Tuesday 31 May 2016

FAMILY LIFE IN ISLAM

FAMILY LIFE IN ISLAM

1. Imam Sadiq (as):
Rozi aurato'n aur Ahl o Ayaal (family) ke saath hai.
(Wasaail ush Shia, v14, p65)

2. Imam Kazim (as):
Insaan ke Ahl o Ayaal (family) uske aseer o qaidi hain. Pus, jisko Allah Ta’ala apni ne’mato’n se nawaaze usko laazim hai ke apne qaidiyo’n (family members) ke kharch mein izafa kare. Agar aisa na karega to zyada imkaan (possibility) iska hai ke wo ne’mat oos se chhin jaaye.
(Man La Yahzarahul Faqih, v3, p349)

3. Imam Sadiq (as):
Mal’oon hai, mal’oon hai wo shakhs jiske aehl o ayaal (family members) ko tangi mein basar kare.
(Man La Yahzarahul Faqih, v3, p360)

4. Rasule Khuda (saww):
Wo shakhs hum mein se nahi jise Allah ne wasee (bahut zyada) Rizq ataa kiya ho aur wo ayaal (family) ke liye kanjoosi kare.
(Hadiyat ush Shia, p39)
 
5. Rasule Khuda (saww):
Husn e sulook (achcha bartaav) oon logo'n se shuru kare jo aap ke ayaal (family members) hain.
(Man La Yahzarahul Faqih, v4, p296)

6. Rasule Khuda (saww):
Tum mein se behtareen wo hai jo apne ahl o ayaal (family) ke liye achcha ho.
(Hadiyat ush Shia, p40)

7. H. Luqman:
Samajhdaar aadmi ko chahiye ke wo apne ghar mein narm-andaaz bachche ki tarah sulook kare aur apne sakht (tough) mardana andaaz ko baahar ke kaamo'n ke liye rehne de.
(Islamic Morals)

8. Riwayat
hai ke jab Sa'ad ibne Ma'az ko dafn kar diya gaya to Rasule Khuda (saww) ne farmaya, "Usay Fishaar e Qabr ho raha hai". Arz kiya gaya, "Kis liye?" Aap (as) ne farmaya, "Is liye ke uska akhlaaq apne mutalliqeen (family members) ke saath achcha nahi tha". Banda bad-akhlaaqi ki ba-daulat Jahannum ke nichle tabqe tak ja pahu'nchega.
(Meezan ul Hikmah, v3, p296)

*JAB KE*

9. Imam Sadiq (as):
Rasule Khuda (saww) ne Sa'ad bin Ma'az par Namaz e janaza padhi to aap ne farmaya, "70,000 Farishto'n ne - jinme Jibreel e Ameen (as) bhi the - inki Namaz e janaza mein shirkat ki hai." Rasule Khuda farmate hain ke main ne Jibreel (as) se is shirkat ki wajah poochhi ke kis wajah se wo Malaika ki namaz padhne ka mustahaq huwa hai? Jibreel (as) ne kaha, "Sa'ad uthh'te baith'te, paidal chalte ya sawaar hote aur chalte phirte Surah Tauheed (Surah Qul HuWallah) ka wird karte the".
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p423)

10. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs ma'ash (Rozi) ki talaash mein sharm se kaam nahi leta, uske akhrajaat (expenses / kharche) mein kami aur haalaat mein aasaani hoti hai aur uske ahl o ayaal (family members) ne'mato'n se behramand honge (faayde mein rahenge).
(Meezan ul Hikmah, v4, p234)             

11. Rasule Khuda (saww):
Mal'oon hai, mal'oon hai wo shakhs jo apna aur apne Aehl o Ayaal (biwi bachcho'n) ka bojh doosro'n par daale aur mal'oon hai, mal'oon hai jo apne bachcho'n ko nazar-andaaz (ignore) kare.
(Furoo e Kafi, v3, p137)

12. Imam Kazim (as):
Ghar ke sarbaraah mard (head of family) ko chahiye ke wo apne ahl o ayaal (family) ka hamesha khayaal rakkhe. Kahi'n aisa na ho ke wo uski maut ki tamanna karein.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p138)

13. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs apne ghar pahu'nche aur apne Ahl o Ayaal (family members) ko Salaam kare to uske ghar mein Barkat hogi aur Farishto'n ko oos ghar se oons (attachment) ho jaayegi.
(Tehzeeb ul Islam, p431)

14. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs apne Ahl o Ayaal (family) ko (khaane ke dastarkhwan par) ikattha kare aur khaane ki ibteda mein 'Bismillah' padhein aur ikhtetaam par Allah ki Hamd o Sanaa karein to dastarkhwan uthhaane se pehle unke gunah maaf ho jaate hain.
(Wasaail ush Shia, v16, p322)

15. Rasule Khuda (saww):
Insaan apne haatho'n se apni Family ke istemaal ki cheezo'n ko uthaaye, is tarah wo Takabbur (Pride) se bacha rehta hai.
(Meezan ul Hikmah, v8)

16. Imam Baqir (as):
Jab koi shakhs Safar se waapas aaye to munasib hai ke apne ghar-waalo'n ke liye kuchh Tohfe laaye chahe wo ek patthar hi ho.
(Tehzibul Islam)

17. Rasule Khuda (saww):
Jo koi bazaar se apne Ahl o Ayaal (family) ke liye tohfa laaye to ye Sadqa dene ke sawaab ke barabar fazilat rakhta hai. Usay chahiye ke ye tohfa wo sabse pehle apni BETI ko de kyun ki jo apni beti ko khush karega to goya usne farzandaan e Ismail (as) mein se kisi Momin ko Raah e Khuda mein azaad karvaya aur jo koi apne Bete ki aa'nkhein raushan karega to ye aisa hai ke jaise Khauf e Khuda mein rone ke barabar sawaab le aur jo koi Khauf e Khuda mein girya kare Behisht mein pur-ne'mat hoga.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p542)

18. Imam Sadiq (as):
Wo jo buzurgo'n ki izzat nahi karta aur bachcho'n par rahem nahi karta, wo hum mein se nahi hai.
(150 Dars)

19. Rasule Khuda (saww):
Apne Ahl o Ayaal (family) ke liye Juma ke din kuchh phal (fruit) aur gosht pesh karo taaki wo Juma ka din aane se khush ho.
(Wasaail ush Shia, v5, p76)

20. Imam Baqir (as):
Jo shakhs logo'n ke saamne apni zaruriyaat pesh karne se bachne ke liye apne ahl o ayaal (family) ke liye mehnat ki garaz se aur padosi par meherbaani karne ke liye duniya ko talab karta hai wo ba-roz e Qayamat Allah Ta'ala se is haalat mein mulaqat karega ke uska chehra chaudhvi'n raat ke chaand ki tarah raushan hoga.
(Meezan ul Hikmah, v4, p235)

21. Rasule Khuda (saww):
Apne ahl o ayaal (family) ki khidmat ya to Siddiq karta hai ya Shahid, ya phir wo shakhs Allah Tabaarak o Ta'ala jiski duniya aur Akherat ki bhalaai chahta hai.
(Meezan ul Hikmah, v4, p508)  

22. Imam Sadiq (as):
H. Ali (as) lakdiyaa'n ikatthi karte, paani khai'nch kar laate aur ghar mein jhaadu dete the. Jab ke J. Fatima (sa) aata peesti thi aur Roti pakaati thi.
(Wasaail ush Shia, v12, p66)

(READ TILL THE END)

23. Imam Ali (as):
Ek roz J. Rasule Khuda (saww) hamare yahaa'n tashreef laaye. J. Fatima (sa) haandi ke paas baithhi thi aur main tanoor (bhatti / tandoor) saaf kar raha tha. Aap ne farmaya, "Aye Abul Hasan (as), meri baat suna aur jo kuchh main kehta hoo'n hukme Khuda se kehta hoon. Jo apne ghar ke karobaar mein apni Biwi ki madad karega, to Khuda uske jism ke har baal ke badle aisi ek saal ki Ibadat ka sawaab ataa karega jiske dino'n mein Roza rakha ho aur raato'n ko Ibadat ki gayi ho; aur Khuda usko saabereen ka sawaab bhi bakshega; aur J. Dawood (as), J. Yaqoob (as) aur J. Isa (as) ka sawaab ataa farmaega. Aye Ali (as), jo shakhs apne biwi bachcho'n ki khidmat se sharm nahi karega to Allah uske har ek qadam par Hajj aur Umrah ka sawaab ataa farmaega. Aur uske jism mein rago'n (nass / vein) ki tadaad ke barabar Jannat mein sheher ataa farmaega. Aye Ali (as), EK LAMHA apne ghar ka kaam karna behtar hai 1000 baras ki Ibadat, 1000 Hajj, 1000 Umrah, 1000 gulaam azaad karne, 1000 Jihaad karne aur 1000 mareezo'n ki ayaadat karne, 1000 Juma padhne, 1000 Janaaze mein shareek hone, 1000 bhooko'n ko khana khilaane, 1000 barehna (nivastra / unclothed) ko libaas pehnane, 1000 ghodey (horses) raah e Khuda mein dene, aur 1000 dinaar oo'ntt gareebo'n ko sadqa dene, Taurait aur Zaboor aur Quran ke padhne, 1000 Qaidi azaad karne aur 1000 oo'ntt (Qurbaani ke) miskeeno'n ko dene se. Aisa aadmi duniya se na uthhega jab tak apna makaan Jannat mein na dekh le. Aye Ali (as), jo koi khidmat e ayaal (family) se mu'nh nahi moddta, wo be-hisaab Jannat mein daakhil hoga. Aye Ali (as), khidmat e ayaal gunahaan e kabira ka kaffara hai, Khuda ke gazab ko khamosh karne wala kaam aur Hoor ul Ein ka meher hai. Is se darajaat aur hasanaat (degrees aur goodness) mein zyadati hoti hai. Aye Ali (as), khidmat e ayaal wohi karta hai jo siddiq aur shaheed ho ya wo jise Allah duniya aur Aakherat mein behtari dena chahta ho".
(Jaame ul Akhbaar, p177)

Rishtedaar
24. Imam Ali (as):
Mohabbat ko rishtedaari ki itni zarurat nahi hoti jitni rishtedaari ko mohabbat ki hoti hai.
(Meezan ul Hikmah, v2)

Rishtedaar
25. Imam Hasan (as):
Qareebi wo hota hai jise Mohabbat qareeb kar de chahe Rishta duur ka ho aur Duur wo hota hai jise Mohabbat duur kar de chahe Rishta qareeb ka ho.
(Meezan ul Hikmah, v2)

26. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs kisi beemar ki haajat ya zarurat poori karne ke liye koshish kare, chaahe oos kaam mein wo kaamyaab ho ya na ho, wo gunaho'n se aisa paak o pakiza ho jaayega jaise maa ke peyt se paida huwa bachcha, chaahe wo beemar uske ghar ka fard (family member) hi kyun na ho.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p159)

27. Imam Sadiq (as):
Apne bachche ko hukm do ke wo apne haath se roti ka tukda ya mutthi bhar anaaj ya koi aur cheez, chaahe kam hi kyun na ho, raah e Khuda mein Sadqa diya kare.
(Meezan ul Hikmah, v8)        

28. Rasule Khuda (saww):
Insaan ka apne ahl o ayaal (family) ke paas baithhna, Allah ke nazdeek meri Masjid mein Etekaaf karne se behtar hai.
(Hadiyat ush Shia, p24)

29.Imam Ali (as): the
(Khabardaar) Apni mashguliyat (samay) zyada-tar apne ahl o ayaal (family) mein mabzool (focussed) na rakho, kyun ke tere ahl o ayaal agar Khuda ke dost hai to Khuda apne dosto'n ko zaaye aur barbaad nahi karta aur agar wo log Khuda ke dushman hai to tumhari mashguliyat aur tumhari tawajjoh dushmanaan e Khuda ki taraf kyun ho?
(Guftaar e Dil Nasheen, p67)

30. Holy Quran:
Aye Imaan walo'n! Tumhara maal aur tumhari aulaad tumko Khuda ki yaad se gaafil na kare aur jo aisa karenge to wohi log ghaate mein rahenge.
(Surah Munafiqoon, Ayat 9)

31. Holy Quran:
Aur yaqeen jaan lo ke tumhare maal aur tumhari aulaad tumhari aazmaish ki cheezein hain (ke jo unki mohabbat mein bhi Khuda ko na bhoole wo Deen'daar hai) aur yaqeenan Khuda ke paas badi mazdoori (ajr) hai.
(Surah Anfaal, Ayat 28)

Monday 11 April 2016

Bhai (Brother)

1. Imam Reza (as):
Bada bhai baap ki jagah par hota hai.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p145)

2. Rasule Khuda (saww):
Insaan apne bhai ke zariye taaqat-war banta hai.
(Hadiyat ush Shia, p10)

3. Imam Baqir (as):
Jis ne apne bhai ki ziyarat ki (mulaaqat ki) uske ghar jaa kar to Allah farmata hai ke tu Mera mehmaan aur Mera zaair (Meri Ziyarat karne wala) hai, teri mehmaani Mere upar hai aur Maine Jannat ko tere liye waajib kiya is liye ke tu apne bhai se mohabbat karta hai.
(Al Kaafi, v4, p81)

4. Imam Ali (as):
Apne bhaiyo'n ki mulaqaat - agar che thodi deyr ke liye ho - bahut bada ajr (sawaab) rakhti hai.
(Al Kaafi, v4, p85)

5. Imam Baqir (as):
Jab tum mein se koi apne bhai se miley to chahiye ke Salaam kare aur Musafeha kare. Allah ne is Musafeha se Malaika ko mukarram (ba-izzat / honourable) banaya hai. Pus tum bhi wo karo jo Malaika karte hain.
(Al Kaafi, v4, p88)

6. Imam Sadiq (as):
Koi mard e Momin apne bhai ke haq mein kisi qism ki neki kare to yaqeenan usne Rasule Khuda (saww) se neki ki hai.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p70)

7. Rasule Khuda (saww):
Jab tumhe tumhare bhai ki zarurat ki khabar miley to usay uski zarurat kehne ki takleef na do. (kehne se pehle uski zarurat poori kar do)
(Meezan ul Hikmah)

8. Rasule Khuda (saww):
Jo apne bhai ki Ek pareshani duur kare, Allah uski Akherat ki pareshani duur karega.
(Hadiyat ush Shia, p18)

