1. Allah (swt):
Tumhe apne ghar se lagao hai aur tum usme rehna pasand karte ho, magar jab Mere Ghar mein aate ho to bechaini mehsus karte ho!
(Al-Hadith Al-Qudsi)
2. Imam Sadiq (as):
'Tawraat' mein likha hai ke zameen par Mere ghar Masajid hai. Khush qismat hai wo banda jo apne ghar Wuzu kar ke Mere ghar Meri Ziyarat ke liye aata hai. Jaan lo ke Ziyarat karwaane waale ke liye Zaireen ki takreem (izzat / honour) karna zaruri hai.
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal, p59)
3. Imam Sadiq (as):
Jo koi Masjid banaye, Allah Jannat mein uske liye ghar banata hai.
(Furoo e Kafi, v2, p149)
4. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Masjid banaye agar che chhoti ho, Allah uske liye Jannat mein ghar banayega.
(Hadiyat ush Shia, p18)
5. Rasule Khuda (saww):
Masjid parhez-gaaro'n ka ghar hai.
(Hadiyat ush Shia, p7)
6. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Jamaat (Namaz) ke liye Masjid ki taraf chal kar jaaye, uske liye har ek Qadam ke badle 70000 nekiyaa’n aur utna hi uske darjaat (levels) buland kiye jayenge. Agar wo is haalat mein mar jaaye to Allah uske liye 70000 Farishte muqarrar karta hai jo Qabr mein uske paas aate jaate rehte hain, Qabr ki tanhaai mein uske saath mohabbat ka izhaar karte hain aur uske liye Astagfaar karte hain aur ye silsila uske dobara Qabr se uthaaye jaane tak jaari rahega.
(Meezan ul Hikmah, v4)
7. Imam Sadiq (as):
Behtar hai ke Masjid mein daakhil hote waqt daahina payr (right foot) aage rakhe aur nikalte waqt baaya'n (left).
(Furoo e Kafi, v2, p61)
8. Imam Sadiq (as):
Jab Masjid mein daakhil ho ya wahaa'n se niklo to Muhammad (saww) o Aal e Muhammad (as) par Durood bhejo.
(Furoo e Kafi, v2, p61)
9. Rasule Khuda (saww):
Namaz ke intezaar mein Masjid mein baithhna Ibadat hai jab tak wo 'Hadas' nahi karta. Logo'n ne jab Hadas ka matlab puchha, to aap ne kaha, “Geebat”.
(Islamic Morals, Backbiting Prohibited)
10. Rasule Khuda (saww):
Aakhri zamane mein meri Ummat mein kuchh aise log bhi honge jo Masjid mein aa kar halqa baandh (circle / group banaa) kar baithha karenge aur duniya aur hubb e duniya ka zikr karenge. Tum unke paas na baithhnna kyun ki Allah ko unki koi haajat nahi hai.
(Irshadaat e Masumeen (as), p14)
11. Rasule Khuda (saww):
Jo koi Jumeraat aur Shab e Juma ko Masjid mein safaai kare aur Masjid mein se aa'nkh mein padne waale tinke ke barabar dhuul aur mitti baahar nikaale to Khuda uske gunah maaf farmayega.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p465)
(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal (Naseem e Behisht), p69)
12. Riwayat:
Ek shakhs Masjid mein daakhil huwa. H. Rasule Khuda (saww) wahaa'n par baithhe huwe the. Usay dekh-kar aap pichhe hatt gaye (aur uske liye jagah khaali kar di).
Ye dekh kar usne kaha, "Ya Rasulallah (saww), jagah to kaafi khuli hai".
Aap (saww) ne farmaya, "Ek Musalman ka dusre Musalman par ye haq banta hai ke jab wo usay dekhe ke uska baithhne ka irada hai to uske liye jagah khaali kar de".
(Meezan ul Hikmah, v2, p101)
13. Imam Sadiq (as):
Kabhi kabhi 2 aadmi Masjid mein daakhil hote hain aur unme se ek Aabid hota hai aur doosra Faasiq (gunah-gaar) hota hai. Magar jab Masjid se baahar aate hain to Aabid faasiq hota hai aur Faasiq aabid hota hai, is liye ke jab Aabid Masjid mein daakhil hota hai to usko apni Ibadat par naaz hota hai aur wo isi ko sochta rehta hai aur jab Faasiq daakhil hota hai to wo apne fisq (gunah) par sharminda hota hai aur Allah uske gunaho'n ko maaf kar deta hai.
(Elal ush Sharaye, p278)
14. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Masjid mein chiraag jalata hai (light lagata hai) to Malaika aur Haamilaane Arsh oos waqt tak uske liye Astagfaar karte hain jab tak uski roshni baaqi rehti hai.
(Jaame ul Akhbaar, p110)
15. Imam Sadiq (as):
Sab se achcha wo shakhs hai jo marte waqt 3 cheezein chhor kar jaaye. 1) Nek farzand chhor kar jaaye jo uske liye Astagfaar karta rahe, 2) Koi achchi sunnat aur rawish chhor kar jaaye jin par iske baad (is amal e khair mein) uski iqteda (follow) ki jaaye, 3) Aisa Sadqa Jaariya kare jo uske baad bhi jaari rahe (maslan (for eg.) koi Masjid banaa kar jaaye)
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p228)
16. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Jamaat (Namaz) ke liye Masjid ki taraf chal kar jaaye, uske liye har ek Qadam ke badle 70000 nekiyaa’n aur utna hi uske darjaat (levels) buland kiye jayenge. Agar wo is haalat mein mar jaaye to Allah uske liye 70000 Farishte muqarrar karta hai jo Qabr mein uske paas aate jaate rehte hain, Qabr ki tanhaai mein uske saath mohabbat ka izhaar karte hain aur uske liye Astagfaar karte hain aur ye silsila uske dobara Qabr se uthaaye jaane tak jaari rahega.
(Meezan ul Hikmah, v4)
17. Imam Sadiq (as):
Behtar hai ke Masjid mein daakhil hote waqt daahina payr (right foot) aage rakhe aur nikalte waqt baaya'n (left).
(Furoo e Kafi, v2, p61)
18. Imam Sadiq (as):
Jab Masjid mein daakhil ho ya wahaa'n se niklo to Muhammad (saww) o Aal e Muhammad (as) par Durood bhejo.
(Furoo e Kafi, v2, p61)
No comments:
Post a Comment