***********************************
★ Quran
1. ♦HAJJ ♦
(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)
👉
(الْحَجُّ أَشْهُرٌ مَعْلُومَاتٌ ۚ فَمَنْ فَرَضَ فِيهِنَّ الْحَجَّ فَلَا رَفَثَ وَلَا فُسُوقَ وَلَا جِدَالَ فِي الْحَجِّ ۗ وَمَا تَفْعَلُوا مِنْ خَيْرٍ يَعْلَمْهُ اللَّهُ ۗ وَتَزَوَّدُوا فَإِنَّ خَيْرَ الزَّادِ التَّقْوَىٰ ۚ وَاتَّقُونِ يَا أُولِي الْأَلْبَابِ)
👉
"Hajj ke Mahine to (ab sab ko) maloom hain (Shawwal, Zilqad, Zilhajj) pas jo Shakhs in Mahino mein apne upar Hajj lazim karle to Ehram se Akhire Hajj tak na aurat ke pas jay, na koi aur gunah kare, aur na jhagda kare, aur tum Jo bhi Neki karoge us se Allah Ta'ala ba Khabar hai aur (raste ke liye) zade rah mohayya karo aur sab se behtar zade rah Taqwa Parhezgari hai, aur aye aqalmando! Mujhse darte raho."
(Surah Baqarah: 197)
2. ♦HAJJ ♦
(لَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَبْتَغُوا فَضْلًا مِنْ رَبِّكُمْ ۚ فَإِذَا أَفَضْتُمْ مِنْ عَرَفَاتٍ فَاذْكُرُوا اللَّهَ عِنْدَ الْمَشْعَرِ الْحَرَامِ ۖ وَاذْكُرُوهُ كَمَا هَدَاكُمْ وَإِنْ كُنْتُمْ مِنْ قَبْلِهِ لَمِنَ الضَّالِّينَ)
👉
"Tum par apne Rab ka Fazl talash karne mein koi harj nahi. Jab tum Arafat se lauto to Mash'arul Haram ke pas Zikre Ilahi karo aur Uska zikr karo jaise ke Usne tumhe Hidayat di, halanke tum is se pahle bhatke hue the."
(Surah Baqarah: 198)
3. ♦HAJJ ♦
(فَإِذَا قَضَيْتُمْ مَنَاسِكَكُمْ فَاذْكُرُوا اللَّهَ كَذِكْرِكُمْ آبَاءَكُمْ أَوْ أَشَدَّ ذِكْرًا ۗ فَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَقُولُ رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا وَمَا لَهُ فِي الْآخِرَةِ مِنْ خَلَاقٍ)
👉
"Phir jab tum Arkane Hajj ada kar chuko to Allah Ta'ala ka Zikr karo jis tarah tum apne baap dadaon ka zikr kiya karte the, balke isse bhi zyada. Kuchh log woh bhi hain jo kahte hain 'Aye mere Parwardegar hamko (jo dena hai) Duniya mein hi de de halanke Akherat mein inka koi hissa nahi."
(Surah Baqarah: 200)
👉Hajj ka riwaj Islam se pahle bhi tha, Hajj poora hone ke baad haji apne baap dadaon ki fazilate bayan karte, ya bahut sari bakwas baaten karte, tab Allah ne hukm diya ke ye waqt Khuda ke zikr mein guzaren.
4. ♦ HAJJ - UMRAH ♦
(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)
👉
(وَأَتِمُّوا الْحَجَّ وَالْعُمْرَةَ لِلَّهِ ۚ فَإِنْ أُحْصِرْتُمْ فَمَا اسْتَيْسَرَ مِنَ الْهَدْيِ ۖ وَلَا تَحْلِقُوا رُءُوسَكُمْ حَتَّىٰ يَبْلُغَ الْهَدْيُ مَحِلَّهُ ۚ فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَرِيضًا أَوْ بِهِ أَذًى مِنْ رَأْسِهِ فَفِدْيَةٌ مِنْ صِيَامٍ أَوْ صَدَقَةٍ أَوْ نُسُكٍ ۚ فَإِذَا أَمِنْتُمْ فَمَنْ تَمَتَّعَ بِالْعُمْرَةِ إِلَى الْحَجِّ فَمَا اسْتَيْسَرَ مِنَ الْهَدْيِ ۚ فَمَنْ لَمْ يَجِدْ فَصِيَامُ ثَلَاثَةِ أَيَّامٍ فِي الْحَجِّ وَسَبْعَةٍ إِذَا رَجَعْتُمْ ۗ تِلْكَ عَشَرَةٌ كَامِلَةٌ ۗ ذَٰلِكَ لِمَنْ لَمْ يَكُنْ أَهْلُهُ حَاضِرِي الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ وَاعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ)
👉
"Hajj aur Umreh ko Allah Ta'ala ke liye poora karo, pass agar tum (bimari waghaira ki wajah se) majboor ho jao to phir jaise Qurbani mayyassar ho, use kar dalo aur jab tak qurbani apni jagah na pahunch jaye apne sar na mundwao. Albatta tum mein se Jo bimar ho, ya uske sat mein koi takleef (to iske badle) fidya de: khwah wo Roze rakhe ya Sadqa de, khwah Qurbani kare, pas jab mutmain ho jao to Jo Shakhs Hajj-e-Tamatto ka Umrah kare, to usko jo Qurbani mayyassar aye kare, agar Qurbani mumkin na ho to 3 Roze Hajj ke zamane mein rakhe aur saat (7) roze jab wapasi mein. Ye poorer das ho gaye. Ye hukm unke liye hai jo Masjidul Haram ke rehnewale na hon. Alla se darte raho aur samajh lo ke Allah Ta'ala sakht Azaab wala hai."