9. Imam Sadiq (as):
Jo khushnudi e Khuda ke liye apne bhai ko khana khilaata hai aisa hai jaise ek laakh logo'n ko khana khilaya hai.
(Al Kaafi, v4, p120)

Sunday 10 April 2016

ZABAAN

1. Imam Baqir (as):
Tumhara farz hai ke jo jaante ho kaho aur jo na jaante ho oos se zabaan bandh rakho.
(Irshadaat e Masumeen (as), p52)

2. Imam Ali (as):
Zabaan ki maar talwaar ki maar se zyada sakht hai.
(Jaame ul Akhbaar, p156)

3. Rasule Khuda (saww):
Insaan ki balaayein uski Zabaan se janam leti hain.
(Meezan ul Hikmah, v8, p802)

4. Imam Ali (as):
Wo baat jo Dil se nikalti hai Dil mein jaa kar hi thheherti hai aur agar ye baat sirf zabaan se nikli hogi to kaano'n se aage na badh paayegi.
(Tajalliyaat e Hikmat, p415)

5. Imam Ali (as):
Apni zabaan ki tezi ukse khilaaf istemal na kar jisne tujhe bolna sikhaya aur na apne baat ki balaagat uske khilaaf jisne tujhe seedhi raah dikhaayi.
(Meezan ul Hikmah, v1)

6. Imam Sajjad (as):
Zabaan ka haq ye hai ke usay gaali galoch se mehfooz rakho aur usay nek aur shaaista baat kehne ka aadi banao, usay ba-adab banao…. (The right of the tongue is that you consider it too noble for obscenity, accustom it to good, force it to politeness...)
(Risalatul Huqooq¸ ch Zabaan ka Haq)

7. Imam Ali (as):
Zabaan ka zakhm naizo'n ke zakhm se zyada shadeed hai.
(Aasmani Nasihatein, v2, p186)

8. Imam Ali (as):
Jaan lo ke Zabaan kaatne wala kutta hai. Agar usay khula chhor doge to kaatt khayega.
(Meezan ul Hikmah, v8, p803)

Wednesday 23 March 2016

Dua Translation

Imam Mahdi (atfs):
Parwardigaar! Tujh ko Tujh se sargoshi karne waalo’n ka waasta, khushki aur samandar mein rehne waalo’n ke haq ka waasta, Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par Apni Rehmat naazil farma, Momin o Momenaat ke fuqra (gareebo’n) ko maaldaari aur kushaada-dasti marhamat farma, Momin o Momenaat ke beemaro’n ko shifa o sehat o raahat ataa kar, Momin o Momenaat mein jo zinda hain unpar Apna lutf o karam farma, Momin o Momenaat ke murdo’n par Apni Maghferat aur Rehmat naazil farma, Momino Momenaat ke gareebo’n (musafiro’n) ko salamati aur (maal) ganimat ke saath unke watan pahuncha. (In saari Duao’n ko) Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) ke sadqe mein qubool farma.
(Aqwaal  14 Masumeen (as), p245)

1. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Uske (Apne Wali e Amr (atfs) ke) zariye hum bikhro'n ko jamaa kar de, uske zariye hamare jhagde khatm kar, aur hamari pareshani duur farma. Uske zariye hamari qillat ko kasrat aur zillat ko izzat mein badal de. Uske zariye humein naadaar se tawangar farma aur hamare qarz adaa kar de. Uske zariye hamara faqr (ghareebi) duur farma, hamari haajatein poori kar aur tangi ko aasaani mein badal de. Uske zariye hamare chehre raushan kar aur hamare qaidiyo'n ko rihaai de. Uske zariye hamaari haajat bar la aur hamare waade nibha de. Uske zariye hamari Duaein qubool farma aur hamare sawaal poore kar de. Uske zariye duniya o Aakherat mein hamari ummeedein poori farma aur humein hamari khwaish se zyada ataa kar. Aye sawaal kiye jaane-waalo'n mein sab se behtareen aur aye sab se zyada ataa karne waale!
(Dua e Iftitaah)

2. Rasule Khuda (saww):
Tu Khaaliq hai aur main makhlooq hoo'n. Tu Maalik hai aur main mamlook hoo'n. Tu Parwardigaar hai aur main Tera banda hoo'n. Tu Raaziq hai aur main Rizq paane wala hoo'n. Tu ataa karne wala hai aur main maangne wala hoo'n. Tu sakhawat karne wala aur main kanjoos hoo'n. Tu quwwat wala aur main kamzor hoo'n…
(Dua e Yastasheer)

3. Imam Baqir (as):
Aye Maabud! Is Dua ke waaste se ataa farma, gareeb Momeneen o Momenaat ko maal o mataa, beemar Momeneen o Momenaat ko tandurusti aur zinda Momeneen o Momenaat par lutf  o karam farma. Aur murda Momeneen o Momenaat par bakshish o rehmat farma. Aur musafir Momeneen o Momenaat ko salaamati o Rizq ke saath gharo'n mein waapas la, Apni Rehmat se, Aye sab se zyada Rahem karne waale.
(Dua e Simaat)

4. Imam Sajjad (as):
Mere Allah! Rahem farma mujh par jab mere paas jaan na rahe, Tere huzoor bolne mein jab meri zabaan goongi ho jaaye aur Tere sawaal par meri aql gum ho jaaye. Pus, meri sabse badi Ummeed-gaah! Mujhe oos waqt na-ummeed na kar, jab meri haajat sakht ho, mujhe naadani par duur na farma, meri kam-sabri par mehroom na rakh, meri haajat ke mutaabiq ataa kar aur meri kamzori par rahem farma.
(Dua e Abu Hamza Shumaali)

5. Imam Husain (as):
Aye Maabud! … Main hoo'n jisne buraayi ki, main wo hoo'n jisne khataa ki, main wo hoo'n jisne bura irada kiya, main wo hoo'n jisne nadaani ki, main wo hoo'n jisne bhool ki, main wo hoo'n jo chook gaya, maine khud par etemaad kiya, maine na-daanista gunah kiya. Main wo hoo'n jisne waada kiya, main wo hoo'n jisne waada-khilaafi ki, maine ahed todda, main hoo'n jo iqraar karta hoo'n aur eteraaf karta hoo'n Teri ne'mato'n ka jo mujhe mili hai aur mere paas hai. Mujh par gunaho'n ka bojh hai. Pus, mujhe maaf kar de.
(Dua e Arafa)

6. Imam Sajjad (as):
Mere Maabud! Agar Tu mujhe Jahannum mein daalega to isme Tere dushmano'n hi ko khushi hogi aur agar Tu ne mujhe Jannat mein daakhil kiya to isme Tere Nabi (saww) ki masarrat hogi. Aur qasam Ba-Khuda! Main ye jaanta hoo'n ke Tujhe Apne dushman ki nisbat Apne Nabi (saww) ki khushi manzoor hogi.
(Dua e Abu Hamza Shumaali)

7. Dua:
Aye Maabud! Tera fazl mera sahara hai aur Teri Rehmat o bakshishein meri ummeed hai. Mera koi amal aisa nahi jis se main Jannat ka haqdaar banu'n aur na Ibadat hai ke jo Teri khushnudi ka baais ho, siwaaye iske ke main Teri Tauhid o Adl par eteqaad rakhta hoo'n aur Tere fazl o ehsaan ki ummeed rakhta hoo'n. Aur Tere huzoor Tere Nabi (saww) aur unki Aal (as) ki shafa'at laaya hoo'n.
(Dua e Adeela)

8. Imam Mahdi (atfs):
Hamd (taarif) hai Allah ki jise pukarta hoo'n, to Wo jawaab deta hai aur meri burayi ki parda-poshi karta hai. Main Uski na-farmani karta hoo'n to bhi mujhe badi badi ne'matein deta hai ke jinka badla main Usay nahi deta. Pus, Usne mujh par kitni hi khush-gawaar inaayatein aur bakshishein ki hai. Kitni hi khatarnaak aafato'n se mujhe bacha liya hai, kayee hairat-angez khushiyaa'n mujhe dikhaayi hai. Pus, in par Uski Hamd o Sanaa karta hoo'n aur lagataar Uska naam leta hoo'n.
(Dua e Iftitaah)

9. Imam Sajjad (as):
Aye Maabud! Jab bhi main kehta hoo'n ke main aamada aur taiyar hoo'n aur Tere huzoor Namaz padhne ko khada hota hoo'n aur Tujh se munajaat karta hoo'n, to mujhe oo'ngh aa leti hai. Jab ke main Namaz mein hota hoo'n aur jab main Tujh se raaz o niyaaz karne lagu'n to oos haal mein bar-qaraar nahi rehta. Mujhe kya ho gaya? Main kehta hoo'n ke mera baatil saaf hai. Main Tauba karne waalo'n ki sohbat mein baithh-ta hoo'n aise mein koi aafat aa padd-ti hai jis se mere qadam dagmaga jaate hain aur mere Teri huzoor ke darmiyaan koi cheez aadd ban jaati hai. Mere Sardaar! Shayad ke Tu ne mujhe Apni bargaah se hattka diya aur Apni khidmat se duur kar diya hai. Ya shayad Tu ne dekha ke maine Tujh se mu'nh pher liya hai to mujhe bura samajh liya. Shayad Tu ne dekha ke main jhooto'n mein se hoo'n, to mujhe mere haal par chhor diya. Ya shayad, Tu dekhta hai ke main Teri ne'mato'n ka shukr adaa nahi karta to mujhe mehroom kar diya hai. Ya shayad Tu ne mujhe Ulema ki majlis (gathering) mein nahi paaya to oos bina par Tu ne mujhe zaleel kar diya hai. Ya shayad Tu ne mujhe gaafil dekha to uspar mujhe Apni Rehmat se maayus kar diya hai. Ya shayad Tu ne mujhe bekaar ki baatein karne waalo'n mein dekh to mujhe unhi mein rehne diya. Ya shayad, Tu meri Dua ko sun'na pasand nahi karta to mujhe parey kar diya. Shayad Tu ne mujhe mere jurm o gunah ka badla diya hai. Ya shayad maine Tujh se hayaa karne mein kami ki, to mujhe ye sazaa mili.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

10. Imam Mahdi (atfs):
Hamd (taarif) hai Allah ki jise pukarta hoo'n, to Wo jawaab deta hai aur meri burayi ki parda-poshi karta hai. Main Uski na-farmani karta hoo'n to bhi mujhe badi badi ne'matein deta hai ke jinka badla main Usay nahi deta. Pus, Usne mujh par kitni hi khush-gawaar inaayatein aur bakshishein ki hai. Kitni hi khatarnaak aafato'n se mujhe bacha liya hai, kayee hairat-angez khushiyaa'n mujhe dikhaayi hai. Pus, in par Uski Hamd o Sanaa karta hoo'n aur lagataar Uska naam leta hoo'n.
(Dua e Iftitaah)

11. Imam Ali (as):
Pus, Aye Parwardigaar! Is subah ko mere liye Noor e Hidayat aur Deen o Duniya ki salaamati ki haamil bana kar naazil farma. Aur is raat ko dushmano'n ki makkaari se meri dhhaal aur halaak kar dene waali hawas ki sipar bana de.
(Dua e Sabaah)

12. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Uske (Apne Wali e Amr (atfs) ke) zariye se hamare sino'n ko shifa de aur hamare dilo'n se bugz keena mitaa de. Jis Haq mein hamara ikhtelaaf hai, Apne hukm se uske zariye humein hidayat ataa farma. Beshak, Tu jise chaahe seedhe raaste ki taraf le jaata hai. Uske zariye Apne aur hamare dushman par humein galba ataa farma. Aye sachche Khuda, aisa hi ho!
(Dua e Iftitaah)

13. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Hum shikaayat karte hain Tujh se apne Nabi (saww) ke uthh jaane ki, ke unpar aur unki Aal (as) par Teri Rehmat ho. Aur Apne Wali (atfs) ki poshidgi ki aur shaaki hai dushmano'n ki kasrat (majority) ki aur apni qillat e tadaad (minority) par, Fitno'n ki sakhti aur hawaadis e zamana ki yalgaar ki shikaayat karte hain.
(Dua e Iftitaah)

14. Imam Baqir (as):
(Aye Maabud!) Baksh de mere gunaho'n ko jo unme se pehle hain aur unme se pichhle hain, aur mere maa baap ke aur saare Momeneen aur Momenaat ke gunah baksh de. Aur Apna Rizq e halaal mere liye kushaada kar de. Aur mujh ko bure insaan, bure padosi, bure haakim, bure saathi, bure din, bure sa'at (time) ki aziyyat se bachaaye rakh. Aur meri taraf se badla le oos se jisne mujhe dhoka diya, jisne mujh par zulm kiya, jo zulm ka irada rakhta hai, mere ahl, meri aulaad, mere bhaiyo'n, mere padosiyo'n ke liye jo Momeneen o Momenaat mein se hai, oos se inteqaam le. Beshak, Tu jo chahta hai, uspar qudrat rakhta hai aur har cheez se waaqif hai. Aameen Aye Rabbal Aalameen.
(Dua e Simaat)

15. Imam Sajjad (as):
(Aye mere Sardaar!) Teri saari makhluqaat mein se jo mere liye bura irada rakhta hai usay mere paau'n taley daal de. Aur Shaitan aur sultaan ki buraaiyo'n aur bure aamal se bachne mein meri madad farma. Aur mujhe sab gunaho'n se paak saaf kar de. Apni dar-guzar ke saath mujhe Jahannum se panaah de. Apni Rehmat se mujhe Jannat mein daakhil kar de, Apne fazl se kaali aa'nkho'n waali, khush-shakl Hoor ko meri biwi bana de.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

16. Imam Sajjad (as):
Aye Maabud! Mujhe baksh de aur mere maa-baap ko bhi aur dono par Rahem kar jaise unhone bachpan mein mujhe paala. Aye Allah! Unhe ehsaan ka badla de aur gunaho'n ke badle bakshish ataa farma. Aye Maabud! Baksh de Momin mardo'n aur Momena aurato'n ko, jo unme se zinda aur murda hai, sab hi ko baksh de. Aur unke aur hamare darmiyaan nekiyo'n ke zariye taalluk bana de. Aye Maabud! Baksh de hamare zinda, murda, haazir, gaayeb, mard, aurat, buzurg aur hamare azaad aur gulaam sab hi ko baksh de.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

