1. Rasule Khuda (saww)
se J. Abuzar Gaffari (ra) ne sawaal kiya ke "Allah Ta'ala ki jaanib se naazil ki huwi Aayaat mein se kaun si Aayat sab se buzurg (Aazam) hai.
Aap (saww) ne farmaya "Ayatul Kursi".
(Nawaadirul Ahadees, v1, p160)
2. Imam Baqir (as):
Jo koi ek baar Ayatul Kursi padhe to Khuda uski har buraayi duniya ki aur 1000 buraayi Aakherat ki mitaa dega aur duniya ki mushkilaat mein se aasaan-tareen Faqr (ghareebi) hai aur Aakherat ki mushkilaat mein se aasaan-tareen Azaab e Qabr hai.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p102)
3. Imam Ali (as):
Jis ne 100 martaba Ayatul Kursi padhi to wo uske jaisa hai jisne poori zindagi Allah ki Ibadat ki ho.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p149)
4. Imam Ali (as):
Apni haajat ke liye ghar se nikalte waqt Surah Aal e Imran ki aakhri aayat aur Ayatul Kursi aur Surah Qadr aur Surah Fatiha padh kar niklo. Is se Duniya aur Aakherat ki haajaat poori hongi.
(Hadiyat ush Shia, p608)
5. Imam Sadiq (as):
Jab bhi tum safar par jaane ka iraada karo to nikalne se pehle Saqda do aur Ayat ul Kursi ki tilawat karo.
(Awaaz e Deene Haq, Jul ’05)
6. Rasule Khuda (saww):
Jo Surah Baqarah ki pehli 4 Aayaat, Ayatul Kursi aur uske baad waali 2 Aayaat aur is Surah ki aakhri 3 Aayaat ki tilawat karega to wo khud aur uska Maal har aafat se bacha rahega, Shaitan oos se duur rahega aur wo kabhi Quran ko faramosh nahi karega.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal, p221)
7. Imam Ali (as):
Jab tum mein se kisi ko aa'nkho'n mein dard ki shikaayat ho to dil mein shifa ki niyyat karo aur phir Ayatul Kursi ki tilawat karo, Insha Allah shifa paaoge.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p109)
8. Imam Reza (as):
Jo shakhs sotey waqt Ayatul Kursi padh le wo faalij (paralysis / laqwe) se mehfooz rahega.
(Tibb e Imam Reza (as), p50)
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal, p223)
9. Imam Ali (as):
Jo shakhs suraj tuloo hone (suryoday / sunrise) se pehle Surah Ikhlaas, Surah Qadr aur Ayatul Kursi 11 - 11 martaba padhe to uska Maal har khatre se mehfooz rahega aur jo shakhs suraj tuloo hone se pehle Surah Ikhlaas, Surah Qadr ki tilawat karega wo poora din gunaho'n se mehfooz rahega agar che Shaitan jitna bhi zor lagaaye.
(Hadiyat ush Shia, p606)
10. Imam Sadiq (as):
Agar tumhara saamna kisi darinde (junglee jaanwar) se ho jaaye to uske saamne pehle Aayatul Kursi padho, phir ye kaho, "Tujh ko main qasam deta hoon Allah ki, qasam deta hoon Muhammad Rasulullah (saww) ki, qasam deta hoon Sulaiman bin Dawood (as) ki, qasam deta hoon Ameerul Momeneen Ali ibne Abi Talib (as) aur unke baad 11 Aimma (as) ki", to wo tumhare saamne se hatt jayega.
(Bihaar ul Anwaar, v8, ch39)
11. Imam Baqir (as):
Jo koi ek baar Ayatul Kursi padhe to Khuda uski har buraayi duniya ki aur 1000 buraayi Aakherat ki mitaa dega aur duniya ki mushkilaat mein se aasaan-tareen Faqr (ghareebi) hai aur Aakherat ki mushkilaat mein se aasaan-tareen Azaab e Qabr hai.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p102)
12. Rasule Khuda (saww):
Jab koi Momin Ayatul Kursi padhta hai aur uska sawaab Qabrastan ke murdo’n ko hadiya karta hai to Allah Azz wa Jall, har ek harf (akshar) ke balde ek Farishta khalq karega aur Roz e Qayamat tak ye Farishte Allah ki Tasbeeh karenge aur is tasbeeh ka sawaab is Ayatul Kursi padhne wale ko milega.
(Al-Haqq Newsletter, Oct – Dec 2010)
No comments:
Post a Comment