Wednesday 23 March 2016

Dua Translation

Imam Mahdi (atfs):
Parwardigaar! Tujh ko Tujh se sargoshi karne waalo’n ka waasta, khushki aur samandar mein rehne waalo’n ke haq ka waasta, Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par Apni Rehmat naazil farma, Momin o Momenaat ke fuqra (gareebo’n) ko maaldaari aur kushaada-dasti marhamat farma, Momin o Momenaat ke beemaro’n ko shifa o sehat o raahat ataa kar, Momin o Momenaat mein jo zinda hain unpar Apna lutf o karam farma, Momin o Momenaat ke murdo’n par Apni Maghferat aur Rehmat naazil farma, Momino Momenaat ke gareebo’n (musafiro’n) ko salamati aur (maal) ganimat ke saath unke watan pahuncha. (In saari Duao’n ko) Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) ke sadqe mein qubool farma.
(Aqwaal  14 Masumeen (as), p245)

1. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Uske (Apne Wali e Amr (atfs) ke) zariye hum bikhro'n ko jamaa kar de, uske zariye hamare jhagde khatm kar, aur hamari pareshani duur farma. Uske zariye hamari qillat ko kasrat aur zillat ko izzat mein badal de. Uske zariye humein naadaar se tawangar farma aur hamare qarz adaa kar de. Uske zariye hamara faqr (ghareebi) duur farma, hamari haajatein poori kar aur tangi ko aasaani mein badal de. Uske zariye hamare chehre raushan kar aur hamare qaidiyo'n ko rihaai de. Uske zariye hamaari haajat bar la aur hamare waade nibha de. Uske zariye hamari Duaein qubool farma aur hamare sawaal poore kar de. Uske zariye duniya o Aakherat mein hamari ummeedein poori farma aur humein hamari khwaish se zyada ataa kar. Aye sawaal kiye jaane-waalo'n mein sab se behtareen aur aye sab se zyada ataa karne waale!
(Dua e Iftitaah)

2. Rasule Khuda (saww):
Tu Khaaliq hai aur main makhlooq hoo'n. Tu Maalik hai aur main mamlook hoo'n. Tu Parwardigaar hai aur main Tera banda hoo'n. Tu Raaziq hai aur main Rizq paane wala hoo'n. Tu ataa karne wala hai aur main maangne wala hoo'n. Tu sakhawat karne wala aur main kanjoos hoo'n. Tu quwwat wala aur main kamzor hoo'n…
(Dua e Yastasheer)

3. Imam Baqir (as):
Aye Maabud! Is Dua ke waaste se ataa farma, gareeb Momeneen o Momenaat ko maal o mataa, beemar Momeneen o Momenaat ko tandurusti aur zinda Momeneen o Momenaat par lutf  o karam farma. Aur murda Momeneen o Momenaat par bakshish o rehmat farma. Aur musafir Momeneen o Momenaat ko salaamati o Rizq ke saath gharo'n mein waapas la, Apni Rehmat se, Aye sab se zyada Rahem karne waale.
(Dua e Simaat)

4. Imam Sajjad (as):
Mere Allah! Rahem farma mujh par jab mere paas jaan na rahe, Tere huzoor bolne mein jab meri zabaan goongi ho jaaye aur Tere sawaal par meri aql gum ho jaaye. Pus, meri sabse badi Ummeed-gaah! Mujhe oos waqt na-ummeed na kar, jab meri haajat sakht ho, mujhe naadani par duur na farma, meri kam-sabri par mehroom na rakh, meri haajat ke mutaabiq ataa kar aur meri kamzori par rahem farma.
(Dua e Abu Hamza Shumaali)

