Monday 11 April 2016

Bhai (Brother)

1. Imam Reza (as):
Bada bhai baap ki jagah par hota hai.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p145)

2. Rasule Khuda (saww):
Insaan apne bhai ke zariye taaqat-war banta hai.
(Hadiyat ush Shia, p10)

3. Imam Baqir (as):
Jis ne apne bhai ki ziyarat ki (mulaaqat ki) uske ghar jaa kar to Allah farmata hai ke tu Mera mehmaan aur Mera zaair (Meri Ziyarat karne wala) hai, teri mehmaani Mere upar hai aur Maine Jannat ko tere liye waajib kiya is liye ke tu apne bhai se mohabbat karta hai.
(Al Kaafi, v4, p81)

4. Imam Ali (as):
Apne bhaiyo'n ki mulaqaat - agar che thodi deyr ke liye ho - bahut bada ajr (sawaab) rakhti hai.
(Al Kaafi, v4, p85)

5. Imam Baqir (as):
Jab tum mein se koi apne bhai se miley to chahiye ke Salaam kare aur Musafeha kare. Allah ne is Musafeha se Malaika ko mukarram (ba-izzat / honourable) banaya hai. Pus tum bhi wo karo jo Malaika karte hain.
(Al Kaafi, v4, p88)

6. Imam Sadiq (as):
Koi mard e Momin apne bhai ke haq mein kisi qism ki neki kare to yaqeenan usne Rasule Khuda (saww) se neki ki hai.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p70)

7. Rasule Khuda (saww):
Jab tumhe tumhare bhai ki zarurat ki khabar miley to usay uski zarurat kehne ki takleef na do. (kehne se pehle uski zarurat poori kar do)
(Meezan ul Hikmah)

8. Rasule Khuda (saww):
Jo apne bhai ki Ek pareshani duur kare, Allah uski Akherat ki pareshani duur karega.
(Hadiyat ush Shia, p18)

9. Imam Sadiq (as):
Jo khushnudi e Khuda ke liye apne bhai ko khana khilaata hai aisa hai jaise ek laakh logo'n ko khana khilaya hai.
(Al Kaafi, v4, p120)

Sunday 10 April 2016

ZABAAN

1. Imam Baqir (as):
Tumhara farz hai ke jo jaante ho kaho aur jo na jaante ho oos se zabaan bandh rakho.
(Irshadaat e Masumeen (as), p52)

2. Imam Ali (as):
Zabaan ki maar talwaar ki maar se zyada sakht hai.
(Jaame ul Akhbaar, p156)

3. Rasule Khuda (saww):
Insaan ki balaayein uski Zabaan se janam leti hain.
(Meezan ul Hikmah, v8, p802)

4. Imam Ali (as):
Wo baat jo Dil se nikalti hai Dil mein jaa kar hi thheherti hai aur agar ye baat sirf zabaan se nikli hogi to kaano'n se aage na badh paayegi.
(Tajalliyaat e Hikmat, p415)

5. Imam Ali (as):
Apni zabaan ki tezi ukse khilaaf istemal na kar jisne tujhe bolna sikhaya aur na apne baat ki balaagat uske khilaaf jisne tujhe seedhi raah dikhaayi.
(Meezan ul Hikmah, v1)

6. Imam Sajjad (as):
Zabaan ka haq ye hai ke usay gaali galoch se mehfooz rakho aur usay nek aur shaaista baat kehne ka aadi banao, usay ba-adab banao…. (The right of the tongue is that you consider it too noble for obscenity, accustom it to good, force it to politeness...)
(Risalatul Huqooq¸ ch Zabaan ka Haq)

7. Imam Ali (as):
Zabaan ka zakhm naizo'n ke zakhm se zyada shadeed hai.
(Aasmani Nasihatein, v2, p186)

8. Imam Ali (as):
Jaan lo ke Zabaan kaatne wala kutta hai. Agar usay khula chhor doge to kaatt khayega.
(Meezan ul Hikmah, v8, p803)