Tuesday 1 September 2015

MASJID

1. Imam Sadiq (as):
'Tawraat' mein likha hai ke zameen par Mere ghar Masajid hai. Khush qismat hai wo banda jo apne ghar Wuzu kar ke Mere ghar Meri Ziyarat ke liye aata hai. Jaan lo ke Ziyarat karwaane waale ke liye Zaireen ki takreem (izzat / honour) karna zaruri hai.
(Sawaabul Aamaal, p59)

2. Imam Baqir (as):
Rasuke Khuda (saww) ne Jibraeel (as) se sawaal kiya, "Aye Jibraeel! Zameen par sab se zyada mubarak jagah kaun si hai jisko Khuda pasand karta hai?"
Jibraeel (as) ne jawaab mein arz kiya, "Ya Rasulallah (saww)! Wo jagah Masjid hai aur Allah ki bargaah mein sab se zyada wo banda mehboob hai jo sabse pehle Masjid mein aaye aur sabse aakhir mein Masjid se jaaye".
Phir aap (saww) ne sawaal kiya, "Zameen ka wo kaun sa tukda hai jo Khuda ke gazab ka baais banta hai?"
Jibraeel (as) ne arz kiya, "Wo Bazaar hain aur wo log jo bazaar mein sab se pehle jaate hain aur sabse aakhir mein karobaar band kar ke aate hain Khuda ke gazab ke mustahaq hain".
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p379)

3. Imam Ali (as):
Jo Masajid mein aate jaate rehte hain wo 8 cheezo'n mein se (kam az kam) Ek cheez ko (zaroor) haasil karenge:

Raah e Khuda mein kisi bhai se istefaada (laabh / benefit),

Ya bahut zyada Ilm haasil karega,

Ya mohkam (strong) nishaani ka zuhoor,

Ya oos Rehmat ka milna jiska intezaar tha,

Ya naboodi (vinaash / destruction) se bachane wali guftagu haasil karega,

Ya Hidaayat karne wale kalaam sunega,

Ya khauf ki wajah se tark e gunaah,

Ya sharm ki wajah se gunaah se doori.
(Sawaabul Aamaal, p59)

No comments:

Post a Comment