5. Imam Husain (as):
Aye Maabud! … Main hoo'n jisne buraayi ki, main wo hoo'n jisne khataa ki, main wo hoo'n jisne bura irada kiya, main wo hoo'n jisne nadaani ki, main wo hoo'n jisne bhool ki, main wo hoo'n jo chook gaya, maine khud par etemaad kiya, maine na-daanista gunah kiya. Main wo hoo'n jisne waada kiya, main wo hoo'n jisne waada-khilaafi ki, maine ahed todda, main hoo'n jo iqraar karta hoo'n aur eteraaf karta hoo'n Teri ne'mato'n ka jo mujhe mili hai aur mere paas hai. Mujh par gunaho'n ka bojh hai. Pus, mujhe maaf kar de.
(Dua e Arafa)

6. Imam Sajjad (as):
Mere Maabud! Agar Tu mujhe Jahannum mein daalega to isme Tere dushmano'n hi ko khushi hogi aur agar Tu ne mujhe Jannat mein daakhil kiya to isme Tere Nabi (saww) ki masarrat hogi. Aur qasam Ba-Khuda! Main ye jaanta hoo'n ke Tujhe Apne dushman ki nisbat Apne Nabi (saww) ki khushi manzoor hogi.
(Dua e Abu Hamza Shumaali)

7. Dua:
Aye Maabud! Tera fazl mera sahara hai aur Teri Rehmat o bakshishein meri ummeed hai. Mera koi amal aisa nahi jis se main Jannat ka haqdaar banu'n aur na Ibadat hai ke jo Teri khushnudi ka baais ho, siwaaye iske ke main Teri Tauhid o Adl par eteqaad rakhta hoo'n aur Tere fazl o ehsaan ki ummeed rakhta hoo'n. Aur Tere huzoor Tere Nabi (saww) aur unki Aal (as) ki shafa'at laaya hoo'n.
(Dua e Adeela)

8. Imam Mahdi (atfs):
Hamd (taarif) hai Allah ki jise pukarta hoo'n, to Wo jawaab deta hai aur meri burayi ki parda-poshi karta hai. Main Uski na-farmani karta hoo'n to bhi mujhe badi badi ne'matein deta hai ke jinka badla main Usay nahi deta. Pus, Usne mujh par kitni hi khush-gawaar inaayatein aur bakshishein ki hai. Kitni hi khatarnaak aafato'n se mujhe bacha liya hai, kayee hairat-angez khushiyaa'n mujhe dikhaayi hai. Pus, in par Uski Hamd o Sanaa karta hoo'n aur lagataar Uska naam leta hoo'n.
(Dua e Iftitaah)

9. Imam Sajjad (as):
Aye Maabud! Jab bhi main kehta hoo'n ke main aamada aur taiyar hoo'n aur Tere huzoor Namaz padhne ko khada hota hoo'n aur Tujh se munajaat karta hoo'n, to mujhe oo'ngh aa leti hai. Jab ke main Namaz mein hota hoo'n aur jab main Tujh se raaz o niyaaz karne lagu'n to oos haal mein bar-qaraar nahi rehta. Mujhe kya ho gaya? Main kehta hoo'n ke mera baatil saaf hai. Main Tauba karne waalo'n ki sohbat mein baithh-ta hoo'n aise mein koi aafat aa padd-ti hai jis se mere qadam dagmaga jaate hain aur mere Teri huzoor ke darmiyaan koi cheez aadd ban jaati hai. Mere Sardaar! Shayad ke Tu ne mujhe Apni bargaah se hattka diya aur Apni khidmat se duur kar diya hai. Ya shayad Tu ne dekha ke maine Tujh se mu'nh pher liya hai to mujhe bura samajh liya. Shayad Tu ne dekha ke main jhooto'n mein se hoo'n, to mujhe mere haal par chhor diya. Ya shayad, Tu dekhta hai ke main Teri ne'mato'n ka shukr adaa nahi karta to mujhe mehroom kar diya hai. Ya shayad Tu ne mujhe Ulema ki majlis (gathering) mein nahi paaya to oos bina par Tu ne mujhe zaleel kar diya hai. Ya shayad Tu ne mujhe gaafil dekha to uspar mujhe Apni Rehmat se maayus kar diya hai. Ya shayad Tu ne mujhe bekaar ki baatein karne waalo'n mein dekh to mujhe unhi mein rehne diya. Ya shayad, Tu meri Dua ko sun'na pasand nahi karta to mujhe parey kar diya. Shayad Tu ne mujhe mere jurm o gunah ka badla diya hai. Ya shayad maine Tujh se hayaa karne mein kami ki, to mujhe ye sazaa mili.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

