1. Imam Reza (as)
se sawaal huwa ke Mareez aur Musafir Namaz e Shab raat ke pehle hisse mein padh saktey hain, aakhir iski kya wajah hai?
Imam (as) ne farmaya, "Musafir ko uske safar ki wajah se iski ijaazat di gayi hai aur mareez ko uski beemari ki wajah se uski ijaazat di gayi aur maqsad ye hai ke mareez raahat ke waqt aaraam se soya rahe aur musafir ne agar pichhle peher (late night) safar karna ho to wo bhi sukoon se safar kar sakey".
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p241)
2. Imam Ali (as):
Khuda ki oon Ne'maat ki zyada ummeed rakkho jo tumhare wahem o gumaan (soch) mein bhi na ho'n, kya tum nahi dekhte ke jaadugar chahte the ke unhe Firoun ki nazdeeki haasil ho lekin Allah ne unhe Imaan aur Shahadat ki daulat se malamaal kar diya.
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p426)
3. Imam Ali (as):
...Musa bin Imran (as) apne khandaan ke liye aag lene gaye to Khuda unse hum-kalaam huwa aur Musa (as) Nabuwwat ke saath waapas huwe. Malika e Saba apne mulk se baahar gayi aur Islam se musharraf huwi aur Suleman (as) ki zaujiyat mein aa gayi aur Firoun ki izzat badhaane ki khaatir jaadugar jab Misr gaye to Imaan ki quwwat unhein mil gayi.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p175)
4. Imam Ali (as):
Kabhi kabhi bando’n ki Duao’n ke qubool hone mein is wajah se bhi taakhir (deri) hoti hai ke Dua karne waalo’n ko aur zyada zyada bada Ajr (inaam) miley aur Khuda uski ummeed se zyada bakshish kare.
(Jaame ul Akhbaar, p232)
5. Imam Sadiq (as):
Sehat o Aafiyat (health and safety) ek aisi ne'mat e khafi (chhupi huwi ne'mat) hai ke jab tak maujood rehti hai, oos waqt tak log usko bhulaaye rehte hain aur jab wo kho jaati hai to usay yaad kiya jaata hai.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v4, p314)
6. Imam Sadiq (as):
Jo banda aaraam ke waqt apne bistar par jaa kar 100 baar 'La Ilaha Illallah' kahe to Khuda uske liye Behisht mein ghar banata hai aur jo koi oos waqt 100 baar Astaghfaar kare to uske gunaaho'n ko is tarah oos se giraa diya jaata hai jis tarah darakht ke patte khizaa'n mein girte hain.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p195)
7. Imam Ali (as):
Ye na socho Allah Dua fauran qubool kyun nahi karta, ye shukr karo ke Allah tumhare gunaaho'n ki sazaa fauran nahi deta.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p92)
8. Imam Sadiq (as):
Khuda se itne zyada ummeedwaar mat ho jaao ke gunaaho'n par diler ho jaao aur na hi itne khauf-zada ho jaao ke Uski Rehmat se maayus ho jaao.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p23)
No comments:
Post a Comment