Monday, 21 September 2015

J. FATIMA ZAHRA (sa) KI TARAF SE TAWAAF

Imam Taqi (as)
se Musa bin Qasim ne sawaal kiya, "Mera iraada huwa ke main aap ki taraf se aur aap ke pidar e buzurgwaar (8th Imam) ki taraf se TAWAAF bajaa laau'n magar aap logo'n ne kaha ke Auliya ki taraf se Tawaaf nahi kiya jaata."
Aap ne farmaya, "Jitna bhi mumkin ho Tawaaf karo, ye jaaez hai."
Raawi ka bayaan hai ke phir main ne 3 saal baad aap se arz kiya, "Aap ne mujhe ijaazat di thi ke aap ki taraf se Tawaaf karu'n aur aap ke pidar e buzurgwaar ki taraf se Tawaaf bajaa laau'n. Main ne jis qadar bhi mumkin huwa, aap dono hazraat ki taraf se Tawaaf kiya. Phir mere dil mein ek aur baat aayi, maine uspar amal kiya."
Aap ne farmaya, "Wo kya?"
Main e arz kya, "Maine ek din Rasulallah (saww) ki taraf se bhi Tawaaf kiya."
(Aap ne 3 baar kaha, 'Swallallahu Ala Rasulallah').
Doosre din H. Ameerul Momeneen (as) ki taraf se Tawaaf kiya, teesre din Imam Hasan (as) ki jaanib se, chauthe din Imam Husain (as) ki jaanib se, paanchve din Imam Ali ibne Husain (as) ki jaanib se, chhathhe din Imam Muhammad Baqir (as) ki taraf se, saatvein din Imam Jafar ibne Muhammad (as) ki taraf se, aathhvein aap ke jadd e buzurgwaar Imam Musa ibne Jafar (as) ki taraf se, navein din aap ke waalid e buzurgwaar ki taraf se aur duswein din aap ki taraf se tawaaf kiya. Ye wo log hain jinki Wilayat Allah ne juzwe Deen (part of religion) qaraar di hai."
Aap ne farmaya, "Phir to tum Wallah Deen e Khuda par aamil ho is liye ke bagair unki Wilayat ke Allah Deen ko qubool Nahi karta. "
Main ne arz kiya, "Aur kabhi kabhi main aap ki jadda e maajeda H. Fatima Zahra (sa) ki taraf se bhi Tawaaf kar leta hoon aur kabhi kabhi nahi bhi karta."
Aap ne farmaya, "UNKI TARAF SE TAWAAF AUR ZYADA KARO, IS LIYE KE AB TAK TUMNE JO AMAL KIYA YE UNME SABSE AFZAL HAI. INSHA ALLAH TA'ALA."

(Bihaar ul Anwaar, v9, p105)

No comments:

Post a Comment