Khuda ke alaawa koi na ho to khabardaar, uspar zulm na karna.
(Guftaar e Dil Nasheen, p99)

Imam Ali (as):
Hukumat ki baqaa (survival) Adl mein hai.
(Hadiyat ush Shia, p45)

Imam Sadiq (as):
Jo shakhs Zaalim se uske zulm karne ka bahana qubool kare, to Allah uspar aise shakhs ko musallat farma dega  jo uspar zulm kare.
(Meezan ul Hikmah, v5, p892)

Imam Ali (as):
Sultanat kufr ke saath to baaqi reh sakti hai magar zulm ke saath baaqi nahi reh sakti.
(Irshadaat e Masumeen (as), p17)

Rasule Khuda (saww):
Zulm se zyada jaldi kisi gunaah ki sazaa nahi milti.
(Hadiyat ush Shia, p39)

No comments:

Post a Comment