10. Imam Mahdi (atfs):
Hamd (taarif) hai Allah ki jise pukarta hoo'n, to Wo jawaab deta hai aur meri burayi ki parda-poshi karta hai. Main Uski na-farmani karta hoo'n to bhi mujhe badi badi ne'matein deta hai ke jinka badla main Usay nahi deta. Pus, Usne mujh par kitni hi khush-gawaar inaayatein aur bakshishein ki hai. Kitni hi khatarnaak aafato'n se mujhe bacha liya hai, kayee hairat-angez khushiyaa'n mujhe dikhaayi hai. Pus, in par Uski Hamd o Sanaa karta hoo'n aur lagataar Uska naam leta hoo'n.
(Dua e Iftitaah)

11. Imam Ali (as):
Pus, Aye Parwardigaar! Is subah ko mere liye Noor e Hidayat aur Deen o Duniya ki salaamati ki haamil bana kar naazil farma. Aur is raat ko dushmano'n ki makkaari se meri dhhaal aur halaak kar dene waali hawas ki sipar bana de.
(Dua e Sabaah)

12. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Uske (Apne Wali e Amr (atfs) ke) zariye se hamare sino'n ko shifa de aur hamare dilo'n se bugz keena mitaa de. Jis Haq mein hamara ikhtelaaf hai, Apne hukm se uske zariye humein hidayat ataa farma. Beshak, Tu jise chaahe seedhe raaste ki taraf le jaata hai. Uske zariye Apne aur hamare dushman par humein galba ataa farma. Aye sachche Khuda, aisa hi ho!
(Dua e Iftitaah)

13. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Hum shikaayat karte hain Tujh se apne Nabi (saww) ke uthh jaane ki, ke unpar aur unki Aal (as) par Teri Rehmat ho. Aur Apne Wali (atfs) ki poshidgi ki aur shaaki hai dushmano'n ki kasrat (majority) ki aur apni qillat e tadaad (minority) par, Fitno'n ki sakhti aur hawaadis e zamana ki yalgaar ki shikaayat karte hain.
(Dua e Iftitaah)

14. Imam Baqir (as):
(Aye Maabud!) Baksh de mere gunaho'n ko jo unme se pehle hain aur unme se pichhle hain, aur mere maa baap ke aur saare Momeneen aur Momenaat ke gunah baksh de. Aur Apna Rizq e halaal mere liye kushaada kar de. Aur mujh ko bure insaan, bure padosi, bure haakim, bure saathi, bure din, bure sa'at (time) ki aziyyat se bachaaye rakh. Aur meri taraf se badla le oos se jisne mujhe dhoka diya, jisne mujh par zulm kiya, jo zulm ka irada rakhta hai, mere ahl, meri aulaad, mere bhaiyo'n, mere padosiyo'n ke liye jo Momeneen o Momenaat mein se hai, oos se inteqaam le. Beshak, Tu jo chahta hai, uspar qudrat rakhta hai aur har cheez se waaqif hai. Aameen Aye Rabbal Aalameen.
(Dua e Simaat)

15. Imam Sajjad (as):
(Aye mere Sardaar!) Teri saari makhluqaat mein se jo mere liye bura irada rakhta hai usay mere paau'n taley daal de. Aur Shaitan aur sultaan ki buraaiyo'n aur bure aamal se bachne mein meri madad farma. Aur mujhe sab gunaho'n se paak saaf kar de. Apni dar-guzar ke saath mujhe Jahannum se panaah de. Apni Rehmat se mujhe Jannat mein daakhil kar de, Apne fazl se kaali aa'nkho'n waali, khush-shakl Hoor ko meri biwi bana de.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

