Hazrat Rasul Allah (saww) Farmate hain,
Woh yateem jo apne waldain ki tabiyat se mehroom hogaya hai uski yateemi itni aham nahi hai jitni yateemi us yateem ki hai,
Jo apne Imam ki Faiz-o-Barkat se mehroom hai aur apne Imam tak pahochne ki qudrat nahi rakhta.
Jise yeh ilm nahi ke me jin shara’ee cheezon ka moqallif hoon unke bare me mere Imam ka faisla kya hai.
Yeh bhi yateem-e-Ale-Mohammad hai. Aaga raho jo shaks hamare shiyon me se hamare uloom ka Alim hai,
Yeh hamara yateem uski goad me hai, Jo usko hamara raasta dekhayga aur hamara martaba batayga, Aur hamari shariyat samjayga. Woh hamare buland darje me hamare saat hoga.
(Ehtejaj-e-Tabarsi Vol-1 Pg 32)
No comments:
Post a Comment