(Surah Baqarah: 196)
----------------------------------------------
✩Hadith :
1. Imam Sadiq (as):
"Kyunki log (11, 12, 13 Zilhajj ko) Allah ke zawwar aur mehmaan hai, lihaza ye NA-MUNASIB hai ke mehmaan apne mezbaan ki mujoodgi mein ROZA rakkhe."
(40 Hadith Hajj)
2. Imam Baqir (as):
"3 cheezo'n ka sawab Aakherat ke alawa is zindagi mein bhi hai. Hajj - jo gareebi duur karti hai, Sadqa-jo balaae'n mitati hai aur (doosro'n ke saath) neki-jo umr mein izaafa karti hai."
(Greater Sins, v3)
3. Imam Ali (as):
"Hajj aur Umrah gareebi mitaate hai aur gunaaho'n ko dho daalte hain."
(Hajj - The Islamic Pilgrimage)
4. Imam Baqir (as):
"Allah, Azz wa Jall, oos shakhs ke Hajj o Umrah ko qabool nahi karta jisne Haraam maal se anjaam diya ho."
(40 Hadith Hajj)
5. Imam Sadiq (as):
"Hajj ke liye kharch kiya gaya ek dirham, Allah ki khushnudi ke liye diye gaye 20 lakh dirham se behtar hai."
(Hajj - The Islamic Pilgrimage)
6. Imam Baqir (as):
"Jo koi Makkah aata hai, Kaabe ka tawaaf karta hai aur 2 rakaat Namaz padhta hai, Allah uske liye 70000 neki likkhega, uske 70000 gunaah mita dega, usay 70000 darje buland karega, 70000 families ke liye sifaarish (shafa'at) qubool karega, uski 70000 zaroorat poori karega aur uske liye 70000 gulaam azaad karne ka sawaab likkhega, jinki har ek ki qeemat 10000 dirham hogi."
(Hajj - The Islamic Pilgrimage)
7. Imam Baqir (as):
"Jab ek shakhs Hajj pe jaane ka iraada karta hai to uske is SAFAR KI TAYYARI mein uthaaye gaye har kadam ke badle mein Allah uske liye 10 neki likkhega, uske 10 gunaah mita dega aur usay 10 darje buland karega, jab tak wo apni tayyariya'n poori nahi kar leta."
(Hajj - The Islamic Pilgrimage)
8. Imam Sadiq (as):
"Agar log Hajje Baitullah ko tark kare'n to unpe Azaabe Elaahi naazil hoga aur UNHE MOHLAT BHI NAHI DI JAAYEGI."
(Jadeed Fiqhi Masaael, Ayatullah Sistani)
9. Rasule Khuda (saww):
"Arafaat jaakar lautne wale shakhs ka SABSE BADA GUNAAH ye hai ke wo ye soche ke uske gunaah maaf nahi huwe."
(40 Hadith - Hajj)
10. Imam Baqir (as):
"Arafaat aur Al-Mash'ar mein thaherne wale har muttaqi aur gair-muttaqi shakhs ki Dua qubool hogi. Muttaqi ki Duniya aur Aakherat dono ke liye maangi gayi Dua qubool hogi jab ke gair-muttaqi ki sirf Dunyavi haajat ki Dua qubool hogi."
(Hajj - The Islamic Pilgrimage)
11. Imam Sadiq (as):
"Wo jo Mawquf (Arafat aur Muzdalifah ke beech) mein khada rehta hai, Safa aur Marwa ke darmiyaan chalta hai, Maqame Ibrahim pe Namaz padhta hai aur iske baad bhi ye soche ke Allah ne usay maaf nahi kiya, wo SABSE BADA GUNAAHGAAR HAI."
(Greater Sins III)
12. Imam Sadiq (as):
"Arafaat mein thaherne wale kisi bhi gaon (village) ke ek Momin ke badle mein Allah oos gaon ke tamaam Momin ko baksh dega aur kisi bhi Momin khaandan (family) ke Arafaat me thaherne wale ek shakhs ke badle mein Allah oos family ke tamaam Momeneen ko maaf kar dega."
(Hajj - The Islamic Pilgrimage)
13. Imam Sadiq (as):
"Jo Shakhs Hajjul Islam kiye baghair mar jaye jab ke uska Hajj na karna kisi qatai zaroorat, Bimari ya hukumat ki taraf se koi rukawat ki wajah se na ho to uski Maut Yahoodi (Jew) ya Nasrani (Christian) ki Maut hogi.
(Kafi, Manasike Hajj Ay. Sistani)
14. Imam Sadiq (as):
"AMIRI jaldi laane ke liye aur Fakiri aur Tangdasti duur karne ke liye main hamesha Hajj e Baitullah adaa karne se badhkar aur koi cheez nahi dekhta."
(Meezan ul Hikmah, v2i)
----------------------------------------------
No comments:
Post a Comment