1. Rasule Khuda (saww):
Nazar ka lagna ek haqeeqat hai. Pus, jab kisi biradar e Momin ki koi cheez achchi lage to Allah ka zikr kare, oos se koi nuqsaan na hoga.
(Tibb ul Aimma (as), p18)
2. Imam Sadiq (as):
Jis shakhs ko apne Momin bhai ki koi cheez achchi lage to 'Allahu Akbar' kahe, kyun ki nazar ka lagna ek haqeeqat hai. (Aur farmaya) Agar tumhare liye qabro'n ko khola jaaye to dekhoge ke aksar log nazar lagne ki wajah se mare hain, kyun ki nazar ka lagna ek haqeeqat hai.
(Tibb ul Aimma (as), p18)
3. Imam Sadiq (as):
(Nazar lagne se bachne ke liye) Ise padho aur likho aur lattka do: Surah Hamd, Mau'azatain (Surah Falaq aur Surah Naas), Surah Tauheed aur Ayatul Kursi….(aur ek Dua bhi taalim ki).
(Tibb ul Aimma (as), p18)
No comments:
Post a Comment