16. Imam Sajjad (as):
Aye Maabud! Mujhe baksh de aur mere maa-baap ko bhi aur dono par Rahem kar jaise unhone bachpan mein mujhe paala. Aye Allah! Unhe ehsaan ka badla de aur gunaho'n ke badle bakshish ataa farma. Aye Maabud! Baksh de Momin mardo'n aur Momena aurato'n ko, jo unme se zinda aur murda hai, sab hi ko baksh de. Aur unke aur hamare darmiyaan nekiyo'n ke zariye taalluk bana de. Aye Maabud! Baksh de hamare zinda, murda, haazir, gaayeb, mard, aurat, buzurg aur hamare azaad aur gulaam sab hi ko baksh de.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

17. Imam Ali (as):
(Aye mere Maabud aur mere Sardaar!) Ye sawaal karta hoo'n ke har achchayi mein jo Tu naazil farmaye, aur har ehsaan mein jis se Tu Apne fazl se pesh aaye, aur har neki mein jise Tu phailaye aur har Rizq mein jisme Tu wus'at kare, aur har gunah ki bakshish mein aur har khata ke poshida farmaane mein mera bhi bada sa hissa lagaa dena.
(Dua e Kumail)

18. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Usay (Apne Wali e Amr (atfs) ko) moazziz farma aur oos se mujhe izzat de. Uski madad karu'n aur uske zariye meri madad farma. Usay ba-izzat madad de aur usay aasaani ke saath fatah de aur Apni taraf se quwwat-wala madadgaar farma. Aye Maabud! Uske zariye Deen aur Apne Nabi ki sunnnat ko zaahir farma, yahaa'n tak ke haq mein se koi cheez makhlooq ke khauf se makhfi aur poshida na reh jaaye.
(Dua e Iftitaah)

19. Imam Ali (as):
Aye mere Sardaar! Ab main Tujhe Teri izzat ka waasta de kar sawaal karta hoo'n ke meri bad-amali aur bad-kirdaari, meri Dua ko Teri bargaah tak pahu'nchne se na roke. Aur Tu mujhe mere oon poshida raazo'n ke sabab se jinse Tu waaqif hai, ruswa na karna. Aur main chhup chhup kar jo buraiyaa'n aur bad-kaariyaa'n kar chuka hoo'n aur meri daaemi kotaahi, meri jihaalat, meri khwaisho'n ki zyadati, meri gaflat ki wajah se mujhe saza dene mein jaldi na karna.
(Dua e Kumail)

20. Imam Sajjad (as):
Aye Allah! Humein Apne zikr mein mashgool rakh. Humein Apni naraazgi se panaah de. Humein Apne azaab se amaan de. Humein Apni ataao'n se Rizq de. Humein Apne fazl se inaam de. Humein Apne ghar (Kaaba) ka Hajj naseeb farma. Aur humein Apne Nabi (saww) ke Rauze ki Ziyarat kara. Tera Durood, Teri Rehmat, Teri Bakshish aur Teri Reza ho, Tere Nabi (saww) ke liye aur unki Ahlebait (as) ke liye.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

21. Imam Ali (as):
Aye ne'mato'n ko gawaara banane waale! Aye balaao'n ko dafaa karne waale! Aye andhero'n mein ghabrane waalo'n ko raushni  pahu'nchaane waale! Aye (sab kuchh) jaan-ne waale jisne kisi se taalim nahi paayi. Tu H. Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par Rehmat bhej aur mere haq mein wo kar jo Teri shaan ke laayak hai.
(Dua e Kumail)

22. Imam Sadiq (as):
Koi banda e Momin MOHTAAJ agar Khuda se kehta hai "Aye mere Rab, mujhe Rizq ataa farmaa taaki main fulaa'n fulaa'n neki aur umoor e khair anjaam doo'n", to Allah uski niyyat ki sachchai maalum kar ke usko wo ajr ataa farmata hai jo uske kaam karne par deta hai. Beshak, Allah Wus'at wala aur Kareem hai.
(Al Kaafi, v3, p331)

