Saturday 5 September 2015

DASTARKHWAN

DASTARKHWAN PAR ZYADA DEYR TAK BAITHHNA MUSTAHAB HAI

Imam Sadiq (as):
Jab koi qaum khana khaa rahi ho to Khuda uspar kabhi Azaab naazil nahi karta, kyun ki Allah Ta'ala is se kahi'n Ajall o Akram (glorious and generous) hai ke unhe khane ke liye Rozi de aur phir unko Azaab de jab tak faarigh na ho jaaye.
(Wasaail ush Shia, v16, p323)

 Imam Ali (as)
…Aye Kumail! Jab khana khane baithho to usay tuul do (prolong / zyada deyr tak baithho) taaki tumhare saathi bhi peyt bhar kar kha le. Aye Kumail! Jab khana kha chuko to Allah ki Rozi par uski Hamd o Sanaa karo aur ba-awaaz e buland karo taake doosre bhi uski Hamd karein is tarah tumhara Ajr (sawaab) zyada hoga. Aye Kumail! Apne peyt ko khane se na bharo balke usme paani aur saa'ns lene ki gunjaaish rakho.
(Wasaail ush Shia, v16, p324)

1 comment: