1) Imam Sadiq (a.s.):
"Qurbaani sirf usi jaanwarki ki jaaye jo Zilhaj ke pehle Ashre me khareeda gaya ho."
(Man la yehzar al faqee , jild 2 , hadees 3087)
2) Imam Moosa Kazim (a.s):
"Ghar ke paale huwe jaanwar ki Qurbaani jaayez nahi hai."
(Man la yahzar al faqee , jild 2 , hadees 3064)
3) Imam Zainul Abideen (a.s):
"Qurbaani me se ek tihaai khud khaaye, ek tihaai (Rishtedaaro aur Padosiyo) ko tohfe me de aur ek tihaai tasadduq kare."
(Furu e kaafi, baab 185, hadees 3)
4) Imam e Sadiq (a.s):
"Qurbaani me
1) Ager bhedh ho to kam az kam 2 saal ki ho aur maada behter hai .
2) Agar bakri ho to 2 saal se ziyada ki ho aur narr behter hai aur ager narr na ho to bhedh behter hai.
3) Ager mainda ho to 'kala' ho, beseengh ho, Narr ho, Mota taaza aur tandarust ho.
4) Cow ho to 2 saal se kam ki na ho aur maada behter hai .
5) Oonth ho to kam az kam 2 daant wala ho aur maada behter hai."
(Furu e kaafi, baab 180, hadees 1 to 5)
5) Imam Jafar e Sadiq (a s):
"Kin jaanwaro ki qurbaani jaayez nahi
1) khassi , lekin agar koi doosra jaanwer dastiyaab na ho to jaayez hai, magar behter hai k aisi soorat me bhedh zibah kiya jaaye.
2) Jiska kaan phata ho ya kata ho.
3) Kaana ho ya koi aur aib ho.
4) Qurbaani ke jaanwar ki khaal agar daagne se jali ho to theek hai , lekin agar waise phat gayi ho to jaayez nahi hai.
5) Jo langda ho, dubla ho, kharish ( khujli ) ho ya seengh toota huwa ho, haa agar seengh ka daakhili hissa sahi hai to koi harj nahi."
(Furu e kaafi , baab 180 , hadees 5 to 13)
6) Rasoole Khuda (saww):
"Qurbaani ki khaal qassab ko hargiz nahi deni chaiye balke use sadqa kardena chaiye."
(Furu e kaafi, baab 186 , hadees 1)
7) Imam e Sadiq (a s):
"Eid ul azha ke din Qurbaani karna waajib hai, har us shaks per jisko jaanwar mil jaaye, chota ho ya bada."
(Man la yahzar ul 5faqee, jild 2 , hadees 3044)
8) Rasoole Khuda (saww):
"Qubaani k liye qarz lena jaayez hai aur aisa karz Allah khud ada kerta hai."
(Man la yahzar ul faqee, jild 2 , hadees 3045)
9) Imam Sajjad (as):
Jab Haji Qurbaani ka jaanwar zibah karta hai, to ye uski taraf se Jahannum ka fidya ban jaata hai.
(Wasaail ush Shia, v10, p88)
10) Riwaayat:
Ek martaba H. Ummul Momeneen H. Salma Rasule Khuda (saww) ki khidmat mein haazir huwi aur arz kiya, "Ya Rasulallah (saww), Qurbaani ka din aa pahuncha lekin mere paas Qurbaani ka jaanwar kharidne ke liye raqam nahi hai, to kya main qarz lekar Qurbaani karu'n?"
Aap ne farmaya, "Qarz le lo aur oos qarz ko Allah ki taraf se adaa-shuda samjho."
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v2, p290)
11) Imam Reza (as):
Agar Allah ne Dumbe (sheep) se behtar koi cheez paida ki hoti to oosi ko Janabe Ismail (as) ka fidya qaraar deta.
(Wasaail ush Shia, v17, p52)
12) Imam Sadiq (as):
Tumhari Qurbaani ke jaanwar mote hone chahiye, kyun ki Imam Baqir (as) is cheez ko mustahab jaante the ke Qurbani ka jaanwar mota ho.
(Wasaail ush Shia, v10, p100)
13) Riwaayat:
Rasule Khuda (saww) Qurbani ke din 2 mendhhe (sheep) zibah karte the, ek apni taraf se aur doosra apni ummat ke oon logo'n ki taraf se jo qurbani nahi kar sakte. Aur Ameerul Momeneen (as) 2 mendhhe (sheep) zibah karte the, ek apni taraf se doosra Rasulallah (saww) ki taraf se.
(Furoo e Kafi, v4, p422)
14) BACHCHO'N KE HAATHO'N SE QURBANI KARWANA MUSTAHAB HAI
Imam Sadiq (as):
H. Ali ibne Husain (Imam Sajjad) (as) bachche ke haath mein chhuri pakadwaate the aur phir zaabeh (zibah karne wala shakhs) uske haatho'n par haath rakh-kar jaanwar ko zibah karta tha.
(Wasaail ush Shia, v10, p119)
15) Rasule Khuda (saww):
Apni Qurbani ke zibah ke waqt haazir raho, kyun ki jab Qurbani ke jaanwar ke khoon ka pehla qatra zameen par girta hai to uski barkat se Khuda har gunaah aur har lagzish (galati) maaf kar deta hai…
(Wasaail ush Shia, v10, p120)
16) Imam Reza (as):
Nabi e Akram (saww) par Durood / Salwaat bhejna har maqaam par zaruri hai; chhi'nk ke waqt aur jaanwar ko zibah karne ke waqt bhi Durood Shareef padhna chahiye.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p39)
No comments:
Post a Comment