23. Imam Sajjad (as):
Mere Aaqa! Mera dil Tere zikr se zinda hai aur Teri munajaat ke zariye maine apna khauf duur kiya hai. Pus, Aye mere Maula! Aurmeri Ummeed-gaah! Aur mere sawaal ki inteha! Mujhe Apni ita'at mein lagaa-kar mujhe gunaho'n se rok de aur mere aur mere gunaho'n ke darmiyaan judaayi daal de.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

24. Imam Naqi (as):
Oos waqt ko yaad karo jab tum ahl o ayaal (family members) ke saamne pade hoge. Oos waqt na koi tabeeb tumko maut se bacha sakta hai aur na koi dost tumhare kaam aa sakta hai.
(Guftaar e Dil Nasheen, p223)

25. Imam Sajjad (as):
(Mere Maabud! Aur oos waqt (mujh par) Rahem farma jab mere dost bistar par mera pehlu badalte honge. Oos waqt rahem farma jab mere nek padosi takht e gusl par mujhe idhar se udhar karte honge. Oos waqt meherbaani farma jab mere rishtedaar mera janaaza chaaro'n taraf se uthhaye huwe le jayenge. Aur mujh par oos waqt bakshish kar jab Tere huzoor aau'nga aur qabr mein tanha hoo'nga. Aur oos naye ghar mein meri bebasi par Rahem o Karam farma.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

26. Imam Mahdi (atfs):
Aye Maabud! Hum aisi barkat waali hukumat ki khaatir Teri taraf raghbat rakhte hain jis se Tu Islam aur Ahl e Islam ko quwwat de, aur nifaaq aur ahl e nifaaq ko zaleel kare. Aur oos hukumat mein humein Apni ita'at ki taraf bulaane waale aur Apni rehnumaai karne waale qaraar de. Aur uske zariye humein duniya aur Akherat ki izzat de.
(Dua e Iftitaah)

27. Imam Ali (as):
Ya Allah! Mere Maula! Tu ne kitni meri badiyo'n par parda daal diya hai aur kitni sakht balaao'n ko taal diya hai aur kitni lagzisho'n se Tu ne bacha liya hai aur kitne na-gawaar umoor (unpleasant things) ko Tu ne duur kiya hai aur kitni meri khubiyaa'n jinka main mustahaq na tha, Tu ne (logo'n) mein mash'hoor kar di.
(Dua e Kumail)

28. Imam Sajjad (as):
Aye mere Sardaar! Main Tujhe zabaan se pukaarta hoo'n jo gunah se attakti hai. Main oos dil se raaz-goyi (raaz ki baatein) karta hoo'n jise uske jurm ne tabaah kar diya. Aye Paalne wale! Main Tujhe pukaarta hoo'n lekin sehma huwa, darra huwa, chahta huwa, ummeed rakhta huwa. Aye mere Maula! Jab main apne gunaho'n ko dekhta hoo'n, to ghabraata hoo'n aur Tere karam par nigaah daalta hoo'n, to aarzu badhhti hai. Pus, agar Tu mujhe maaf kare to Tu behtareen rahem karne wala hai aur azaab de to bhi zulm karne wala nahi.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

29. Imam Ali (as):
Aye Mere Parwardigaar! Mere badan ki naatwani aur meri chamdi ki kamzori aur meri haddiyo'n ki naazuki par Rahem kar. Aye Wo jisne mujhe paida kiya, mera (achche) naam se zikr kiya, meri parwarish ka samaan kiya, mere Haq mein har tarah ki Neki ki, mujhe giza dene ke asbaab baham pahu'nchaye. Jaise Tune karam ki ibteda ki thi aur pehle se mere haq mein neki karta aaya hai, waise hi barkaraar rakh.
(Dua e Kumail)