17. Imam Ali (as):
(Aye mere Maabud aur mere Sardaar!) Ye sawaal karta hoo'n ke har achchayi mein jo Tu naazil farmaye, aur har ehsaan mein jis se Tu Apne fazl se pesh aaye, aur har neki mein jise Tu phailaye aur har Rizq mein jisme Tu wus'at kare, aur har gunah ki bakshish mein aur har khata ke poshida farmaane mein mera bhi bada sa hissa lagaa dena.
(Dua e Kumail)

18. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Usay (Apne Wali e Amr (atfs) ko) moazziz farma aur oos se mujhe izzat de. Uski madad karu'n aur uske zariye meri madad farma. Usay ba-izzat madad de aur usay aasaani ke saath fatah de aur Apni taraf se quwwat-wala madadgaar farma. Aye Maabud! Uske zariye Deen aur Apne Nabi ki sunnnat ko zaahir farma, yahaa'n tak ke haq mein se koi cheez makhlooq ke khauf se makhfi aur poshida na reh jaaye.
(Dua e Iftitaah)

19. Imam Ali (as):
Aye mere Sardaar! Ab main Tujhe Teri izzat ka waasta de kar sawaal karta hoo'n ke meri bad-amali aur bad-kirdaari, meri Dua ko Teri bargaah tak pahu'nchne se na roke. Aur Tu mujhe mere oon poshida raazo'n ke sabab se jinse Tu waaqif hai, ruswa na karna. Aur main chhup chhup kar jo buraiyaa'n aur bad-kaariyaa'n kar chuka hoo'n aur meri daaemi kotaahi, meri jihaalat, meri khwaisho'n ki zyadati, meri gaflat ki wajah se mujhe saza dene mein jaldi na karna.
(Dua e Kumail)

20. Imam Sajjad (as):
Aye Allah! Humein Apne zikr mein mashgool rakh. Humein Apni naraazgi se panaah de. Humein Apne azaab se amaan de. Humein Apni ataao'n se Rizq de. Humein Apne fazl se inaam de. Humein Apne ghar (Kaaba) ka Hajj naseeb farma. Aur humein Apne Nabi (saww) ke Rauze ki Ziyarat kara. Tera Durood, Teri Rehmat, Teri Bakshish aur Teri Reza ho, Tere Nabi (saww) ke liye aur unki Ahlebait (as) ke liye.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

21. Imam Ali (as):
Aye ne'mato'n ko gawaara banane waale! Aye balaao'n ko dafaa karne waale! Aye andhero'n mein ghabrane waalo'n ko raushni  pahu'nchaane waale! Aye (sab kuchh) jaan-ne waale jisne kisi se taalim nahi paayi. Tu H. Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par Rehmat bhej aur mere haq mein wo kar jo Teri shaan ke laayak hai.
(Dua e Kumail)

22. Imam Sadiq (as):
Koi banda e Momin MOHTAAJ agar Khuda se kehta hai "Aye mere Rab, mujhe Rizq ataa farmaa taaki main fulaa'n fulaa'n neki aur umoor e khair anjaam doo'n", to Allah uski niyyat ki sachchai maalum kar ke usko wo ajr ataa farmata hai jo uske kaam karne par deta hai. Beshak, Allah Wus'at wala aur Kareem hai.
(Al Kaafi, v3, p331)

23. Imam Sajjad (as):
Mere Aaqa! Mera dil Tere zikr se zinda hai aur Teri munajaat ke zariye maine apna khauf duur kiya hai. Pus, Aye mere Maula! Aurmeri Ummeed-gaah! Aur mere sawaal ki inteha! Mujhe Apni ita'at mein lagaa-kar mujhe gunaho'n se rok de aur mere aur mere gunaho'n ke darmiyaan judaayi daal de.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

24. Imam Naqi (as):
Oos waqt ko yaad karo jab tum ahl o ayaal (family members) ke saamne pade hoge. Oos waqt na koi tabeeb tumko maut se bacha sakta hai aur na koi dost tumhare kaam aa sakta hai.
(Guftaar e Dil Nasheen, p223)

25. Imam Sajjad (as):
(Mere Maabud! Aur oos waqt (mujh par) Rahem farma jab mere dost bistar par mera pehlu badalte honge. Oos waqt rahem farma jab mere nek padosi takht e gusl par mujhe idhar se udhar karte honge. Oos waqt meherbaani farma jab mere rishtedaar mera janaaza chaaro'n taraf se uthhaye huwe le jayenge. Aur mujh par oos waqt bakshish kar jab Tere huzoor aau'nga aur qabr mein tanha hoo'nga. Aur oos naye ghar mein meri bebasi par Rahem o Karam farma.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

26. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Hum aisi barkat waali hukumat ki khaatir Teri taraf raghbat rakhte hain jis se Tu Islam aur Ahl e Islam ko quwwat de, aur nifaaq aur ahl e nifaaq ko zaleel kare. Aur oos hukumat mein humein Apni ita'at ki taraf bulaane waale aur Apni rehnumaai karne waale qaraar de. Aur uske zariye humein duniya aur Akherat ki izzat de.
(Dua e Iftitaah)

27. Imam Ali (as):
Ya Allah! Mere Maula! Tu ne kitni meri badiyo'n par parda daal diya hai aur kitni sakht balaao'n ko taal diya hai aur kitni lagzisho'n se Tu ne bacha liya hai aur kitne na-gawaar umoor (unpleasant things) ko Tu ne duur kiya hai aur kitni meri khubiyaa'n jinka main mustahaq na tha, Tu ne (logo'n) mein mash'hoor kar di.
(Dua e Kumail)

28. Imam Sajjad (as):
Aye mere Sardaar! Main Tujhe zabaan se pukaarta hoo'n jo gunah se attakti hai. Main oos dil se raaz-goyi (raaz ki baatein) karta hoo'n jise uske jurm ne tabaah kar diya. Aye Paalne wale! Main Tujhe pukaarta hoo'n lekin sehma huwa, darra huwa, chahta huwa, ummeed rakhta huwa. Aye mere Maula! Jab main apne gunaho'n ko dekhta hoo'n, to ghabraata hoo'n aur Tere karam par nigaah daalta hoo'n, to aarzu badhhti hai. Pus, agar Tu mujhe maaf kare to Tu behtareen rahem karne wala hai aur azaab de to bhi zulm karne wala nahi.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

29. Imam Ali (as):
Aye Mere Parwardigaar! Mere badan ki naatwani aur meri chamdi ki kamzori aur meri haddiyo'n ki naazuki par Rahem kar. Aye Wo jisne mujhe paida kiya, mera (achche) naam se zikr kiya, meri parwarish ka samaan kiya, mere Haq mein har tarah ki Neki ki, mujhe giza dene ke asbaab baham pahu'nchaye. Jaise Tune karam ki ibteda ki thi aur pehle se mere haq mein neki karta aaya hai, waise hi barkaraar rakh.
(Dua e Kumail)

30. Imam Ali (as):
Aye ne'mato'n ko gawaara banane waale! Aye balaao'n ko dafaa karne waale! Aye andhero'n mein ghabraane waalo'n ko raushni  pahu'nchaane waale! Aye (sab kuchh) jaan-ne waale jisne kisi se taalim nahi paayi. Tu H. Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par Rehmat bhej aur mere haq mein wo kar jo Teri shaan ke laayak hai.
(Dua e Kumail)

31. Imam Ali (as):
Ya Allah! Aur jo shakhs mere saath kisi tarah ki badee karne ka irada kare to Tu waisa hi irada uske haq mein karna, aur jo mere saath fareb kare to Tu uske fareb ki sazaa de. Aur mujhe Apne oon bando'n mein qaraar de jo hissa paane mein Tere nazdeek behtareen ho, aur Teri huzoor mein unko khaas khusosiyat haasil ho, is liye ke ye rutba Tere khaas fazl ke aur kisi ko nahi mil sakta. Pus ataa kar mujhe ye Apne fazl o karam se aur Apni shaan ke mutabiq mujh par meherbaani farma aur Apni Rehmat se meri hifazat kar, aur meri zabaan ko Apni yaad mein jaari aur mere dil ko Apni mohabbat mein masroof rakh.
(Dua e Kumail)

32. Imam Sajjad (as):
Main panaah chahta hoo'n Teri, na kisi aur ki. Aur siwaaye Tere kisi aur se kashaaish ka Taalib nahi hoo'n. Pus, meri faryaad sunn aur rihaayi de. Aye Wo jo qaidi ko chhurata hai aur bahut saare gunah maaf karta hai! Mere thode se amal qubool farma aur mere bahut saare gunah maaf kar de. Beshak, Tu bahut Rahem karne waala, bahut bakshne waala hai.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

33. Imam Husain (as):
Aye Wo, jisne maa-baap se meri parda-poshi ki hai, ke wo mujhe dhut-kaar denge. Ahl e qabeela aur bhai-bando'n se mere parda  rakha hai ke mujhe daa'ntt-dapatt karein. Aur haakimo'n se mera parda rakha hai ke wo mujhe saza denge. Aye mere Maula! Agar wo mere baare mein wo jaan lete jo Tu jaanta hai to wo mujhe kuchh bhi mohlat na dete, mujhe chhor dete aur qat e talluk kar lete.
(Dua e Arafa)

34. Imam Husain (as):
Mere Maabud! Mujhe mere nafs ki pusti se nikaal de, mujhe shak aur shirk se paak kar de, qabl iske ke main qabr mein jaau'n. Tuhj se madad chahta hoo'n, meri madad farma. Tujh par bharosa karta hoo'n, pus, mujhe chhor na de. Tujh se maangta hoo'n,  pus, na-ummeed na farma. Tere fazl ki aas lagaayi hai. Pus, mujhe mehroom na kar. Teri bargaah se talluk jodaa hai, pus mujh ko duur na farma. Tera darwaza khatt-khatata hoo'n, mujhe bhaga na de.
(Dua e Arafa)

35. Imam Sajjad (as):
Mere Maabud! Mere Sardaar! Agar Tu ne Apne pyaaro'n aur farma-bardaaro'n ke siwa kisi ko maafi na di to gunah-gaar log kis se faryaad kar sakenge? Agar Tu apne wafadaaro'n ko izaat ataa farmayega to khataa-kaar log kis se madad maangenge?
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

36. Imam Sajjad (as):
Mere Sardaar! Tu hi mera aasra hai, Tuhj par bharosa hai, Tujh hi se ummeed hai, Tujh hi par tawakkul aur Teri Rehmat se talluk hai. Teri dewri par deraa daale huwe hoo'n, Teri sakhawat se apni haajat chahta hoo'n.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

'Ya Allah'

1. Rasule Khuda (saww):
Jo koi 10 martaba 'Ya Allah' kahega, to usay kaha jaayega "Labbaik, Mere Bande, maang jo bhi teri haajat hai ke wo poori ki jayegi".
(Uddatud Dai)

2. Imam Ali (as):
Jo koi Quran mein se koi bhi 100 Ayat padhe aur phir 7 martaba 'Ya Allah' kahe, to agar wo Chattaan bhi hilaana chaahe to Insha Allah, hilaa sakega.
(40 Hadiths – Quran)

3. Imam Baqir (as):
Jab qeh-qahe maaro (bahut zor se ha'nso) to ba-taur Kaffara Khuda se kaho, "Ya Allah, mujhe dushman na rakhna."
(Amaali - Shaikh Mufeed, p46)

4. Imam Sadiq (as):
Mizaah (humour / vinod) se apne bhaiyo'n ko khush rakha karo, bus fawaahish (obscenity / ashleelta) se duur raho. Momin ka ha'nsna uska muskurana hai. Zyada ha'nsna dil ko maar deta hai, ye Deen ko bhi maar deta hai jaise namak paani mein ghul jaata hai. Qehqehe lagaana Shaitani amal hai. Qehqehe lag jaaye to fauran Allah se maafi maango aur kaho 'Ya Allah, mujhe dushman na rakhna'.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p161)

5. Imam Baqir (as)
ke kisi bachche ko pareshaani huwi to aap ne uske qareeb jaa-kar bosa liya aur phir farmaya, "Aye bete! Tum kaise ho?" Usne kaha, "Mujhe takleef hai". Imam (as) ne farmaya, "Jab tum Namaz e Zuhr padho to 10 baar kaho Ya Allah! Ya Allah!...Pus, jab koi musibat-zada is tarah kehta hai to Allah kehta hai, "Aye bande, Main haazir hoo'n, bataa teri kya haajat hai?"
(Tibb ul Aimma (as), p7)

6. Rasule Khuda (saww)
ne 3 martaba dohraate huwe farmaya, "Ya Allah, mere Khulafa par Rahem farma".
Logo'n mein se kisi ne arz kiya, "Ya Rasulallah (saww), aap ke Khulafa kaun hai?"
Farmaya, "Wo log hain jo meri wafaat ke baad paida honge. Wo meri Ahadees aur Sunnat ko naql karenge, unko dil o jaan se dost rakhenge, logo'n mein tableegh karenge aur unko (Ahadees ki) taalim dene ki koshish karenge. Yehi log Jannat mein mere saathi honge". (Bihaar ul Anwaar, v2)
(Nawaadirul Ahadees, v1, p42)

Monday 21 March 2016

Aulaad

1. Rasul e Khuda (sawa):
Jo shakhs apne bacche ka bosa leta hai (kiss karta hai) Khuda uske liye ek neki likhta hai.
Isi tarah farmaya:
Baccho ka jyada bosa liya karo. Beshak har bose ke muqable me tujhe Jannat me ek darja milega ke jiski masafat 500 saal hai.
(Al kaafi, vol 6, 49;
Rawzatul waezin, Page 369;
Mafatihul Hayaat, Page 233, (Urdu Edition)

2. Rasul e Khuda (sawa)
Apne baccho ka ehteram karo, unki acchi tarbiyat karo kyuki isse tumhari maghferat hoti hai.
(Makaremal akhlaq, 222;
Mafateehul Hayaat ( Urdu Edition ), Page 234)

3. Rasul e Khuda (sawa):
Khuda aise shakhs par rahmat kare jo apne bacche ke nek kamo me uski madad kare.
Poocha gaya: Kaise? Neki me kis tarah madad ki jaye?
Aap ne farmaya: Jis cheeza ki wo qudrat rakhta hai usse qabul karo aur jo kaam uske liye mushkil ho us se darguzar karo.
(Al-Kaafi, vol 6, page 50)

4. Rasul e Khuda (sawa):
Jo shakhs bazar jata hai aur tohfe kharid kar le aata hai aur wo ape ahl o ayaal ko deta hai aisa shakhs dar haqiqat faqeero ke liye sadqa de raha hota hai.
Bacchiyo ko baccho par muqaddam rakho kyuki jo shakhs betiyo ko khush rakhta hai wo us shakhs ki tarah hai jisne Hazrat Ismael (as) ki nasl se ek ghulam aazad kiya ho.
(Al-amaali, Shaikh Saduq, page 577)

5. Rasul e Khuda (sawa):
Apne baccho ko hadiya dete waqt musawat (equality) qaem karo, agar chahte ho ki kisi ko jyada hadiya do to pahle betiyo ko do.
(Al-Khilaf, Shaikh Tusi, vol 3, page 564)

6. Rasul e Khuda (sawa):
Badtarin shakhs wo hai jo apne ghar waalo k saath sakhti se pesh aaye.
Kisi ne poocha, ghar waalo se sakhti ka kya matlab hai?
Aap ne farmaya: Jab koi shakhs apne ghar me dakhil ho aur us k biwi bacche dare aur jab ghar se bahar jaye to biwi bacche khush ho. 
(Nahjul Fasahah, Page 538;
Majmauz zawaed wa manbaul fawaed, vol 8, page 25; Mafateehul Hayaat(Urdu Edition), Page 226)

7. Baccho ke Huquq:
Ahle bait (as) ki riwayaat me, waledain baccho ke huquq ke ohdedaar hai aur un ke huquq is tarah hai:-
1-    Accha naam intekhab karna
2-    Us ki maa ka ehteraam karna
3-    Waledain se mansub karna
4-    Nezafat (cleanliness)
5-    Munasib khana khilana
6-    Talim o tarbiyat
7-    Un se mohabbat
8-    Un ka ikram
9-    Nek kaam me unki madad karna
(Mafateehul Hayaat(Urdu Edition), Page 227)

8. Imam Sajjad (as):
Bacche ka haq ye hai ki tum jaanlo ke is duniya me us (bacche) ka accha ya bura hona tum se murtabit hai (tum pe depend karta hai).
(Man la yahzuruhul faqih, vol 2, page 622;
Mafateehul Hayaat(Urdu Edition), Page 227)

Wednesday 2 March 2016

GHAR SE NIKALTE WAQT...

