★KHANA KHAANE MEIN, GHAR MEIN AUR RIZQ MEIN BARKAT
1. Imam Ali (as):
Agar Barkat chaahte ho to khana khaane ke liye jab baithho to haath zaroor dho lo, chaahe pehle se saaf hi kyun na ho'n.
(Tibb e Imam Reza (as), p55)
2. Imam Sadiq (as):
Khana khaane se pehle jab haath dhoya karo to rumaal, wagairah se mat saaf kiya karo kyun ki jab tak haath mein tari (gilaa-pan / wetness) rehti hai, khaane mein barkat rehti hai.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p84)
3. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs chahta hai ke uske ghar mein khair o barkat ho to aise shakhs ko khana khaane ke waqt Wuzu karna chahiye.
(Aasmani Nasihatein, v2, p138)
4. Imam Ali (as):
Garm khaane ko thhanda hone diya karo kyun ki J. Rasule Khuda (saww) ke paas jab garm khana laaya jaata tha to aap farmaya karte the ke thhanda hone do, Allah Ta’ala ne hamara khana aag nahi banaya hai aur thhande khaane mein barkat bhi hoti hai.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p77)
5. Imam Reza (as):
Roti chhoti chhoti pakaao, ke isme har giroh ke liye barkat hai.
(Tibb e Imam Reza (as), p49)
6. Rasule Khuda (saww):
Jab koi khana khaaye aur apni ungliyaa’n chaatt le to Allah Ta’ala uske Rizq mein barkat dega.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p78)
7. Imam Ali (as):
…Aye Kumail! Jab khana khaane baithho to usay tuul do (prolong / zyada deyr tak baithho) taaki tumhare saathi bhi peyt bhar kar kha le. Aye Kumail! Jab khana kha chuko to Allah ki Rozi par uski Hamd o Sanaa karo aur ba-awaaz e buland karo taake doosre bhi uski Hamd karein is tarah tumhara Ajr (sawaab) zyada hoga. Aye Kumail! Apne peyt ko khaane se na bharo balke usme paani aur saa'ns lene ki gunjaaish rakho.
(Wasaail ush Shia, v16, p324)
★KHANA KHAANE MEIN BARKAT
1. Imam Ali (as):
Jism ki quwwat khana khaane mein hain aur Ruuh ki quwwat khana khilaane mein hain.
(Miskhat ul Anwaar)
2. Rasule Khuda (saww):
Jism ki giza khana khana aur Ruuh ki giza khana khilana hai.
(Meezan ul Hikmah, v5)
3. Imam Reza (as):
Jo shakhs Sakhi (generous) hota hai wo logo'n ka khana khaata hai taaki log bhi uska khana khayein aur jo kanjoos hota hai wo logo'n ka khana is liye nahi khaata taaki log bhi uska khana na khayein.
(Wasaail ush Shia, v16, p326)
4. Imam Reza (as):
Mard 4 qism ke hain: Sakhi, Kareem, Bakheel aur Laeem. Sakhi wo hai jo khaata hai aur deta hai. Kareem wo hai jo khud nahi khaata aur doosro'n ko deta hai. Bakheel (Kanjoos) wo hai jo khud khaata hai aur doosro'n ko nahi deta. Laeem wo hai jo na khud khaata hai aur na auro'n ko deta hai.
(Jaame ul Akhbaar, p195)
5. Rasule Khuda (saww):
Dozakh mein kam se kam darje ka azaab 'Ibne Jaz'aan' ko milega, is liye ke wo logo'n ko khana khilaya karta tha.
(Meezan ul Hikmah, v2, p276)
6. Imam Ali (as):
Juud o Sakhaawat Khaane mein hai na ke Maal mein. Lihaza, jo kisi ko 1000 (dinaar) bhi de de magar khaane ki plate se rok de to wo Sakhi nahi hai.
(Tajalliyaat e Hikmat, ch102)
7. Rasule Khuda (saww):
Parhez-gaaro'n ko apne dastar-khwaan par khana khilaao aur Momeneen se husn e sulook rakho.
(Hadiyat ush Shia, p28)
8. Imam Sadiq (as):
Jab tumhara (Deeni) bhai (bin bulaaye) aaye to usay wo kuchh pesh karo jo tumhare paas maujood hai aur agar usay daawat di hai to phir uske liye takleef (tayyari) karo.
(Wasaail ush Shia, v16, p330)
9. Rasule Khuda (saww):
Apne mehmaan ke saath khana khaane baitho, kyun ki wo akele khaane mein sharm mehsoos kar sakta hai.
(Nahjul Fasaha)
10. Imam Sadiq (as):
Rasule Khuda (saww) (ka ye dastoor tha ke wo) jab mehmaano'n ke saath khana khaate the to sabse pehle haath badhate the (sab se pehle khana shuru karte the) aur sab se aakhir mein haath uthhate the (sabse aakhir mein khana khatm karte the) taaki log (tasalli se) khaayein.
(Wasaail ush Shia, v16, p340)
11.MOMIN KE GHAR MEIN ACHCHI TARAH AUR KHUSH HO KAR KHANA CHAHIYE AUR ZYADA KHANA CHAHIYE AUR KISI QISM KI KOTAAHI AUR SHARM NAHI KARNA CHAHIYE
Imam Sadiq (as):
…Kisi shakhs ki kisi se dosti ka pataa is baat se chalta hai ke wo uske yahaa'n khush ho kar khana khaata hai..
