1. Imam Reza (as)
se ek shakhs ne apni bimari aur aulaad na hone ki shikayat ki. Imam (as) ne farmaya, "Tum apne ghar mein buland awaaz se Azaan diya karo". Oos shakhs ka kehna hai ke usne aisa hi kiya aur uska marz bhi duur ho gaya aur kaseer (bahut zyada) aulaad bhi Allah ne di.
(Furoo e Kafi, v2, p60)
2. Riwayat:
Hishaam bin Ibrahim ne Imam Reza (as) ki khidmat mein apni bimari aur aulaad na hone ki shikaayat ki. Imam (as) ne usay hukm diya ke apne ghar mein ba-awaaz e buland Azaan diya kar. Hishaam bayaan karte hain ke jab main ne aisa kiya to Allah ne meri bimari duur kar di aur mujhe bahut zyada aulaad ataa farmaayi.
(Wasaail ush Shia, v15, p111)
3. Imam Sadiq (as):
Talab e Aulaad ke liye har roz subah ko 100 martaba Astagfaar padho aur agar kisi din bhool jao to doosre din uski qaza adaa karo.
(Tehzibul Islam)
4. Riwayat:
Ek shakhs ne Imam Hasan (as) se ek Bete ki tamanna ki. Imam (as) ne farmaya, 'Khuda se Astagfaar kar'. Usne rozana 7 martaba Astagfaar kiya to Allah ne usay Beta ataa kiya.
(Quran - Hindi Translation by Maulana Farman Ali - Abbas Book Depot, Haashiya of Surah Hud, Ayat 52)
5. Imam Reza (as):
Jis shakhs ke yahaa'n aulaad na paida hoti ho wo Doodh mein Shahed (honey) milaa kar piya kare.
(Tibb e Imam Reza (as), p61)
6. Imam Baqir (as):
Jisko aulaad na hoti ho to wo khoob andey (eggs) khaaye, uski nasl badhegi.
(Tibb ul Aimma (as), p67)
7. Imam Sadiq (as):
Ek Nabi (as) ne Allah ki bargaah mein aulaad ki kami ki shikayat ki. Irshad huwa, "Gosht ko andey (eggs) ke saath khao".
(Wasaail ush Shia, v17, p68)
8. Imam Reza (as)
ki khidmat mein ek shakhs ne haazir hokar aulaad ki kami ki shikaayat ki. Aap ne farmaya, "Astagfaar padha kar aur murghi ka andaa (egg) pyaaz ke saath khaya kar.
(Tibb e Imam Reza (as), p60)
9. Imam Kazim (as)
se ek shakhs ne aulaad ki kami ki shikayat ki. Imam (as) ne farmaya, "Astagfaar padh aur andaa pyaaz ke saath kha".
(Wasaail ush Shia, v17, p68)
10. Imam Sadiq (as):
(Mardana quwwat ke liye) Sufaid pyaaz katar-kar uske tukde kar daalo aur usay teyl mein tal lo (fry in oil). Phir ek pyaale mein andey (egg) ko todd-kar usme thoda sa namak mila kar pheytt lo (beat the egg after adding a pinch of salt) aur oos pyaaz ke saath tal-kar khao.
(Tibb ul Aimma (as), p67)
(Tibb e Imam Sadiq (as) mein pg 52 par isi nuskhe ko Zaitoon ke teyl (olive oil) mein khoob pakaane ki taakid ki gayi hai)
11. Imam Kazim (as):
Jis shakhs ko mardana lihaaz se kamzori huwi ho usko chahiye doodh mein shahed mila-kar pi liya kare.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (saww), p99)
12. Imam Sadiq (as):
Pyaaz khaayein kyun ki iske khaane mein 3 khoobiyaa'n hain: 1) Mu'nh ki boo (smell) khatm hoti hai, 2) Masoodo'n (gums) ko mazboot karta hai, 3) Mani (sperm) mein izafa hota hai aur quwwat e jima ko zyada karta hai.
(Aasmani Nasihatein, v2, p167)
No comments:
Post a Comment