Imam Sadiq (as):
Jab bhi ghar se baahar niklo to BISMILLAH kaho, ke 2 Farishte iske jawaab mein ye kehte hain ke ye najaat paa gaya.

Agar kaho LA HAWLA WA LA QUWWATA ILLA BILLAH, to kehte hain ye mehfooz ho gaya.

Aur agar kaho TAWAKKALTO 'ALALLAH to kehte hain tere liye kaafi hai.

Aise mein Shaitan la'een kehta hai,
"Ab mera is bande se kya waasta hain. Ye to mehfooz ho gaya, hidayat paa gaya aur kifaalat ka haqdaar thhehra".
(Amaali - Shaikh Sadooq, p543)

YATEEM

***********************************
                  ♦YATEEM

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)

(فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ ۗ وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الْيَتَامَىٰ ۖ قُلْ إِصْلَاحٌ لَهُمْ خَيْرٌ ۖ وَإِنْ تُخَالِطُوهُمْ فَإِخْوَانُكُمْ ۚ وَاللَّهُ يَعْلَمُ الْمُفْسِدَ مِنَ الْمُصْلِحِ ۚ وَلَوْ شَاءَ اللَّهُ لَأَعْنَتَكُمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ)

"(Take) Duniya wa Akherat mein (fikr karo) aur tum se YATEEMO ke bare mein sawal karte hain, kah do ke un ke kaam ki islah karna behtar hai aur agar apni zindagi ko unki zindagi mein mila lo (to koi harj nahi), wo tumhare deeni bhai hain, (aur unse ek Bhai ka sulook karo). Khuda Mufsedeen ko Musleheen mein se pahchanta hai aur agar Khuda chahe to tumhe zehmat o takleef mein dal de (aur hukm de de ke Yateemo ki sarparasti karne ke sath sath apni zindagi aur amwal kamelan unke Maal se juda rakho lekin aisa nahi karta), kiyonki Woh Tawanah aur Hakeem hai."
(Surah Baqarah: 220)
----------------------------------------------
Hadith

Imam Ali (as):
"Jab koi Momin kisi Yateem ke sar par hamdardi se haath pherta hai to Allah uske haath ke niche aaye HAR BAAL ke badle Neki likhta hai."
(Rehmat Aagosh e Tauba)

Rasule khuda(saww):
"Aye Ali ! Jibrail 7 wajah se insaan ban'na chaahte the, wo ye hai
(1) Namaaze Jamaat
(2) Aalimo'n ki sohbat
(3) Do logo'n me sulah karwana
(4) Yateemo'n ki izzat karna
(5) Beemaro'n ko milne jaana
(6) Janaaze me sharik hona, aur
(7) Zaairo'n ko paani pilaana.
(A Bundle of Flowers)
----------------------------------------------

Sunday 28 February 2016

Rehmat

Quran:

(إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَالَّذِينَ هَاجَرُوا وَجَاهَدُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ أُولَٰئِكَ يَرْجُونَ رَحْمَتَ اللَّهِ ۚ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ)

"Albatta Imaan lanewale, Hijrat karne wale, Allah ki rah mein Jihad karne wale hi Rehmat-e-Ilahi ke ummidwar hain, Allah Ta'ala bahut Bakhshnewala aur bahut Meherbani karne wala hai."
(Surah Baqarah: 218)

--------------------------------------------
Hadith:

Imam Sajjad (as):
"Aye Maabuud! Apni maafi par meri zindagi ko tamaam kar aur Apni Rehmat ki ummeed me mere amal ko saabit qadam rakh…aur har haal me mere amal ko achcha kar de."
(Dua e Makaarimul Akhlaaq)

Imam Ali (as):
"Agar namaz padhnewale ko ilm ho jaye ke kaisi rehmato'n ne usay gher rakkha hai to wo kabhi sajde se sar na uthaye."
(Tajalliyaat e Hikmat)

MASJID

1. Allah (swt):
Tumhe apne ghar se lagao hai aur tum usme rehna pasand karte ho, magar jab Mere Ghar mein aate ho to bechaini mehsus karte ho!
(Al-Hadith Al-Qudsi)

2. Imam Sadiq (as):
'Tawraat' mein likha hai ke zameen par Mere ghar Masajid hai. Khush qismat hai wo banda jo apne ghar Wuzu kar ke Mere ghar Meri Ziyarat ke liye aata hai. Jaan lo ke Ziyarat karwaane waale ke liye Zaireen ki takreem (izzat / honour) karna zaruri hai.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal, p59)

3. Imam Sadiq (as):
Jo koi Masjid banaye, Allah Jannat mein uske liye ghar banata hai.
(Furoo e Kafi, v2, p149)

4. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Masjid banaye agar che chhoti ho, Allah uske liye Jannat mein ghar banayega.
(Hadiyat ush Shia, p18)

5. Rasule Khuda (saww):
Masjid parhez-gaaro'n ka ghar hai.
(Hadiyat ush Shia, p7)

6. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Jamaat (Namaz) ke liye Masjid ki taraf chal kar jaaye, uske liye har ek Qadam ke badle 70000 nekiyaa’n aur utna hi uske darjaat (levels) buland kiye jayenge. Agar wo is haalat mein mar jaaye to Allah uske liye 70000 Farishte muqarrar karta hai jo Qabr mein uske paas aate jaate rehte hain, Qabr ki tanhaai mein uske saath mohabbat ka izhaar karte hain aur uske liye Astagfaar karte hain aur ye silsila uske dobara Qabr se uthaaye jaane tak jaari rahega.
(Meezan ul Hikmah, v4)

7. Imam Sadiq (as):
Behtar hai ke Masjid mein daakhil hote waqt daahina payr (right foot) aage rakhe aur nikalte waqt baaya'n (left).
(Furoo e Kafi, v2, p61)

8. Imam Sadiq (as):
Jab Masjid mein daakhil ho ya wahaa'n se niklo to Muhammad (saww) o Aal e Muhammad (as) par Durood bhejo.
(Furoo e Kafi, v2, p61)

9. Rasule Khuda (saww):
Namaz ke intezaar mein Masjid mein baithhna Ibadat hai jab tak wo 'Hadas' nahi karta. Logo'n ne jab Hadas ka matlab puchha, to aap ne kaha, “Geebat”.
(Islamic Morals, Backbiting Prohibited)

10. Rasule Khuda (saww):
Aakhri zamane mein meri Ummat mein kuchh aise log bhi honge jo Masjid mein aa kar halqa baandh (circle / group banaa) kar baithha karenge aur duniya aur hubb e duniya ka zikr karenge. Tum unke paas na baithhnna kyun ki Allah ko unki koi haajat nahi hai.
(Irshadaat e Masumeen (as), p14)

11. Rasule Khuda (saww):
Jo koi Jumeraat aur Shab e Juma ko Masjid mein safaai kare aur Masjid mein se aa'nkh mein padne waale tinke ke barabar dhuul aur mitti baahar nikaale to Khuda uske gunah maaf farmayega.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p465)
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal (Naseem e Behisht), p69)

12. Riwayat:
Ek shakhs Masjid mein daakhil huwa. H. Rasule Khuda (saww) wahaa'n par baithhe huwe the. Usay dekh-kar aap pichhe hatt gaye (aur uske liye jagah khaali kar di).
Ye dekh kar usne kaha, "Ya Rasulallah (saww), jagah to kaafi khuli hai".
Aap (saww) ne farmaya, "Ek Musalman ka dusre Musalman par ye haq banta hai ke jab wo usay dekhe ke uska baithhne ka irada hai to uske liye jagah khaali kar de".
(Meezan ul Hikmah, v2, p101)

13. Imam Sadiq (as):
Kabhi kabhi 2 aadmi Masjid mein daakhil hote hain aur unme se ek Aabid hota hai aur doosra Faasiq (gunah-gaar) hota hai. Magar jab Masjid se baahar aate hain to Aabid faasiq hota hai aur Faasiq aabid hota hai, is liye ke jab Aabid Masjid mein daakhil hota hai to usko apni Ibadat par naaz hota hai aur wo isi ko sochta rehta hai aur jab Faasiq daakhil hota hai to wo apne fisq (gunah) par sharminda hota hai aur Allah uske gunaho'n ko maaf kar deta hai.
(Elal ush Sharaye, p278)

14. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Masjid mein chiraag jalata hai (light lagata hai) to Malaika aur Haamilaane Arsh oos waqt tak uske liye Astagfaar karte hain jab tak uski roshni baaqi rehti hai.
(Jaame ul Akhbaar, p110)

15. Imam Sadiq (as):
Sab se achcha wo shakhs hai jo marte waqt 3 cheezein chhor kar jaaye. 1) Nek farzand chhor kar jaaye jo uske liye Astagfaar karta rahe, 2) Koi achchi sunnat aur rawish chhor kar jaaye jin par iske baad (is amal e khair mein) uski iqteda (follow) ki jaaye, 3) Aisa Sadqa Jaariya kare jo uske baad bhi jaari rahe (maslan (for eg.) koi Masjid banaa kar jaaye)
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p228)

16. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Jamaat (Namaz) ke liye Masjid ki taraf chal kar jaaye, uske liye har ek Qadam ke badle 70000 nekiyaa’n aur utna hi uske darjaat (levels) buland kiye jayenge. Agar wo is haalat mein mar jaaye to Allah uske liye 70000 Farishte muqarrar karta hai jo Qabr mein uske paas aate jaate rehte hain, Qabr ki tanhaai mein uske saath mohabbat ka izhaar karte hain aur uske liye Astagfaar karte hain aur ye silsila uske dobara Qabr se uthaaye jaane tak jaari rahega.
(Meezan ul Hikmah, v4)

17. Imam Sadiq (as):
Behtar hai ke Masjid mein daakhil hote waqt daahina payr (right foot) aage rakhe aur nikalte waqt baaya'n (left).
(Furoo e Kafi, v2, p61)

18. Imam Sadiq (as):
Jab Masjid mein daakhil ho ya wahaa'n se niklo to Muhammad (saww) o Aal e Muhammad (as) par Durood bhejo.
(Furoo e Kafi, v2, p61)

Friday 26 February 2016

PASAND-NA PASAND

♦PASAND-NA PASAND♦

Quran:

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)

(كُتِبَ عَلَيْكُمُ الْقِتَالُ وَهُوَ كُرْهٌ لَكُمْ ۖ وَعَسَىٰ أَنْ تَكْرَهُوا شَيْئًا وَهُوَ خَيْرٌ لَكُمْ ۖ وَعَسَىٰ أَنْ تُحِبُّوا شَيْئًا وَهُوَ شَرٌّ لَكُمْ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنْتُمْ لَا تَعْلَمُونَ)

"Tum par Jihad (fi sabilillah) farz kiya gaya chahe woh tumhe pasand na ho, mumkin hai ke tum kisi cheez ko napasand karo darasal wohi tumhare liye bhali ho aur ye bhi mumkin hai ke tum kisi cheez ko pasand karo halanke woh tumhare liye buri ho. Haqeeqi ILM Allah ko hai aur tum be khabar ho."
(Surah Baqarah: 216)
----------------------------------------------

Hadith :

Rasule Khuda (saww):
"Ek zamana aayega jab meri ummat 5 cheezei’n pasand karegi aur 5 cheezo’n ko napasand -
👉Wo is duniya ko pasand karegi aur iske baadwali duniya (Aakherat) ko bhool jaayegi,
👉Wo maal pasand karegi aur (Roz e) Hisaab ko bhool jayegi,
👉Mard duniya ki (Faahesha) aurato'n ko chaahenge aur Hoor ko bhool jayenge,
👉Wo oonchi imaarat (buildings) pasand karenge aur kabro'n ko bhool jaayenge aur
👉Wo apne aap ko pasand karenge aur Allah ko bhool jaayenge.
Aise log mujhe na-pasand karte hain aur main unhe."
(A Bundle of Flowers)

Imam Sajjad (as):
"Aye Rab! Mere dil mein parhezgaari daal aur paak se paak baat ki mujhe taufeeq de, jo kaam Tujhe pasand hai wohi mujh se le."
(Dua e Maqaarim Akhlaaq)

Imam Ali (as):
"Har oos kaam se bacho jo insaan apne liye to pasand karta ho aur aam Musalmaano'n ke liye usay na-pasand karta ho."
(Meezan ul Hikmah, v7)
----------------------------------------------

Aalim e Deen ki Maut

1. Imam Sadiq (as):
Shaitaan ki liye Aalim e Deen ki Maut har Momin ki Maut se zyada mehboob hai.
(Usool e Kaafi, v1, p82)

2. Imam Kazim (as):
Jab koi Momin Faqih MAR jaata hai to Farishte uske liye rote hain aur zameen ke wo hisse rote hain jin par usne Allah(swt) ki Ibaadat ki ho.
(Usool e Kaafi, v1, p83)

3. Imam Sadiq (as):
Jab koi Aalim e Deen mar jaata hai to Islam mein aisi daraar padd jaati hai jise koi cheez bund nahi kar sakti.
(Al Kaafi, v1, p82)

(The death of a believer scholar causes such a cleft in (the fortress of) Islam as can never be repaired by anything)
(Al Kafi, v1, part 1, The Book Of Excellence Of Knowledge -2, p95)

Monday 22 February 2016

SAJI HUI DUNIYA & RIZQ

♦SAJI HUI DUNIYA & RIZQ♦

★Quran

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)

(زُيِّنَ لِلَّذِينَ كَفَرُوا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا وَيَسْخَرُونَ مِنَ الَّذِينَ آمَنُوا ۘ وَالَّذِينَ اتَّقَوْا فَوْقَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۗ وَاللَّهُ يَرْزُقُ مَنْ يَشَاءُ بِغَيْرِ حِسَابٍ)

"Duniyavi Zindagi Kafiron ke liye muzayyan (decorate) kiya gayi hai. Isliye woh Imaan walon ki hansi udate hain, halanke Muttaqi Parhezgar log Qayamat ke din unse Aala (maqam) par honge, Allah Ta'ala jise chahta hai be hisab rozi deta hai."
(Surah Baqarah: 212)
----------------------------------------------
Hadith

Imam Ali (as):
"Jo apni Aakherat sa'nwaar lega, Allah uski Duniya sa'nwaar dega."
(Tajalliyate Hikmat)

Allah (swt):
"Kitne Maaldaar log is Duniya se gaye apna Maal yahin chhodkar aur Aakherat mein gaye Tanha, Gareeb aur apne kartuut pe sharminda?"
(Al-Hadith Al-Qudsi)

Hazrat Isa (as):
"Duniya aur Aakherat ki misaal [ek shakhs ki] 2 biwi jaisi hai. Wo agar ek ko raazi karega to doosri uspe gussa ho jaayegi."
(Mishkaat ul Anwaar)

Imam Ali (as):
"Duniya Daulat se haasil ki jaati hai aur Aakherat Amal se."
(Tajalliyate Hikmat)

Rasule Khuda (saww):
"Allah ne bewaqufo'n ko Rizq is liye ataa kiya taaki Aqalmand samajh le ke Rozi Haasil karne ka taalluk chhal, kapat, saazish, daga-baazi se NAHI hai."
(Rizq)

Rasule khuda (saww):
"Bande ka rizq usay uski maut se zyaada shiddat se (tezi se) talaash karta hai."
(Anecdotes for Reflection III)
----------------------------------------------

Sunday 21 February 2016

KHANA KHANA AUR KHILANA

KHANA KHAANE MEIN, GHAR MEIN AUR RIZQ MEIN BARKAT

1. Imam Ali (as):
Agar Barkat chaahte ho to khana khaane ke liye jab baithho to haath zaroor dho lo, chaahe pehle se saaf hi kyun na ho'n.
(Tibb e Imam Reza (as), p55)

2. Imam Sadiq (as):
Khana khaane se pehle jab haath dhoya karo to rumaal, wagairah se mat saaf kiya karo kyun ki jab tak haath mein tari (gilaa-pan / wetness) rehti hai, khaane mein barkat rehti hai.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p84)

3. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs chahta hai ke uske ghar mein khair o barkat ho to aise shakhs ko khana khaane ke waqt Wuzu karna chahiye.
(Aasmani Nasihatein, v2, p138)

4. Imam Ali (as):
Garm khaane ko thhanda hone diya karo kyun ki J. Rasule Khuda (saww) ke paas jab garm khana laaya jaata tha to aap farmaya karte the ke thhanda hone do, Allah Ta’ala ne hamara khana aag nahi banaya hai aur thhande khaane mein barkat bhi hoti hai.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p77)

5. Imam Reza (as):
Roti chhoti chhoti pakaao, ke isme har giroh ke liye barkat hai.
(Tibb e Imam Reza (as), p49)

6. Rasule Khuda (saww):
Jab koi khana khaaye aur apni ungliyaa’n chaatt le to Allah Ta’ala uske Rizq mein barkat dega.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p78)

7. Imam Ali (as):
…Aye Kumail! Jab khana khaane baithho to usay tuul do (prolong / zyada deyr tak baithho) taaki tumhare saathi bhi peyt bhar kar kha le. Aye Kumail! Jab khana kha chuko to Allah ki Rozi par uski Hamd o Sanaa karo aur ba-awaaz e buland karo taake doosre bhi uski Hamd karein is tarah tumhara Ajr (sawaab) zyada hoga. Aye Kumail! Apne peyt ko khaane se na bharo balke usme paani aur saa'ns lene ki gunjaaish rakho.
(Wasaail ush Shia, v16, p324)

KHANA KHAANE MEIN BARKAT

1. Imam Ali (as):
Jism ki quwwat khana khaane mein hain aur Ruuh ki quwwat khana khilaane mein hain.
(Miskhat ul Anwaar)

2. Rasule Khuda (saww):
Jism ki giza khana khana aur Ruuh ki giza khana khilana hai.
(Meezan ul Hikmah, v5)

3. Imam Reza (as):
Jo shakhs Sakhi (generous) hota hai wo logo'n ka khana khaata hai taaki log bhi uska khana khayein aur jo kanjoos hota hai wo logo'n ka khana is liye nahi khaata taaki log bhi uska khana na khayein.
(Wasaail ush Shia, v16, p326)

4. Imam Reza (as):
Mard 4 qism ke hain: Sakhi, Kareem, Bakheel aur Laeem. Sakhi wo hai jo khaata hai aur deta hai. Kareem wo hai jo khud nahi khaata aur doosro'n ko deta hai. Bakheel (Kanjoos) wo hai jo khud khaata hai aur doosro'n ko nahi deta. Laeem wo hai jo na khud khaata hai aur na auro'n ko deta hai.
(Jaame ul Akhbaar, p195)

5. Rasule Khuda (saww):
Dozakh mein kam se kam darje ka azaab 'Ibne Jaz'aan' ko milega, is liye ke wo logo'n ko khana khilaya karta tha.
(Meezan ul Hikmah, v2, p276)

6. Imam Ali (as):
Juud o Sakhaawat Khaane mein hai na ke Maal mein. Lihaza, jo kisi ko 1000 (dinaar) bhi de de magar khaane ki plate se rok de to wo Sakhi nahi hai.
(Tajalliyaat e Hikmat, ch102)

7. Rasule Khuda (saww):
Parhez-gaaro'n ko apne dastar-khwaan par khana khilaao aur Momeneen se husn e sulook rakho.
(Hadiyat ush Shia, p28)

8. Imam Sadiq (as):
Jab tumhara (Deeni) bhai (bin bulaaye) aaye to usay wo kuchh pesh karo jo tumhare paas maujood hai aur agar usay daawat di hai to phir uske liye takleef (tayyari) karo.
(Wasaail ush Shia, v16, p330)

9. Rasule Khuda (saww):
Apne mehmaan ke saath khana khaane baitho, kyun ki wo akele khaane mein sharm mehsoos kar sakta hai.
(Nahjul Fasaha)

10. Imam Sadiq (as):
Rasule Khuda (saww) (ka ye dastoor tha ke wo) jab mehmaano'n ke saath khana khaate the to sabse pehle haath badhate the (sab se pehle khana shuru karte the) aur sab se aakhir mein haath uthhate the (sabse aakhir mein khana khatm karte the) taaki log (tasalli se) khaayein.
(Wasaail ush Shia, v16, p340)

11.MOMIN KE GHAR MEIN ACHCHI TARAH AUR KHUSH HO KAR KHANA CHAHIYE AUR ZYADA KHANA CHAHIYE AUR KISI QISM KI KOTAAHI AUR SHARM NAHI KARNA CHAHIYE
Imam Sadiq (as):
…Kisi shakhs ki kisi se dosti ka pataa is baat se chalta hai ke wo uske yahaa'n khush ho kar khana khaata hai..
(Wasaail ush Shia, v16, p333)

12. Imam Sadiq (as):
Oomda khana khilaao, apne dosto’n aur saathiyo’n ko bulaao aur unke saath khaao aur khilaao.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p72)

13. Riwayat:
Imam Sadiq (as) aksar oomda rotiyaa’n, behtareen firni aur lazeez halwa logo’n ko khilaya karte the aur kaha karte the ke jab Allah Ta’ala hamare liye faraakhi karta hai (zyada nawazta hai) to hum bhi faraakh dili se logo’n ko khilaate hain aur jis waqt kam mayassar aata hai, oos waqt hum bhi oosi ke mutaabiq kharch karte hain
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p71)

14. Imam Sadiq (as):
Halaakat hai oos aadmi (mezbaan) ke liye ke wo jo kuchh apne bhai (mehmaan) ko pesh kare usay haqeer (kam aur halke darje ka) samjhe aur halaakat hai oos (mehmaan) ke liye jo usay haqeer samjhe jo kuchh usay pesh kiya jaaye.
(Wasaail ush Shia, v16, p329)

15. Imam Baqir (as):
Allah ki bargaah mein sab se pasandida amal ye hai ke Momin ko khush kiya jaaye uski shikam-seyri kar ke (usay peyt bhar ke khana khila ke) ya uska qarz adaa kar ke.
(Wasaail ush Shia, v16, p335)

16. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs kisi Momin ko khana khilaaye to Roz e Qayamat uski Jazaa (reward) ko koi nahi jaan sakta hai..
(Tauba Aagosh e Rehmat)

17. Imam Sadiq (as):
Ek mard e Musalman ko khana dena mere nazdeek 10000 gulaam azaad karne se behtar hai.
(Al Kaafi, v4, p120)

18. Imam Sadiq (as):
Agar main tumhare bazaar se 5 dirham ka khana khareed kar ke kuchh Musalmano'n ko khilaaoo'n to wo mere liye ek gulaam azaad karne se zyada pasandida hai.
(Al Kaafi, v4, p121)

19. Imam Baqir (as)
se puchha gaya ke Gulaam azaad karne ke masaawi (baraabar / equivalent) aur kya hai? Farmaya, "Ek mard e Musalman ko khana khilaa dena".
(Al Kaafi, v4, p121)

20. Imam Baqir (as):
Allah ki bargaah mein sab se pasandida amal ye hai ke Momin ko khush kiya jaaye uski shikam-seyri kar ke (usay peyt bhar ke khana khila ke) ya uska qarz adaa kar ke.
(Wasaail ush Shia, v16, p335)

21. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs kisi Momin ko khana khilaaye to Roz e Qayamat uski Jazaa (reward) ko koi nahi jaan sakta hai..
(Tauba Aagosh e Rehmat)

22. Imam Sadiq (as):
Jo kisi MOMIN ko Allah ki khaatir Khana khilayega to usay ek laakh logo'n ko khana khilaane ka sawab milega.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal)

23. Imam Sadiq (as):
Jo kisi Momin ko Mithhai ka Ek luqma khilaega to Allah oos se Roz e Qayamat ki talkhi (kadwaahatt) duur karega.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal)

24. Riwayat
hai ke agar koi Ek Laakh dirham kharch kar ke khana tayyar kare magar EK HI Momin haazir ho kar khana khaye (to mezbaan ka) Israaf (fuzool kharch) karne waalo'n mein shumaar nahi'n hoga.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p161)

25. Imam Sadiq  (as):
Jo kisi Momin ko Allah ki  khaatir  KHANA  KHILAEGA  to usay EK LAAKH logo'n  ko khana khilaane ka sawab  milega.
(Sawaabul Aamaal)

DIKHAAWE/SHOW-OFF) KI KHAATIR  KHANA KHILANA
25. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Riya (dikhaawe / show-off) ki khaatir logo'n ko khana khilaaye Khuda usay utni hi Jahannum ki peep khilayega aur uske riya-kaari wale khaane ko uske peyt mein Jahannum ki aag banayega jab tak logo'n ke darmiyaan faisle farmayega.
(Wasaail ush Shia, v16, p343)

26. Rasule Khuda (saww):
Jo logo'n ko dikhaane ke liye kisi ko khana dega to Allah usay Jahannum ka Sadid khilayega; jo pyet mein jaate hi aag ban jayega.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal)

MISKEEN/FAQEER KO KHANA KHILANA
27. Rasule Khuda (saww):
Miskeeno'n / faqeero'n ko wo Khana mat do jo tum khud nahi khaate.
(Nahjul Fasaha)
 
28. Rasule Khuda (saww)
se ek shakhs ne puchha ke kya maal mein Zakaat ke siwa aur bhi kuchh haq hai? Aap ne farmaya, “Haa’n. Musalmano’n ko chahiye ke jab koi bhooka sawaal kare to usay khana khilaaye, jab barehna libaas maange to usay kapda pehnaye.” Usne kaha, “Darr rehta hai ke wo shayad jhoot bolta ho.” Aap ne farmaya, “Ye bhi to khauf e Khuda hona chahiye ke wo sach bolta ho."
(Jaame ul Akhbaar, p241)

Naam

1. Allah (swt) ke Naam
1. Rasule Khuda (saww):
Allah ke 99 naam hai, jo koi Usay in naamo'n se pukarega uski Dua mustajab hogi aur jo koi inhe yaad karega wo Jannat mein daakhil hoga.
(Uddatud Dai)

2. Allah (swt):
Main RAHMAN hoo'n aur RAHEM ko Maine Apne ek naam se banaya hai, lihaza jo Sil e Rahem (rishtedaro'n se neki) kare Main usko achcha Sila (reward) doo'nga.
(Mishkaat ul Anwaar (Urdu)

3. Imam Sadiq (as):
Jin kaagazo'n mein Allah ka naam likha huwa ho to usay hargiz nahi jalaana. Pehle jahaa'n jahaa'n zikr e Khuda ho usay mitaa do (erase it) phir unhe phaadd sakte ho, ya paani se dho sakte ho, ya arq e gulaab se dho daalo. Allah ne qalam se kaatne ya jalaane se manaa farmaya hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p151)

2. Jannat ke Naam
1. Rasule Khuda (saww):
Jannat mein ek ghar hai jiska naam 'Daar ul Farah' (Khushi ka ghar) hai. Usme sirf wohi shakhs jayega jo Momeneen ke Yateem bachcho'n ko khush karta hoga.
(Meezan ul Hikmah, v4, p739)

2. Rasule Khuda (saww):
Jannat mein 8 darwaze honge. Uske ek darwaze ka naam 'Rayyaan' hoga. Oos darwaze se sirf Roza-daar hi daakhil ho'nge.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p376)

3. Makkah ke Naam
1. Imam Sadiq (as):
Makkah ke 5 naam hain:
1) Ummul Qura,
2) Makkah,
3) Bakkah,
4) Basaasah (yaani halaak karne wala Sheher aur is naam ki wajah ye hai ke jab bhi kisi zaalim ne Makkah ka rukh kiya to Allah ne usay halaak kar diya), aur
5) Umme Rahem, ye Rehmat e Khuda ka markaz hai, jo yahaa'n par reh jaata hai to Allah ki Rehmat ka mustahaq (eligible) ban jaata hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p138)

2. Imam Sadiq (as):
'Makkah' poore sheher ka naam hai aur 'Bakkah' oos makhsoos jagah ka naam hai jahaa'n Baitullah (Khaane Kaaba) hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p138)

4. Rasule Khuda (sawa) Ke Naam
1. Imam Sadiq (as):
'Yaseen' H. Rasule Khuda (saww) ka naam hai aur 'Aal e Yaseen' hum hain.
(Irshadaat e Masumeen (as), p113)

2. Imam Sadiq (as):
Hamare yahaa'n jo bachcha bhi paida hota hai, hum uska naam 'Muhammad' rakh dete hain. Aur jab 7 din guzar jaayein to agar chahein to naam badal dete hain ya usay bahaal (continue) rakhte hain.
(Wasaail ush Shia, v15, p122)
 
3. Rasule Khuda (saww):
Jab koi giroh kisi baat par mashware ke liye jamaa ho to unme aisa shakhs aa jaaye jiska naam MUHAMMAD ya AHMAD ho aur wo log usay mashware mein shaamil kar le to unhe bhalaai naseeb hogi.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p80)

4. Imam Baqir (as):
Rasulallah (saww) ka naam H. Ibrahim (as) ke sahifo'n mein 'Haani' tha aur H.Musa (as) ki Taurait mein 'Haad' aur H. Isa (as) ki Injeel mein Ahmed (saww) hai aur Quran e Majeed mein Muhammad (saww) hai.
(Irshadaat e Masumeen (as), p125)

5. Rasule Khuda (saww):
Saahi maani mein Kanjoos wo hai ke jiske saamne mera naam lene mein aaye aur wo mujh par Durood (Salwaat) na bheje.
(Meezan ul Hikmah)

6. Riwayat:
Riwayat mein hai ke jab bhi Imam Jafar Sadiq (as) Rasule Khuda H. Muhammad Mustafa (saww) ka naam sunte the to adab se sar jhukaate the aur unpar Salwaat bhejte the.
(al-islam.org/encyclopedia)

5. Janabe Fatima (s.a) Ka Naam
1. Imam Sadiq (as):
J. Fatima (sa) ka naam Zahra is liye hai ke jab wo moazzama Mehraab e Ibadat mein khadi hoti thi to aap ka noor aasmaan waalo'n ke liye is tarah chamakta jis tarah zameen waalo'n ke liye Chaand chamakta hai.
(Elal ush Sharaaye, p137)

2. Imam Sadiq (as):
H. Fatima Zahra (sa) ka ek naam Muhaddisa hai aur Muhaddisa oos khaatun ko kaha jaata hai jis se Malaaika guftagu karte ho'n.
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p75)

3. Rasule Khuda (saww):
Main ne apni dukhtar ka naam Fatima (sa) rakkha kyun ki Allah ne unhe aur unke mohibbo'n ko Dozakh se azaad kiya huwa hai.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p112

4. Imam Sadiq (as):
Bibi Fatima (sa) ke liye Allah ke yahaa'n 9 naam hai:
1) Fatima (sa),
2) Siddiqa (sa),
3) Mubaraka (sa),
4) Tahira (sa),
5) Zakiya (sa),
6) Raziya (sa),
7) Marziya (sa),
8) Muhaddisa (sa) aur
9) Zahra (sa).
(Amaali - Shaikh Sadooq, p552)

6. Insaan ka Naam Insaan Q
Imam Sadiq (as):
Insaan ka naam Insaan is liye rakkha gaya kyun ki usko Nisyaan hota hai, yaani wo bhool jaata hai.
(Elal ush Sharaaye, p11)

7. (six) 6 Paighambaro'n ke 2 Naam hain
Imam Ali (as):
6 Paighambaro'n ke 2 naam hain:
1) H. Yusha bin Noon (as) ya Zulkifl,
2) H. Yaqoob (as) ya Israel,
3) H. Khizr (as) ya Hilqqiya,
4) H. Yunus (as) ya Zun Noon,
5) H. Isa (as) ya Maseeh,
6) H. Muhammad (saww) ya Ahmed (saww).
(Khisaal, ch6)

8. Ameerul Momeneen (a.s)
Imam Sadiq (as)
se puchha gaya ke kya Qaem e Aal e Muhammad (Imam e Zamana) (atfs) ko Ameerul Momeneen keh kar salaam karna jaayez hai? Aap ne farmaya, "Ye wo naam hai jis se Khuda Wande Aalam ne sirf aur sirf H. Ameer (H. Ali) (as) ko makhsoos kiya hai. Na aap se pehle kisi ka ye naam rakkha gaya aur jo aap ke baad apna ye naam rakhega wo kaafir hoga…"
(Wasaail ush Shia, v10, p328)

9. Duniya ka Naam
1. Imam Ali (as):
Duniya ka naam duniya rakkha hi isi liye gaya hai ke ke wo har shai (cheez) se pust (inferior / heen) hai aur Aakherat ko Aakherat is liye kehte hain ke usme jazaa o sawaab hai.
(Meezan ul Hikmah, v3, p533)
 
2. Rasule Khuda (saww)
se sawaal huwa ke duniya ko duniya kyun kehte hain? Aap (saww) ne farmaya, "Kyun ki duniya pust (inferior / heen) hai aur Aakherat ke baghair khalq huwi hai. Agar Aakherat ke saath khalq hoti to jis tarah Aakherat waalo'n ke liye fanaa nahi hai, isi tarah duniya waalo'n ke liye bhi fanaa na hoti". Raawi ne phir puchha, "Mujhe bataayein ke Aakherat ko Aakherat kyun kehte hain?" Aap (saww) ne farmaya, "Is liye ke ye pichhe hai aur duniya ke baad aayegi, jiske na to saalo'n ki tauseef ki jaa sakti hai, na hi uske dino'n ka shumaar ho sakta hai aur na hi uske rehne waalo'n ko maut aayegi".
(Meezan ul Hikmah, v3, p534)

10. Bachcho ke Naam
1. Imam Ali (as):
Bachche ka maa-baap par ye haq hai ke uska achcha naam rakhein, achchi tarbiyat karein aur Quran padhaayein.
(Aasmani Nasihatein, v2, p123)

2. Rasule Khuda (saww):
Jis shakhs ke yahaa'n 4 bete paida ho'n aur wo unme se kisi ek ka naam bhi mere naam par na rakhe to usne mujh par jafaa ki.
(Wasaail ush Shia, v15, p122)

3. Rasule Khuda (saww):
Jab tum apne farzand ka naam 'Muhammad' rakkho to uska ehteraam karo…
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p80)

11. Iblees ka Naam
Imam Reza (as):
Beshak Iblees ka naam HAARIS hai. Allah Azz wa Jall ka qaul: 'Ya Iblees' ke maani faqat 'Aye Na-farmaan' hai, aur kyun ki Allah Azz wa Jall ki Rehmat se wo maayus ho gaya is wajah se uska naam Iblees rakkha gaya.
(Ma'ani al Akhbaar, v1, p184)

12. Jahannum ke ek maidaan ka Naam
Imam Sadiq (as):
Jahannum mein Takabbur karne walo'n ke liye ek maidaan hai jiska naam 'Saqar' hai. Usne Allah se shiddat e haraarat (bahut zyada taapmaan / extreme heat) ki shikaayat ki aur ye sawaal kiya tha ke ek saa'ns lene ki ijaazat mil jaaye. Ijaazat mili to uske liye huwe ek saa'ns se saara Jahannum jal uthha.
(Irshadaat e Masumeen (as), p121)

13. Juma ka Naam
1. Imam Baqir (as):
Roz e Juma ka naam Juma is liye rakha gaya ke Allah Ta'ala ne is din Apni tamaam makhlooq ko jamaa kar ke H. Rasulallah (saww) aur aap (saww) ke Wasi (H. Ali (as)) ki Wilayat ka sab se Ahad (pledge) liya.
(Irshadaat e Masumeen (as), p125)

2. Imam Baqir (as):
Juma ke din Allah ne jamaa kiya tha apni makhlooq ko Wilayat e Muhammad (saww) aur Wasi e Muhammad (as) ke liye, is liye is din ka naam Juma rakha gaya.
(Furoo e Kafi, v2, p210)

Saturday 20 February 2016

GUNAH

***********************************
               ♦GUNAH

Quran

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)

(هَلْ يَنْظُرُونَ إِلَّا أَنْ يَأْتِيَهُمُ اللَّهُ فِي ظُلَلٍ مِنَ الْغَمَامِ وَالْمَلَائِكَةُ وَقُضِيَ الْأَمْرُ ۚ وَإِلَى اللَّهِ تُرْجَعُ الْأُمُورُ)

"Kiya logon ko is baat ka intezar hai ke unke pas Khud Allah Ta'ala Abr (cloud) ke saebano (shadow) mein aa jaye aur Farishte bhi aur (is) amr ka faisla ho jaye, (lekin ye jan lo ke) sare umoor Allah ki taraf palatne hai."
(Surah Baqarah: 210)

👉Allah sakht taur par tanbi kar raha hai, k itni nasihaton ke baad bhi log phir bhi ye sochte hain ke Khuda Allah Ta'ala kisi roop mein aa jaye aur saza de, ye mumkin nahi aur Uski shaan ke khilaf hai. Isliye jo Allah ka hukm nahi maanta uska faisla Qayamat ke din to honewala hai, usko ko is Duniya mein mohlat mili hui hai, aakhir mein to usko Khuda samne pesh hona hai.
----------------------------------------------
Hadith

Imam Ali (as):
"Farzande Adam! Jab Gunaho'n ke bawajood Parwardigaar ki ne'matein lagaataar tujhe milti rahein to KHABARDAAR ho jana."
(Nahjul Balagah)

Imam Ali (as):
"Tanhaai mein bhi Khuda ki na-farmaani se daro, kyunki Jo dekhne wala hai Wohi faisla karnewala hai."
(Nahjul Balagah)
----------------------------------------------

BARKAT

1. Imam Ali (as):
Insaan jis kaam ko anjaam dena chaahe to usay chahiye ke BISMILLAH kahe aur jo kaam Allah ke naam se shuru ho wo Mubarak / barkat-wala hai.
(Tafseer e Namoona, v1, p50)

2. Rasule Khuda (saww):
Jiske din ki shuruaat Ilm haasil karne se hoti hai uspe Farishte saaya karte hain, uski Kamaai mein Barkat hoti hai aur uski Rozi mein zara bhi kami Nahi aati.
(Rizq)

3. Rasule Khuda (saww):
Jo Nek kaam karta hai uske ghar ki taraf Barkatein oos se bhi zyada tezi ke saath pahu'nchti hai jitni tezi se paani ka dhaara apni dhhalaan tak pahunchta hai….
(Man La Yahzarahul Faqih, v2, p42)

4. Rasule Khuda (saww):
Apne ghar waalo'n par Salaam karo, tumhare ghar mein barkat hogi.
(Hadiyat ush Shia, p27)

5. Imam Ali (as)
farmate hain ke Rasule Khuda (saww) ne unhe taalim di ke jab bhi naya libaas (new dress) pehno to kaho, "Hamd hai Oos Khuda ki Jisne ye libaas mujhe pehnaya jo logo'n ke darmiyaan iftekhaar ki alaamat hai. Khudaya, is libaas ko mere liye baais e Barkat bana de ke main ise pehen kar Teri riza talab karu'n aur Teri Masaajid ko aabaad karu'n". H. Ali (as) farmate hain ke Rasule Khuda (saww) ne farmaya, "Jo koi is tarah kisi libaas ko pehnega to uske gunaho'n ko maaf kar diya jayega".
(Amaali - Shaikh Sadooq, p254)

6. Rasule Khuda (saww):
Sabse ba-barkat maut shohda (martyrs) ki hai.
(Hadiyat ush Shia, p42)

7. Imam Sadiq (as):
Koi banda e Momin MOHTAAJ agar Khuda se kehta hai "Aye mere Rab, mujhe Rizq ataa farmaa taaki main fulaa'n fulaa'n neki aur umoor e khair anjaam doo'n", to Allah uski niyyat ki sachchai maalum kar ke usko wo ajr ataa farmata hai jo uske kaam karne par deta hai. Beshak, Allah Wus'at wala aur Kareem hai.
(Al Kaafi, v3, p331)

6. DULHAN KI BARKAT
i) Rasule Khuda (saww):
Jab DULHAN tumhare ghar mein daakhil ho jaaye to baithne ke baad uske paao'n se jootiyaa'n utaaro, uske dono paao'n dho aur oos paani ko ghar ke darwaze se ghar ke aakhir tak chhidko. Pus, jab tum ye amal kar loge to Khuda Wande Aalam tumhare ghar se 70000 qism ki mukhtalif naadari aur faqeeri ko baahar nikaal dega aur 70000 barkatein daakhil karega aur phir 70 Rehmatein Dulhan par naazil farmayega aur ye Rehmatein ghar ke har kone tak phail jayengi aur Dulhan jab tak is ghar mein rahegi wo Diwana, Juzaam aur Bars jaise marz se mehfooz rahegi. (Man La Yahzarahul Faqih, v3, p358)
(Nawaadirul Ahadees, v1, p146)

ii) Rasule Khuda (saww):
Sab se ba-barkat Aurat wo hai jiske akhrajaat (expenses) sab se kam ho.
(Hadiyat ush Shia, p8)