(Wasaail ush Shia, v16, p333)
12. Imam Sadiq (as):
Oomda khana khilaao, apne dosto’n aur saathiyo’n ko bulaao aur unke saath khaao aur khilaao.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p72)
13. Riwayat:
Imam Sadiq (as) aksar oomda rotiyaa’n, behtareen firni aur lazeez halwa logo’n ko khilaya karte the aur kaha karte the ke jab Allah Ta’ala hamare liye faraakhi karta hai (zyada nawazta hai) to hum bhi faraakh dili se logo’n ko khilaate hain aur jis waqt kam mayassar aata hai, oos waqt hum bhi oosi ke mutaabiq kharch karte hain
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p71)
14. Imam Sadiq (as):
Halaakat hai oos aadmi (mezbaan) ke liye ke wo jo kuchh apne bhai (mehmaan) ko pesh kare usay haqeer (kam aur halke darje ka) samjhe aur halaakat hai oos (mehmaan) ke liye jo usay haqeer samjhe jo kuchh usay pesh kiya jaaye.
(Wasaail ush Shia, v16, p329)
15. Imam Baqir (as):
Allah ki bargaah mein sab se pasandida amal ye hai ke Momin ko khush kiya jaaye uski shikam-seyri kar ke (usay peyt bhar ke khana khila ke) ya uska qarz adaa kar ke.
(Wasaail ush Shia, v16, p335)
16. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs kisi Momin ko khana khilaaye to Roz e Qayamat uski Jazaa (reward) ko koi nahi jaan sakta hai..
(Tauba Aagosh e Rehmat)
17. Imam Sadiq (as):
Ek mard e Musalman ko khana dena mere nazdeek 10000 gulaam azaad karne se behtar hai.
(Al Kaafi, v4, p120)
18. Imam Sadiq (as):
Agar main tumhare bazaar se 5 dirham ka khana khareed kar ke kuchh Musalmano'n ko khilaaoo'n to wo mere liye ek gulaam azaad karne se zyada pasandida hai.
(Al Kaafi, v4, p121)
19. Imam Baqir (as)
se puchha gaya ke Gulaam azaad karne ke masaawi (baraabar / equivalent) aur kya hai? Farmaya, "Ek mard e Musalman ko khana khilaa dena".
(Al Kaafi, v4, p121)
20. Imam Baqir (as):
Allah ki bargaah mein sab se pasandida amal ye hai ke Momin ko khush kiya jaaye uski shikam-seyri kar ke (usay peyt bhar ke khana khila ke) ya uska qarz adaa kar ke.
(Wasaail ush Shia, v16, p335)
21. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs kisi Momin ko khana khilaaye to Roz e Qayamat uski Jazaa (reward) ko koi nahi jaan sakta hai..
(Tauba Aagosh e Rehmat)
22. Imam Sadiq (as):
Jo kisi MOMIN ko Allah ki khaatir Khana khilayega to usay ek laakh logo'n ko khana khilaane ka sawab milega.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal)
23. Imam Sadiq (as):
Jo kisi Momin ko Mithhai ka Ek luqma khilaega to Allah oos se Roz e Qayamat ki talkhi (kadwaahatt) duur karega.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal)
24. Riwayat
hai ke agar koi Ek Laakh dirham kharch kar ke khana tayyar kare magar EK HI Momin haazir ho kar khana khaye (to mezbaan ka) Israaf (fuzool kharch) karne waalo'n mein shumaar nahi'n hoga.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p161)
25. Imam Sadiq (as):
Jo kisi Momin ko Allah ki khaatir KHANA KHILAEGA to usay EK LAAKH logo'n ko khana khilaane ka sawab milega.
(Sawaabul Aamaal)
★DIKHAAWE/SHOW-OFF) KI KHAATIR KHANA KHILANA
25. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Riya (dikhaawe / show-off) ki khaatir logo'n ko khana khilaaye Khuda usay utni hi Jahannum ki peep khilayega aur uske riya-kaari wale khaane ko uske peyt mein Jahannum ki aag banayega jab tak logo'n ke darmiyaan faisle farmayega.
(Wasaail ush Shia, v16, p343)
26. Rasule Khuda (saww):
Jo logo'n ko dikhaane ke liye kisi ko khana dega to Allah usay Jahannum ka Sadid khilayega; jo pyet mein jaate hi aag ban jayega.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal)
★MISKEEN/FAQEER KO KHANA KHILANA
27. Rasule Khuda (saww):
Miskeeno'n / faqeero'n ko wo Khana mat do jo tum khud nahi khaate.
(Nahjul Fasaha)
28. Rasule Khuda (saww)
se ek shakhs ne puchha ke kya maal mein Zakaat ke siwa aur bhi kuchh haq hai? Aap ne farmaya, “Haa’n. Musalmano’n ko chahiye ke jab koi bhooka sawaal kare to usay khana khilaaye, jab barehna libaas maange to usay kapda pehnaye.” Usne kaha, “Darr rehta hai ke wo shayad jhoot bolta ho.” Aap ne farmaya, “Ye bhi to khauf e Khuda hona chahiye ke wo sach bolta ho."
(Jaame ul Akhbaar, p241)
No comments:
Post a Comment