30. Imam Ali (as):
Aye ne'mato'n ko gawaara banane waale! Aye balaao'n ko dafaa karne waale! Aye andhero'n mein ghabraane waalo'n ko raushni  pahu'nchaane waale! Aye (sab kuchh) jaan-ne waale jisne kisi se taalim nahi paayi. Tu H. Muhammad (saww) aur Aal e Muhammad (as) par Rehmat bhej aur mere haq mein wo kar jo Teri shaan ke laayak hai.
(Dua e Kumail)

31. Imam Ali (as):
Ya Allah! Aur jo shakhs mere saath kisi tarah ki badee karne ka irada kare to Tu waisa hi irada uske haq mein karna, aur jo mere saath fareb kare to Tu uske fareb ki sazaa de. Aur mujhe Apne oon bando'n mein qaraar de jo hissa paane mein Tere nazdeek behtareen ho, aur Teri huzoor mein unko khaas khusosiyat haasil ho, is liye ke ye rutba Tere khaas fazl ke aur kisi ko nahi mil sakta. Pus ataa kar mujhe ye Apne fazl o karam se aur Apni shaan ke mutabiq mujh par meherbaani farma aur Apni Rehmat se meri hifazat kar, aur meri zabaan ko Apni yaad mein jaari aur mere dil ko Apni mohabbat mein masroof rakh.
(Dua e Kumail)

32. Imam Sajjad (as):
Main panaah chahta hoo'n Teri, na kisi aur ki. Aur siwaaye Tere kisi aur se kashaaish ka Taalib nahi hoo'n. Pus, meri faryaad sunn aur rihaayi de. Aye Wo jo qaidi ko chhurata hai aur bahut saare gunah maaf karta hai! Mere thode se amal qubool farma aur mere bahut saare gunah maaf kar de. Beshak, Tu bahut Rahem karne waala, bahut bakshne waala hai.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

33. Imam Husain (as):
Aye Wo, jisne maa-baap se meri parda-poshi ki hai, ke wo mujhe dhut-kaar denge. Ahl e qabeela aur bhai-bando'n se mere parda  rakha hai ke mujhe daa'ntt-dapatt karein. Aur haakimo'n se mera parda rakha hai ke wo mujhe saza denge. Aye mere Maula! Agar wo mere baare mein wo jaan lete jo Tu jaanta hai to wo mujhe kuchh bhi mohlat na dete, mujhe chhor dete aur qat e talluk kar lete.
(Dua e Arafa)

34. Imam Husain (as):
Mere Maabud! Mujhe mere nafs ki pusti se nikaal de, mujhe shak aur shirk se paak kar de, qabl iske ke main qabr mein jaau'n. Tuhj se madad chahta hoo'n, meri madad farma. Tujh par bharosa karta hoo'n, pus, mujhe chhor na de. Tujh se maangta hoo'n,  pus, na-ummeed na farma. Tere fazl ki aas lagaayi hai. Pus, mujhe mehroom na kar. Teri bargaah se talluk jodaa hai, pus mujh ko duur na farma. Tera darwaza khatt-khatata hoo'n, mujhe bhaga na de.
(Dua e Arafa)

35. Imam Sajjad (as):
Mere Maabud! Mere Sardaar! Agar Tu ne Apne pyaaro'n aur farma-bardaaro'n ke siwa kisi ko maafi na di to gunah-gaar log kis se faryaad kar sakenge? Agar Tu apne wafadaaro'n ko izaat ataa farmayega to khataa-kaar log kis se madad maangenge?
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

36. Imam Sajjad (as):
Mere Sardaar! Tu hi mera aasra hai, Tuhj par bharosa hai, Tujh hi se ummeed hai, Tujh hi par tawakkul aur Teri Rehmat se talluk hai. Teri dewri par deraa daale huwe hoo'n, Teri sakhawat se apni haajat chahta hoo'n.
(Dua e Abu Hamza Shimaali)

No comments:

Post a Comment