8. SADQA
i) Imam Ali (as):
Daulat ki barkat Sadqe mein hai.
(Tajalliyat e Hikmat, ch Sadqa)

ii) Rasule Khuda (saww):
Sadqa diya karo aur apne Beemaro'n ka ilaaj Sadqe se kiya karo.. Sadqa dene se tumhari Umr aur Nekiyo'n mein Barkat hoti hai.
(Sharh Dua e Kumail)

iii) Rasule Khuda (saww):
Jo banda haraam maal kamata hai aur oos se Sadqa deta hai to usay uspar koi ajr o sawaab nahi milta. Jahaa'n usay kharch karta hai oos se wahaa'n koi barkat nahi hoti aur agar usay apne pichhe chhor deta hai to wo Jahannum ke liye uska zaad e raah hota hai.
(Meezan ul Hikmah, v6, p41)

Friday 19 February 2016

Yaade Mahdi


Sabse Faydemand Shaqs
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn AbīTālib   (عليه السلام) ne farmaya:
"Iss duniya me sabse faydemand woh shaqs hai jo apni Duniya ko bech ke aakherat kharid le."
[Reference:  Ghurar Al Hikam, Hadees No 3076]

Sabse Bada Munafiq
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib (عليه السلام)  ne farmaya:
"Logo'n mein sab se bada munafiq woh hai jo logon ko Khuda ki Ita'at ka hukm dey aur khud uss par amal na karey aur logo'n ko gunah se rokey magar khud gunaho'n ka irteqaab karey."
[Reference:  Tajalliyat Al-Hikmah, Chap 208, Hadees 8, page-no 478]

Imam Ki Raah Me Kharch
Imām Ja'far ibn Muhammad  al-Sādiq  (عليه السلام) ne farmaya:
Allāh (Subhānahu wa ta'alā) ko sabse zyada ye pasand hai ke Imam (alayhi salām) ki raah me Dirham de, Yakinan qayamat ke din Allāh (Subhānahu wa ta'alā) os dirham ko Ohad ke pahad jitna bada karega."
[Reference:  Kafi vol. 1, pg. 451]

Raat Me Soney Se Pahley Zikr
Hazrat Muhammad al Mustafā  (صلى الله عليه وآله وسلم‎)  ne farmaya:
 "Aye Ali, raat soney se pehley 4 martaba Surah Hamd padha karo kay yeh 5000 dirham Allāh ki raah mein kharch karney kay barabar hai- 10 martaba Astaghfirullah rabbi wa atubu 'ilayh padhna, 2 Momin mein sulah karanay kay barabar hai. 3 martaba surah ikhlaas, pura Quran khatm karney kay barabar hai. 10 martaba mujh par durood bhejna, Hajj karney kay barabar hai. 10 martaba Subhan Allahi walhamdu Lillahi wa la ilaha il Allaho wallaho Akbar padhna Jannat ki qimat ada karney kay barabar hai "
[Reference: Aqwaal e Masoomeen(a.s), page 110]

Khufrane Naimat
Imām Muhammad  ibn ‘Alī al-Jawad (عليه السلام) ne farmaya:
"Jis naimat ka shukriya ada na kiya jaye wo us gunah ke misl hai jo bakhsha na jaye ."
[Reference:  Biharul Anwar ,Vol  78 , Pg  365 ]

Naimato ka Badalna
Imām Ali ibn al-Husayn (عليه السلام) ne farmaya:
 "Jo Gunah naimato'n ko badal detey hai unn mein se yeh (bhi) hain 1. Logo'n par zulm karna, 2. Acchi aadat ko chodd dena 3. Nek mehfil ko tark kardena 4. Kufraney naimat karna 5. Shukr na karna ".
[Reference: Mani al Akhbaar Page 270]

Allah se Umeed
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib   (عليه السلام) ne farmaya:
"Apney parwardigaar kay alawa kissi aur par umeed na ho aur apney Gunaho'n kay alawa kissi aur se khaufzada na raho. 
[Reference:  Tajalliyat Al-Hikmah, Hadees 11, page-no 203]

Dua 
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn AbīTālib (عليه السلام) ne farmaya: 
"Ye na socho Allāh Dua fauran qubool kyun nahi karta, ye shukr karo ke Allāh tumhare gunaaho'n sazaa fauran nahi deta.".
[Reference:  Aqwaal e Masoomeen (as), p92]

Daulat me Ezaafa
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib  (عليه السلام) ne farmaya:
"Momin bhai ki madad karne se Daulat me ezaafa hota hai.  Jis  shaks ki niyyat nek aur khalis ho oska Rizq badega."
[Reference: Meezanul Hikmat H.7191/98]

Geebat
1. Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib   (عليه السلام) ne farmaya:
"Gheebat dozak kay kutto'n ki khuraak hain".
[Reference: Tajalliat-e-Hikmat, Chapter 161, Hadees 8, page: 366]

2. Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib   (عليه السلام) ne farmaya: 
"Tum par wajib hai ki Gheebat se parhez karo kyounkay Gheebat logon ko tumhari dushmani par aamada karti hai aur tumharay Ajr ko barbaad kardeti hain.".
[Reference: Tajalliat-e-Hikmat, Chapter 161, Hadees 9, page: 366]

Ghamand
Imām Ja'far ibn Muhammad  al-Sādiq  (عليه السلام) ne farmaya:
"Yakinan ghamand karne walo ko (qayamat ke maidan me) chote cheez banakar tab taq logo ke pairo tale kuchla jayega jab taq ke hisab kitab mukammal na ho jaye".
[Reference:  Al-Kafi, V. 2, P. 311, No. 11]

kamilul Emaan 
Imām Muhammad  ibn ‘Alī al-Baqir (عليه السلام) ne farmaya:
"Jo Khuda kay liyie doosti aur dushmani rakhey aur khuda kay liyie ataa karey wahi kamilul Emaan hai"
[Reference:  Usool e Kafi, vol 2, page 124]

Sehat Aur Fursat
Hazrat Muhammad al Mustafā  (صلى الله عليه وآله وسلم‎)  ne farmaya:
"Do cheezo se aksar logo ko aazmaya jaata hai jisme se ek hai Sehat aur dusri fursat".
[Reference:  Al-Kafi, v. 8, p. 152, no. 136]

Sabr
Holy Prophet Muhammad al Mustafā (S.A.W.W) ne farmaya:
"Beshak kaamyaabi usey milegi jo musibato'n par bhi Sabr kare"
[Reference: Bihaar ul Anwaar,Vol. 77]

Nemato ka Shukr
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib   (عليه السلام) ne farmaya:
 "Sabse pehli zimmedari jo tum par wajib hai Allāh (سُبْحَانَهُ وَ تَعَالَى) ki taraf vo ye ke tum Allāh (سُبْحَانَهُ وَ تَعَالَى) ka Shukr karo oski nemato ke liye aur oski khushnudi hasil karo".
[Reference:  Ghurar al-Hikam, no. 3329]

Jannat aur Doozak
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib  (عليه السلام) ne farmaya:
 "Jannat kay saamney jitni naimatey hain sab haqeer aur nacheez hain aur doozak kay saamney jitni bala'e aur musibatey hain sab aafiyat aur aasaish hain "
[Reference:  Tajalliyat Al-Hikmah, Chap 203, Hadees 1, page-no 466]

Sab se afzal Ibadat 
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib (عليه السلام)  ne farmaya:
“Sab se afzal Ibadat pet aur Sharamgah ki Iffat hai."
[Reference:  Tajalliyat Al-Hikmah, Chapter 148, Hadees 13, page:326]

Balao'n par sabr
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib (عليه السلام)  ne farmaya:
"Balao'n par sabr aur masaeb chupana neki kay khazanon mein se hain."
[Reference:  Tajalliyat Al-Hikmah, Chap 31, Hadees 2, page-no 76]

Faqr
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib (عليه السلام)  ne farmaya:
“Faqr karney se badh kar koi Jahalat nahi."
[Reference:  Tajalliyat Al-Hikmah, Chapter 166, Hadees 13, page: 373]

Najaat
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib (عليه السلام)  ne farmaya:
“Jo cheez tumhare liye zaruri nahi hai use chod do aur apni puri himmat us cheez par sarf karo jo tumhain najaat de".
[Reference: Ghurar Al Hikam, Chapter 81, Hadees 3, page: 257]

Aaqil Aur Jahil
Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib (A.S) ne farmaya:
"Aaqil ka gumaan, jahil kay yaqeen se zydah sahih hota hain."
[Reference:  Tajalliyat Al-Hikmah, Chap 139, Hadees 20, page-no 307]


Thursday 18 February 2016

SHAITAN

                  ♦SHAITAN

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)

(يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا ادْخُلُوا فِي السِّلْمِ كَافَّةً وَلَا تَتَّبِعُوا خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ ۚ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ)

"Aye Imanwalo, tum pure ke pure Islam mein dakhil ho jao aur Shaitan ki pairavi na karo ke woh tumhara khula Dushman hai."
(Surah Baqarah: 208)
----------------------------------------------

Hadith

1. Imam Ali (as):
"Ham Ahle Bait ka Zikr bechaini, bimari, waswasah ke shukook ka ilaaj hai."
[Bihar al-Anwar, v. 81, p. 203, no. 5]

2. Imam Sadiq (as) se jab Shaitani waswason ke bare mein sawal kiya agar aisa zyada ho?
Unhone farmaya:
"Bas kaho, لاإله إلا الله (koi Khuda nahi siwai Allah ke)
(la ilaha illa Allah).’
(al-Kafi, v. 2, p. 424, no.1)

3. Rasule Khuda (saww):
"Jab tak momin 5 waqt ki Namaz ko pabandi e waqt se padhta hai to shaitan oos say khauf-zada rehta hai aur agar wo Namazo'n ko zaaya kare yaani waqt par na padhe to Shaitan ki jur'at padh jaati hai aur usay bade bade gunaaho'n mein dhakel deta hai."
(Wasaael us Shia)

4. Imam Mahdi (atfs):
"NAMAZ se zyada Shaitan ki naak ragadne wali koi cheez nahi; lihaza Namaz padho aur Shaitan ki naak ragdo."
(Guftaar e Dil Nasheen)
----------------------------------------------

Tuesday 16 February 2016

IZZAT

***********************************
                   ♦IZZAT

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)

(وَإِذَا قِيلَ لَهُ اتَّقِ اللَّهَ أَخَذَتْهُ الْعِزَّةُ بِالْإِثْمِ ۚ فَحَسْبُهُ جَهَنَّمُ ۚ وَلَبِئْسَ الْمِهَادُ)

"Aur jab kaha jata hai ke Khuda se daro, to apne Waqar ka khayal Gunah par amaada karta hai, aise Shakhs ke liye to bas Jahannam hi kafi hai aur woh bahut bura thikana hai."
(Surah Baqarah: 206)
----------------------------------------------
Hadith

1. Imam Ali (as):
"Daulat apne maalik ko duniya mein izzatdaar banaati hai magar Allah ke nazdeek usay be-izzat kar deti hai."
(Tajalliyate Hikmat)

2. Imam Sajjad (as):
"(Aye Rab) Mujhe koi aisi zaahiri (outward) izzat NA de magar ye ke mere baatin (inner-self) mein aisi hi inkesaari (humbleness) paida kar."
(Dua e Maqaarim Akhlaaq)

3. Imam Kazim (as):
"Rasule Khuda (saww) ne farmaya ke jaise ek shakhs ka IMAAN badhta hai, uski nazar me aurato'n (ladies) ki izzat badh jaati hai."
(Kashkol)

4. Rasule khuda(saww):
"Jo kisi Musalmaan ke Aib ko zaahir karega to Allah uske Aibo'n ko zaahir karega hatta usay KHUD APNE GHAR MEIN be-izzat kar dega."
(Meezan ul Hikmah, Vol7)
----------------------------------------------

Gaali (Hadith)

Topic - GAALI

1. Holy Quran:
Jo log Allah ke siwaa doosro’n ki ibaadat karte hain unhe gaali NA diya karo warna wo log bhi Allah ko be-samjhe bujhe adaawat ki bina par gaali denge.
(Surah Anaam, Surah 6, Ayat 108)

2. Rasule Khuda (saww):
Shaitan tak ko Gaali NA do, sirf Shaitano'n ke shar (Evil / Mischief) se Allah se panaah maango.
(Tauba Aagosh e Rehmat, p421)

3. Rasule Khuda (saww)
ne (Surah Anaam, Surah 6, Ayat 108 ko madde-nazar rakh kar) farmaya, “Wo mal’oon hai jo apne maa-baap ko gaaliya’n de”.
Logo’n ne kaha “Ya Rasulallah (saww), koi shakhs apne maa-baap ko gaali kaise dega?”
Aap (saww) ne farmaya, “Is tarah ke ye doosra uske baap ko gaali de aur ye doosre ke baap ko gaali de. Ye kisi ki maa ko gaali de, wo iski maa ko”.
(Tafseer Ibne Kaseer, v7, p208)
(Meezan ul Hikmah, v4, p638)

4. Rasule Khuda (saww):
Unko gaaliya’n na do, warna tumhe gaaliy’an denge.
(Tafseer Anwaar e Najaf, v5, p246)

5. Imam Sadiq (as):
Gaali dena ek qsim ki jafaa hai, aur jafaa ke natije mein Jahannum hai.
(Gunaahaan e Kabeera, ch 12 Qazaf)

6. Rasule Khuda (saww):
Logo’n ko gaaliy’an na do kyun ki is se dushmani paida hoti hai.
(Tauba Aagosh e Rehmat, p420)

7. Rasule Khuda (saww):
Musalmaan musalmaan ka bhai hai, na hi uspar Zulm karta hai aur na hi usay gaaliyaa'n deta hai.
(Hadiyat ush Shia, p8)

8. Imam Ali (as):
Gaali se duur raho ke ye Allah ko sakht na-pasand hai.
(Tajalliyaat e Hikmat, p372)

9. Imam Sadiq (as)
se Rasule Khuda (saww) ke is farmaan ka maani daryaaft kiya gaya ke ‘Shirk chyu’nti ki chaal se zyada aahista chalta hai jo saaf patthar par chal rahi ho’.
To aap ne farmaya, “Sahaba mushrekeen ke khudao’n ko gaaliy’an dete the aur uske muqable mein mushrik log Allah ko gaali dete the. Pus is liye Rasule Khuda ne Sahaba ko mana farmaya aur isi ko Shirk e Khafi qaraar diya..”
(Tafseer Anwaar e Najaf, v5, p246)

