Thursday, 24 September 2015

Dua

🔹ARAFAH DAY SPECIAL🔹
DUA KE ADAAB (14 Ahadees) (MUST READ)

1. Imam Sadiq (as)
se puchha gaya ke Dua maangne ka sahi tariqa kya hai to aap ne farmaya, "Dua ki ibteda mein Khuda ki Hamd karo aur apne upar hone waali ne'maat ko yaad karo, phir Uska shukr bajaa lao, phir Rasule Khuda (saww) par Durood / Salwaat padho, phir apne gunaaho'n ka tasawwur karo aur unka iqraar kar ke Astaghfaar karo. Ye hai Dua ka sahi tariqa."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p423)

2. Imam Ali (as):
Jab tak Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par Salwaat na bheji jaaye, Dua aasmano'n mein chhupi rehti hai.
(Meezan ul Hikmah, v3, p482)

3. Rasule Khuda (saww):
Mujh par Salwaat bhejna tumhari Duao'n ki qubuliyyat ka sabab hai aur tumhare aamaal ki zakaat hai.
(Meezan ul Hikmah, v3, p481)

4. Imam Sadiq (as):
Jab tum ko Riqqat aa jaaye (Dil bhar aaye) to Dua maang liya karo kyun ki Riqqat tab paida hoti hai jab dil mein khuloos ho.
(Meezan ul Hikmah, v3)

5. Rasule Khuda (saww):
Jab tum Dua karo to pehle apni Dua mein doosre logo'n ka haq hai yaani pehle aam logo'n ke liye Dua karni chahiye taaki apni bhi Dua qubool ho.
(Aasmani Nasihatein, v1, p86)

6. Imam Hasan (as):
J. Fatima (sa) naam le le kar momin o momenaat ke liye Dua farmaati aur unke liye bahut bahut Dua karti magar apne liye koi Dua na karti. Jab iska sabab J. Fatima (sa) se puchha gaya to aap ne farmaya, "Pehle padosi, phir ghar".
(Elal ush Sharaaye, p137)

7. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs 40 Momin ke haq mein Dua karne ke baad apne haq mein Dua karega, uski Dua zaroor qubool hogi.
(Khisaal, ch40)

8. Rasule Khuda (saww):
Jab koi shakhs doosro'n ke liye Dua karta hai to Arsh e Ilaahi se awaaz aati hai, "Aye doosro'n ke haq mein Dua karne wale shakhs, tere liye 2 laakh Farishte Dua karenge".
(Aasmani Nasihatein, v1, p86)

9. Imam Sadiq (as):
Jab koi Momin kisi doosre Momin ke liye tanhaai mein Dua karta hai, to uski balaayein tal jaayegi aur Rizq mein izaafa hoga.
(Mishkat ul Anwaa, p802)

10. Imam Kazim (as):
Jo shakhs apne Momeneen (aur Momenaat aur Muslemeen aur Muslemaat) mein se kisi bhai ke liye Dua kare to Allah Ta'ala HAR Momin ke badle ek Farishte ko muayyan farmayega jo uske haq mein dua karega.
(Sawaabul Aamaal, p176)

11. Imam Ali (as)
se Ibn Saba ne sawaal kiya, "Ya Ameerul Momeneen, kya ye sach nahi hai ke Allah har jagah maujood hai?" 
Aap ne farmaya, "Haa'n, ye sach hai." 
Usne kaha, "Phir hum log (Dua maangte waqt) aasmaan ki taraf haath kyun buland karte hain?" 
Imam (as) ne farmaya, "Allah ne kaha hai AUR AASMAAN MEIN TUMHARA RIZQ HAI AUR JIN BAATO'N KA TUMSE WAADA KIYA GAYA HAI, SAB KUCHH MAUJOOD HAI (Surah Zaariyaat, Surah 51, Ayat 22). Humein Rizq uske mehwar (markaz / center) se talab karna chahiye. Ye aasmaan mein Allah ka waada hai."
(Tuhaf al Uqool, p135)

12. Rasule Khuda (saww):
Allah Ta'ala se is tarah Dua maango ke tumhein uski qubuliyyat ka yaqeen ho.
(Meezan ul Hikmah, v3, p495)

KAUNSI DUA NAHI MAANGNI CHAHIYE

13. Rasule Khuda (saww):
Ek shakhs ne ek din yu'n Dua ki, "Aye mere Allah, fulaa'n bande ko maaf na karna aur na hi bakshna". 
Allah Ta'ala ne farmaya, "Aye Mere Bande, tu kaun hota hai ke Mujh par hukm chalaye ke Main fulaa'n ka maaf na karu'n. Main ne oos bande ko maaf kar diya hai aur is bad-dua karne wale ki sirf ye kehne ki wajah se ke 'Aye Allah, fulaa'n ko maaf na karna', Maine iske saare aamaal khatm kar diye hain".
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p159)

KAUNSI DUA NAHI MAANGNI CHAHIYE

14. Riwaayat:
Ek shakhs ne Dua maangte huwe arz kiya, "Parwardigaara! Mujhe Apni makhlooq mein kisi ka mohtaaj na kar". 
Ye sun kar H. Rasule Khuda (saww) ne farmaya, "Aisa mat kaho, kyun ki koi shakhs aisa nahi jo logo'n ka mohtaaj na ho". 
Usne kaha, "Phir main kaisa Dua maangu'n?" 
Aap (saww) ne farmaya, "Yun kaho, Khuda Wanda! Mujhe Apni badtareen makhlooq ka mohtaaj na farma".
(Meezan ul Hikmah, v3, p500)

15. Imam Ali (as):
Tum mein se har ek jab Namaz se faarigh ho jaaye to apne haatho'n ko Dua ke liye aasmaan ki taraf buland karna chahiye aur Parwardigaar ke saath Dua mein israar karein.
(Aasmani Nasihatein, v1, p83)

16. Imam Sadiq (as):
Dua maangte waqt aasmaan ki taraf haath is liye uthhaye jaate hain kyun ki Allah ne jis Rizq ka tum se waada kiya hai wo aasmano'n mein hai. Quran e Kareem mein Surah Zaariyaat, Ayat 22 mein iska zikr hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p92)

17. Imam Reza (as):
Allah Subhanhu har raat ke aakhri hisse mein aur shab e Juma ke ibtedaayi hisse mein ek Farishta naazil karta hai jo nida karta hai ke, "Hai koi Tauba karne wala ke jiski Allah Tauba qubool kare". Tuloo e fajr ke waqt wo waapis chala jaata hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p136)

 ILTEMAAS E DUA

No comments:

Post a Comment