1. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs is (Dua e) Ahad ko 4⃣0⃣ subah padhega, wo hamare Qaim (atfs) ke ansaar (helpers) mein hoga aur agar zahoor se pehle mar jayega to Khuda usko Qabr se nikalega taaki Hazrat ki khidmat mein rahe aur Parwardigaar har kalme (word) ke muqable mein 1000 hasnaat (nekiyaa'n) ataa farmayega aur gunaho'n ko maaf karega.
(Mafaatih ul Jinaan, p988)
2. Imam Sajjad (as):
Jab hamara Qaim (atfs) qayaam karega to Allah Shiyo'n ke jismaani oyoob ko bartaraf kar dega (Allah will remove the physical defects of Shias), unke dilo'n ko koh e aahan (iron mountain / lohe ke pahaadd) ki maanind (mazboot) kar dega aur ek Shia ki quwwat 4⃣0⃣ afraad jitni kar dega aur ye log zameen ke hukkam (rulers) aur uske buzurgaan honge.
(Khisaal, p335)
3. Rasule Khuda (saww):
4⃣0⃣ log milkar kisi kaam ke liye Dua kare to Allah Dua qubool karta hai yahaa'n tak ke agar wo Dua kare to pahadd bhi hatt jaaye.
(Sharh Dua e Kumail)
4. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs pehle 4⃣0⃣ Deeni bhaiyo’n ke liye Dua kare aur phir apne aap ke liye to oon Momino’n ke liye aur khud uske liye ki gayi Dua maqbool ho'ngi.
(Khisaal, p333)
5. Imam Sadiq (as):
Jo koi waajib Namaz ko adaa karne ke baad Dua se pehle 4⃣0⃣ baar kahe 'Subhanallahi Wal Hamdu Lillahi Wa La Ilaha Illallahu Wallahu Akbar' to Rabbul Izzat se jo bhi talab karega usay ataa kiya jayega.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p179)
6. Rasule Khuda (saww):
Jo koi kisi Naabina (blind) ko 4⃣0⃣ qadam chalne mein madad karta hai, to uske saare pichhle gunah maaf ho jayenge.
(Nahjul Fasaha)
7. Imam Sadiq (as):
Jis shakhs ke Janaze mein 4⃣0⃣ Momin gawaahi de denge ke 'Hum iske baare mein sirf Khair jaante hain', to Parwardigaar awaaz dega ke tumhari wajah se Maine oon gunaho'n ko bhi maaf kar diya jisko tum nahi jaante the lekin Main jaanta hoo’n.
(Khisaal, ch40)
8. Rasule Khuda (saww):
Meri ummat mein se jo shakhs 4⃣0⃣ Hadeesein Hifz (memorise) kar le jab ke uska maqsad khushnudi e Khuda aur maqaam e Akherat ho to Qayamat ke din Allah usay Ambiya (as), Siddiqeen, Shohda aur Swaliheen ke saath mehshoor farmayega aur ye log kya hi achche saathi hai!
(Khisaal, p336)
9. Imam Sadiq (as):
Jisne hamari 4⃣0⃣ Hadeesein hifz (memorise) kar li, to Allah usko roz e Qayamat Aalim aur Faqih uthhayega.
(Al Kaafi, v1, p104)
10. Rasule Khuda (saww):
Meri Ummat ka jo shakhs sunnat ki 4⃣0⃣ Hadeesein hifz kar le to main roz e Qayamat uski shafa'at karunga.
(Khisaal, p336)
11. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Halaal o Haraam se mutalliq hamari Ahadees mein se 4⃣0⃣ Hadeesein Hifz (memorise) kar le to Qayamat ke din Allah usay Aalim e Faqih mehshoor karega aur usay azaab nahi hoga.
(Khisaal, p336)
12. Rasule Khuda (saww):
Meri Ummat mein se jis shakhs ne apne roz-marra pesh aane waale Deeni umoor se mutalliq 4⃣0⃣ Hadeesein hifz kar li to Qayamat ke din Allah usay Aalim e Faqih mehshoor karega.
(Khisaal, p335)
13. Imam Sadiq (as):
Aye Zurarah! Aasman 4⃣0⃣ din tak shahadat e Imam Husain (as) pe roya tha. (Mustadrakal Wasaail, v1 p391)
(40 Hadith – Azadaari)
14. Imam Sadiq (as)
ne Surah Maryam, Ayat 7 "Hum ne is se pehle unka hum-naam koi nahi banaya hai" ki tafseer mein farmaya, Husain ibne Ali (as) ka naam unse pehle kisi ko nahi diya gaya tha aur Yahya ibne Zakaria (as) ka naam bhi unse pehle kisi ko nahi diya gaya tha. Aur aasmaan kisi par nahi roya 4⃣0⃣ dino'n tak magar sirf in do buzurgo'n par.
Raawi ne puchha ke, “Aasmaan ka rona kya hai?”
Imam (as) ne farmaya, "Aasman ba-waqt e tulu aur guroob (sunrise aur sunset) surkh (laal) hota tha".
(Kaamil uz Ziyaraat, p94)
15. Imam Sadiq (as):
Koi Momin aisa nahi hai jise har 4⃣0⃣ din baad aazmane mein na aaya ho.
(Meezan ul Hikmah, v1, h1938)
16. Imam Sadiq (as):
Mal'oon hai wo shakhs jis par 4⃣0⃣ din baad koi musibat na pahu'nche.
(Meezan ul Hikmah, v1, h1945)
17. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs 4⃣0⃣ roz Khuda ka mukhlees (sincere) ban ke rahega, uske dil se uski zabaan par hikmat ke chashme (springs of wisdom) jaari honge.
(Jaame ul Akhbaar, p160)
18. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Khuda ke liye 4⃣0⃣ roz tak khuloos ikhtiyaar kar le, uske dil se uski zabaan par hikmat ke chashme jaari ho jaate hain.
(Meezan ul Hikmah, v3, p123)
19. Rasule Khuda (saww):
Jo Namaz aap Miswaak (tooth brush) kar ke padhenge, wo bagair Miswaak ke padhi gayi 4⃣0⃣ Din ki Namazo'n se afzal hogi.
(Meezan ul Hikmah, v4)
20. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs 4⃣0⃣ din tak Gosht na khaa sakey usko chaahiye ke qarz lekar Gosht khaaye jiski adaaygi Allah ki taraf se hogi. Aur agar 4⃣0⃣ din tak Gosht na khaaye to pehle daahine kaan (Right Ear) mein Azaan kahi jaaye phir Gosht khaaye.
(Roohul Hayaat)
21. Imam Reza (as):
Masoor 70 Ambiya (as) ki pasandida khoraak hai, is se dil narm hota hai aur aa’nsu bante hain. Jo 4⃣0⃣ din gosht na khayega, bad-akhlaaq ho jayega.
(Tibb e Imam Reza (as), p47)
No comments:
Post a Comment