10. Rasule Khuda (saww):
Jis ne mere Ahlebait (as) par zulm kiya, jis ne unse jung ki, jis ne unke khilaaf zaalim ki madad ki aur jis ne unhe gaaliyaa'n di, unke liye Jannat ko haraam qaraar diya gaya hai aur Qayamat ke din Allah aise logo'n ki taraf nigaah (e karam) nahi karega, unhe paak na karega aur unke liye dard-naak azaab hai.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p89)

11. Commentary:
Gaali dene se aur bura bhala kehne se kisi ko galat raaste se nahi phera ja sakta balke iske bar-aks (contrary) jihaalat se bhara huwa shadeed taasub (hatred / dwesh) jo is qism ke afraad mein hota hai is baat ka sabab ban jaata hai ke wo hathh-dharmi (stubbornness) par ardd jaata hai aur apne baatil deen par aur zyada raasikh (firm / dridhh) ho jaata hai.
(Tafseer e Namuna, v5, p317)

12. Riwaayat:
Imam Ali (as) ne ek shakhs ko dekha jo H. Qambar ko gaali de raha tha aur wo usay barabar ka jawaab dena hi chahte the ke Imam (as) ne unhe pukara, “Ruk jao Qambar! Tum gaali dene wale shakhs ko isi tarah khamosh reh kar zaleel kar do. Is tarah Rehman tumse raazi ho jayega aur tum Shaitaan ko gussa dila doge aur is tarah apne dushman ko aziyyat doge”.
(Gunaahaan e Kabeera, ch 12 Qazaf)
(Amaal- Shaikh Mufeed, Majlis 14)
(Meezan ul Hikmah, v4, p634)

13. Janabe Zainab (sa)
ne Yazid (la) ke darbaar mein kaha, “Agar tum ne kisi ko gaali di hai, to goya tumne apne aap ko gaali di hai. Agar tumne kisi ko nuksaan pahu’nchaya hai to goya tumne apne aap ko nuksaan pahu’nchaya hai. Tum jo kuchh karte ho, wo tum apne aap par karte ho kyun ki tumhara amal tumpar palatt ke aata hai”.
(Moral Values of Qur'an, a Commentary on Surah Hujurat, Ayatullah Sayyid Abdul Husayn Dastghaib Shirazi, ch 16)

14. Rasule Khuda (saww):
…Aur wo jo mere Ahlebait (as) ko gaaliya’n de wo yaqeenan Murtad (apostate) hai aur Islam se khaarij ho gaya hai...
(A Shi'ite Encyclopedia, p358 with authentic Sunni reference of al-Sawa'iq al-Muhriqah, ch11, p357)

15. Rasule Khuda (saww):
Kya tumne kisi se suna hai ke wo Allah ko sabb karta (gaaliya’n deta) ho?
Raawi ne kaha, ‘Nahi huzoor”.
To aap ne farmaya, “Jisne ne Waliyullah ko gaali dega usne goya Allah ko gaali di”.
(Tafseer Anwaar e Najaf, v5, p246)

16. Rasule Khuda (saww):
Ya Ali! Jo tujhe gaali dega usne goya mujhe gaali di aur jisne mujhe gaali di usne goya Allah ko gaali di aur aisa shakhs ultte mu’nh Jahannum mein jayega.
(Tafseer Anwaar e Najaf, v5, p246)
(A Shi'ite Encyclopedia, p358 with Sunni reference of Musnad Ahmad Ibn Hambal, ch6, p33)
(For more non-Shia references of this Hadees, read: http://www.seratonline.com/23475/warning-against-cursing-ali-b-abi-talib-a-s/)

17. Imam Sadiq (as)
ki khidmat mein arz kiya gaya, “Farzand e Rasul (saww)! Hum Masjid mein ek aise shakhs ko dekhte hain ko KHULLAM KHULLA aap ke dushman ka naam lekar unko gaaliya’n deta hai”.
Imam (as) ne farmaya, “Oos MAL'OON ko kya ho gaya hai ke wo hamein khatre mein daal kar logo’n ko hamare khilaaf uksa raha hai? Halaa’nki Khuda wande Aalam ka irshaad hai 'Jo log Allah ke siwaa doosro’n ki ibaadat karte hain unhe gaali na diya karo warna wo log bhi Allah ko be samjhe bujhe adaawat ki bina par gaali denge'”. (Surah Anaam, Surah 6, Ayat 108). Imam Sadiq (as) is Ayat ki tafseer mein farmate hain, “UNKO GAALIYA’N NA DO WARNA YE LOG TUMHARE ALI (as) KO GAALIYA’N DENGE”.
(Aeteqadaat – Shaikh Sadooq, p110)

18. Imam Baqir (as):
Tauraat mein Allah ne H. Musa (as) ke saath jo munajaat farmaayi hai unme zikr farmaya hai, “…Aur Meri makhlooq mein se jo Mere aur tere dushman hain unke saath Meri taraf se narmi ke saath pesh aane ka elaania (openly) izhaar karo aur Mere poshida raaz (hidden secrets) ka izhaar kar ke MUJHE GAALIYA’N NA DILWAAO.  AGAR TUM NE IS TARAH KIYA TO MERE AUR APNE DUSHMAN KE SAATH MIL KAR MUJHE GAALIYA’N DENE MEIN SHAREEK HO JAOGE”.
(Amaali – Shaikh Mufeed – Majlis 23, ch 46)

19. Imam Reza (as):
Hamare mukhalefeen (virodhi / opponents) ne hamare Fazaael (virtues) ke mutalliq Ahadees gharhi hain (have fabricated Traditions) aur oos se unke 3 maqsad waabasta hain:

i) Unki taiyar ki huwi kuchh Riwaayaat GHULU (atishyokti / exaggeration) par mushtamil (aadhaarit / based) hai,

ii) Kuch Riwaayaat TAQSEER (hum ko ghataane) par mushtamil hai aur

iii) Kuchh Riwaayaat unhone aisi taraashi hain jin mein hamare dushman ke naam le kar aibo'n (faults) ko bayaan kiye hain.
Jab log GHAALIYANA (humko hadd se badhaane wali / exaggerated) Riwaayaat sunenge to wo hamare Shiyo'n ko kaafir kahenge aur log ye kahenge ke Shia Ahlebait (as) ko Rab maante hain.
Aur jab log TAQSEER (humko hamari haisiyat se ghataane) par mabni Riwaayaat sunenge to wo hamare liye Taqseer par mabni aqeeda rakhenge aur
JAB LOG YE SUNENGE KE AHLEBAIT (AS) NE NAAM LEKAR APNE DUSHMAN KE AIBO'N KO BAYAAN KIYA HAI TO LOG BHI NAAM LEKAR HUMPAR SUB O SHATAM KARENGE (HAMARA NAAM LEKAR HAME BURA BHALA KAHENGE), JAB KE ALLAH TA'ALA NE (SURAH AN'AAM AYAT NO.108 MEIN) FARMAYA HAI "AUR TUM UNHEIN (BUUTO'N / IDOLS KO) GAALIYAA'N NA DO JINHE YE LOG ALLAH KE SIWA PUKAARTE HAIN, KAHI'N AISA NA HO KE YE JIHAALAT AUR ZYADATI KARTE HUWE ALLAH KO GAALIYAA'N DENE LAG JAAYEIN".
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p269)

20. Riwaayat:
Imam Sadiq (as) ka ek sahabi tha jo har waqt Imam (as) ke saath rehta tha. Ek martaba Imam (as) Hadhaain ki taraf safar kar rahe the to ye sahabi apne gulaam ko lekar Imam (as) ke saath shareek ho gaya.

Raaste mein is sahabi ne dekha ke uska gulaam nazar nahi aa raha hai. Usne 3 baar talash kiya magar wo nahi dikhayi diya. Chauthi martaba talaash karne par jab wo nazar ayaa to gusse mein aakar sahabi ne kaha, “Aye zaaniya (adulteress / vyabhichaari aurat) ke bete! Kahaa’n tha tu?”

Jaise hi Imam (as) ne ye jumle sune to aap ne apni peshaani par haath mara aur kaha, “Subhanallah! Tum ne iski maa par gunaah ki tohmat lagaayi. Abhi tak main tumhe muttaqi samajhta aaya hoon, magar ab mujhe ehsaas huwa ke tum mein Taqwa nahi hai”.

Sahabi ne kaha, “Main aap par qurban! Magar iski maa to mushrekeen mein se hai (lihaaza ye ilzaam galat nahi hai)”, ye keh kar usne apni baat saabit (justify) karna chaahi.

Imam (as) ne kaha, “Kya tumhe nahi maalum ke har qaum ki shaadi ki apni ek rasm hoti hai, jiska ehteraam karna chahiye. Mere paas se chale jao”.

Raawi kehta hai ke is waaqiye ke baad main ne oon dono ki zindagi mein OOS SAHABI KO PHIR KABHI IMAM (as) KE SAATH NAHI DEKHA.
(Anecdotes for Reflection, v4, ch67)

21. Imam Sadiq (as):
Main apne kaano’n se sunta hoon ke ek shakhs mujhe gaaliya’n de raha hota hai magar main is khayaal se ke wo mujhe dekh na le, sutoon (pillar) ke peechhe chhup jaata hoon...
(Phir aap ne farmaya) Jahaa’n tak ho sakey apne mukhalefeen se zaahir mein rawaadari karo aur unse mel-milaap rakho, magar andruni taur par unke mukhalif raho...
(Aur farmaya) Momin se riya-kaari karna ek qism ka SHIRK hai magar munafiq (hypocrite) se uske ghar mein riya-kaari karna ba-manzile IBAADAT hai…
(Aur farmaya) KHUDA OOS SHAKHS PAR REHMAT NAAZIL FARMAYE JO MUKHALEFEEN KE DILO'N MEIN HAMARI MOHABBAT PAIDA KARTA HAI AUR HAMEIN UNKI NAZRO'N MEIN DUSHMAN NAHI BANATA.
(Aeteqadaat – Shaikh Sadooq, p112)

22. Imam Ali (as):
Agar ek aadmi doosre aadmi ko Faasiq (sinner), Khabees (indecent), Kaafir, Munafiq ya Gadha kahe to usay 39 kodey (lashes) maare jaane chahiye.
(Gunaahaan e Kabeera, ch 12 Qazaf)

23. Imam Kazim (as):
Gaaliya'n dene wala zaalim hai aur apne gunaaho'n ke saath doosro'n ka gunaah bhi apne sar par leta hai.
(Haqeeqat e Tabarra by Allamah Farogh Kazmi, p24 with reference of Usool e Kaafi)

24. Rasule Khuda (saww):
Gaali dene waalo’n par Khuda ne Jannat ko haraam qaraar diya hai aur agar gaaliyo’n ke murtakibeen (apradhiyo’n) ki chhaan- been ki jaaye to wo zina-zaade saabit honge ya phir unke nutfo’n mein Shaitaan ki shirkat ka pataa chalega.
(Haqeeqat e Tabarra by Allamah Farogh Kazmi, p23 with reference of Usool e Kaafi)

25. Commentary:
HAR AMAL KA RADDE AMAL HOTA HAI (EVERY ACTION HAS ITS REACTION)

Wo jisko tum ne gaali di wo tumhe gaali dega…Lihaza, doosre ke aib nikaal kar tumne apni galtiyaa’n talaash karne mein doosro’n ki madad ki. Lihaza, kisi ko gaali mat do ke koi tumhe gaali na de.

(Phir Ayatullah Dastghaib Shirazi ne Hadees bayaan ki aur uske zimn mein kaha..) Tum ne kyun kisi ke baap ko gaali di, wo badle mein tumhare baap ko gaali dega. Tum ne kyun kisi ki maa ko gaali di jis ke badle wo tumhari maa ko gaali de.

(Ek aur maqaam par Ayatullah ne farmaya) Gaali dene wala apne aap ko bad-gumaani (cynicism), maayusi, dushmani aur hasad ka shikaar banaata hai. Jab tum kisi ke baare mein bura kehta ho TO TUM APNI HI HAYAA' / IZZAT GHATAA DETE HO. 

(Ek aur maqaam par Ayatullah ne farmaya) Sachcha Momin gaali se is liye nafrat karta hai ke wo usay bura samajhta hai aur isliye nahi ke usay gaali di gayi hai.

(Moral Values of Qur'an, a Commentary on Surah Hujurat, Ayatullah Sayyid Abdul Husayn Dastghaib Shirazi, ch 16 & 9)

26. Imam Ali (as):
Izzat-daar (mukarram / honourable) aadmi kabhi gaali nahi deta.
(Ghorar ul Hakam, v2, p326)

27. Rasule Khuda (saww):
AGAR tum mein se kisi ne kisi ko gaali dena bhi ho to usay na to jaali (fabricated / banaavati) baatein karni chahiye aur na hi uske maa-baap ko gaali dena chahiye aur na hi uske qaum o qabile ko bura bhala kehna chahiye, balke usay kehna chahiye, “Tu kanjoos hai, ya buzdil hai, ya jhoota hai, ya tu bahut sota hai”, AGAR WO WAAQEAN AISA HAI.
(Meezan ul Hikmah, v4, p 643)

 
28 … MAGAR ZYADATI NA KARE
Imam Kazim (as)
ne ek dusre ko gaali dene wale 2 aadmiyo’n ke baare mein farmaya, “In dono mein se pehel karne wala shakhs zyada zaalim hai, uske gunaah mein gaali ka jawaab gaali se dene ka gunaah usko bhi milta rehta hai, ba-shart ye ke mazloom hadd se aage na badhe YAANI JIS HADD TAK JAWAAB DENE SE BARABAR KA BADLA HO JAATA HAI OOS SE ZYADA SAKHT JAWAAB NA DE WARNA USKA GUNAAH BHI GAALI DENE MEIN PAHEL KARNE WALE SHAKHS KI TARAH HOGA”.
(Gunaahaan e Kabeera, ch 12 Qazaf)

29. Commentary:
Misaal ke taur par ek shakhs doosre ko kahe “Aye gadhey” aur doosra shakhs jawaab mein keh de “Aye kutte”, to ye doosre shakhs ka hadd se badh jana hoga. Aur isi tarah ek shakhs ek martaba ‘Gadha’ kahe to doosre shakhs ka 2 ya 2 se zyada martaba kehna hadd se badh jana hoga. Haa’n, agar gaali dene wala shakhs jawaab mein gaali sun’ne se pehle hi maazerat kare aur maafi maang le to maaf kar dena chahiye aur aisi maafi maangne ki soorat mein gaali ka jawaab gaali se dena jaayez nahi hai.
(Gunaahaan e Kabeera, ch 12 Qazaf)