Tuesday, 31 May 2016

FAMILY LIFE IN ISLAM

FAMILY LIFE IN ISLAM

1. Imam Sadiq (as):
Rozi aurato'n aur Ahl o Ayaal (family) ke saath hai.
(Wasaail ush Shia, v14, p65)

2. Imam Kazim (as):
Insaan ke Ahl o Ayaal (family) uske aseer o qaidi hain. Pus, jisko Allah Ta’ala apni ne’mato’n se nawaaze usko laazim hai ke apne qaidiyo’n (family members) ke kharch mein izafa kare. Agar aisa na karega to zyada imkaan (possibility) iska hai ke wo ne’mat oos se chhin jaaye.
(Man La Yahzarahul Faqih, v3, p349)

3. Imam Sadiq (as):
Mal’oon hai, mal’oon hai wo shakhs jiske aehl o ayaal (family members) ko tangi mein basar kare.
(Man La Yahzarahul Faqih, v3, p360)

4. Rasule Khuda (saww):
Wo shakhs hum mein se nahi jise Allah ne wasee (bahut zyada) Rizq ataa kiya ho aur wo ayaal (family) ke liye kanjoosi kare.
(Hadiyat ush Shia, p39)
 
5. Rasule Khuda (saww):
Husn e sulook (achcha bartaav) oon logo'n se shuru kare jo aap ke ayaal (family members) hain.
(Man La Yahzarahul Faqih, v4, p296)

6. Rasule Khuda (saww):
Tum mein se behtareen wo hai jo apne ahl o ayaal (family) ke liye achcha ho.
(Hadiyat ush Shia, p40)

7. H. Luqman:
Samajhdaar aadmi ko chahiye ke wo apne ghar mein narm-andaaz bachche ki tarah sulook kare aur apne sakht (tough) mardana andaaz ko baahar ke kaamo'n ke liye rehne de.
(Islamic Morals)

8. Riwayat
hai ke jab Sa'ad ibne Ma'az ko dafn kar diya gaya to Rasule Khuda (saww) ne farmaya, "Usay Fishaar e Qabr ho raha hai". Arz kiya gaya, "Kis liye?" Aap (as) ne farmaya, "Is liye ke uska akhlaaq apne mutalliqeen (family members) ke saath achcha nahi tha". Banda bad-akhlaaqi ki ba-daulat Jahannum ke nichle tabqe tak ja pahu'nchega.
(Meezan ul Hikmah, v3, p296)

*JAB KE*

9. Imam Sadiq (as):
Rasule Khuda (saww) ne Sa'ad bin Ma'az par Namaz e janaza padhi to aap ne farmaya, "70,000 Farishto'n ne - jinme Jibreel e Ameen (as) bhi the - inki Namaz e janaza mein shirkat ki hai." Rasule Khuda farmate hain ke main ne Jibreel (as) se is shirkat ki wajah poochhi ke kis wajah se wo Malaika ki namaz padhne ka mustahaq huwa hai? Jibreel (as) ne kaha, "Sa'ad uthh'te baith'te, paidal chalte ya sawaar hote aur chalte phirte Surah Tauheed (Surah Qul HuWallah) ka wird karte the".
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p423)

10. Imam Sadiq (as):
Jo shakhs ma'ash (Rozi) ki talaash mein sharm se kaam nahi leta, uske akhrajaat (expenses / kharche) mein kami aur haalaat mein aasaani hoti hai aur uske ahl o ayaal (family members) ne'mato'n se behramand honge (faayde mein rahenge).
(Meezan ul Hikmah, v4, p234)             

11. Rasule Khuda (saww):
Mal'oon hai, mal'oon hai wo shakhs jo apna aur apne Aehl o Ayaal (biwi bachcho'n) ka bojh doosro'n par daale aur mal'oon hai, mal'oon hai jo apne bachcho'n ko nazar-andaaz (ignore) kare.
(Furoo e Kafi, v3, p137)

12. Imam Kazim (as):
Ghar ke sarbaraah mard (head of family) ko chahiye ke wo apne ahl o ayaal (family) ka hamesha khayaal rakkhe. Kahi'n aisa na ho ke wo uski maut ki tamanna karein.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p138)

13. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs apne ghar pahu'nche aur apne Ahl o Ayaal (family members) ko Salaam kare to uske ghar mein Barkat hogi aur Farishto'n ko oos ghar se oons (attachment) ho jaayegi.
(Tehzeeb ul Islam, p431)

14. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs apne Ahl o Ayaal (family) ko (khaane ke dastarkhwan par) ikattha kare aur khaane ki ibteda mein 'Bismillah' padhein aur ikhtetaam par Allah ki Hamd o Sanaa karein to dastarkhwan uthhaane se pehle unke gunah maaf ho jaate hain.
(Wasaail ush Shia, v16, p322)

15. Rasule Khuda (saww):
Insaan apne haatho'n se apni Family ke istemaal ki cheezo'n ko uthaaye, is tarah wo Takabbur (Pride) se bacha rehta hai.
(Meezan ul Hikmah, v8)

16. Imam Baqir (as):
Jab koi shakhs Safar se waapas aaye to munasib hai ke apne ghar-waalo'n ke liye kuchh Tohfe laaye chahe wo ek patthar hi ho.
(Tehzibul Islam)

17. Rasule Khuda (saww):
Jo koi bazaar se apne Ahl o Ayaal (family) ke liye tohfa laaye to ye Sadqa dene ke sawaab ke barabar fazilat rakhta hai. Usay chahiye ke ye tohfa wo sabse pehle apni BETI ko de kyun ki jo apni beti ko khush karega to goya usne farzandaan e Ismail (as) mein se kisi Momin ko Raah e Khuda mein azaad karvaya aur jo koi apne Bete ki aa'nkhein raushan karega to ye aisa hai ke jaise Khauf e Khuda mein rone ke barabar sawaab le aur jo koi Khauf e Khuda mein girya kare Behisht mein pur-ne'mat hoga.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p542)

18. Imam Sadiq (as):
Wo jo buzurgo'n ki izzat nahi karta aur bachcho'n par rahem nahi karta, wo hum mein se nahi hai.
(150 Dars)

19. Rasule Khuda (saww):
Apne Ahl o Ayaal (family) ke liye Juma ke din kuchh phal (fruit) aur gosht pesh karo taaki wo Juma ka din aane se khush ho.
(Wasaail ush Shia, v5, p76)

20. Imam Baqir (as):
Jo shakhs logo'n ke saamne apni zaruriyaat pesh karne se bachne ke liye apne ahl o ayaal (family) ke liye mehnat ki garaz se aur padosi par meherbaani karne ke liye duniya ko talab karta hai wo ba-roz e Qayamat Allah Ta'ala se is haalat mein mulaqat karega ke uska chehra chaudhvi'n raat ke chaand ki tarah raushan hoga.
(Meezan ul Hikmah, v4, p235)

21. Rasule Khuda (saww):
Apne ahl o ayaal (family) ki khidmat ya to Siddiq karta hai ya Shahid, ya phir wo shakhs Allah Tabaarak o Ta'ala jiski duniya aur Akherat ki bhalaai chahta hai.
(Meezan ul Hikmah, v4, p508)  

22. Imam Sadiq (as):
H. Ali (as) lakdiyaa'n ikatthi karte, paani khai'nch kar laate aur ghar mein jhaadu dete the. Jab ke J. Fatima (sa) aata peesti thi aur Roti pakaati thi.
(Wasaail ush Shia, v12, p66)

(READ TILL THE END)

23. Imam Ali (as):
Ek roz J. Rasule Khuda (saww) hamare yahaa'n tashreef laaye. J. Fatima (sa) haandi ke paas baithhi thi aur main tanoor (bhatti / tandoor) saaf kar raha tha. Aap ne farmaya, "Aye Abul Hasan (as), meri baat suna aur jo kuchh main kehta hoo'n hukme Khuda se kehta hoon. Jo apne ghar ke karobaar mein apni Biwi ki madad karega, to Khuda uske jism ke har baal ke badle aisi ek saal ki Ibadat ka sawaab ataa karega jiske dino'n mein Roza rakha ho aur raato'n ko Ibadat ki gayi ho; aur Khuda usko saabereen ka sawaab bhi bakshega; aur J. Dawood (as), J. Yaqoob (as) aur J. Isa (as) ka sawaab ataa farmaega. Aye Ali (as), jo shakhs apne biwi bachcho'n ki khidmat se sharm nahi karega to Allah uske har ek qadam par Hajj aur Umrah ka sawaab ataa farmaega. Aur uske jism mein rago'n (nass / vein) ki tadaad ke barabar Jannat mein sheher ataa farmaega. Aye Ali (as), EK LAMHA apne ghar ka kaam karna behtar hai 1000 baras ki Ibadat, 1000 Hajj, 1000 Umrah, 1000 gulaam azaad karne, 1000 Jihaad karne aur 1000 mareezo'n ki ayaadat karne, 1000 Juma padhne, 1000 Janaaze mein shareek hone, 1000 bhooko'n ko khana khilaane, 1000 barehna (nivastra / unclothed) ko libaas pehnane, 1000 ghodey (horses) raah e Khuda mein dene, aur 1000 dinaar oo'ntt gareebo'n ko sadqa dene, Taurait aur Zaboor aur Quran ke padhne, 1000 Qaidi azaad karne aur 1000 oo'ntt (Qurbaani ke) miskeeno'n ko dene se. Aisa aadmi duniya se na uthhega jab tak apna makaan Jannat mein na dekh le. Aye Ali (as), jo koi khidmat e ayaal (family) se mu'nh nahi moddta, wo be-hisaab Jannat mein daakhil hoga. Aye Ali (as), khidmat e ayaal gunahaan e kabira ka kaffara hai, Khuda ke gazab ko khamosh karne wala kaam aur Hoor ul Ein ka meher hai. Is se darajaat aur hasanaat (degrees aur goodness) mein zyadati hoti hai. Aye Ali (as), khidmat e ayaal wohi karta hai jo siddiq aur shaheed ho ya wo jise Allah duniya aur Aakherat mein behtari dena chahta ho".
(Jaame ul Akhbaar, p177)

Rishtedaar
24. Imam Ali (as):
Mohabbat ko rishtedaari ki itni zarurat nahi hoti jitni rishtedaari ko mohabbat ki hoti hai.
(Meezan ul Hikmah, v2)

Rishtedaar
25. Imam Hasan (as):
Qareebi wo hota hai jise Mohabbat qareeb kar de chahe Rishta duur ka ho aur Duur wo hota hai jise Mohabbat duur kar de chahe Rishta qareeb ka ho.
(Meezan ul Hikmah, v2)

26. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs kisi beemar ki haajat ya zarurat poori karne ke liye koshish kare, chaahe oos kaam mein wo kaamyaab ho ya na ho, wo gunaho'n se aisa paak o pakiza ho jaayega jaise maa ke peyt se paida huwa bachcha, chaahe wo beemar uske ghar ka fard (family member) hi kyun na ho.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p159)

27. Imam Sadiq (as):
Apne bachche ko hukm do ke wo apne haath se roti ka tukda ya mutthi bhar anaaj ya koi aur cheez, chaahe kam hi kyun na ho, raah e Khuda mein Sadqa diya kare.
(Meezan ul Hikmah, v8)        

28. Rasule Khuda (saww):
Insaan ka apne ahl o ayaal (family) ke paas baithhna, Allah ke nazdeek meri Masjid mein Etekaaf karne se behtar hai.
(Hadiyat ush Shia, p24)

29.Imam Ali (as): the
(Khabardaar) Apni mashguliyat (samay) zyada-tar apne ahl o ayaal (family) mein mabzool (focussed) na rakho, kyun ke tere ahl o ayaal agar Khuda ke dost hai to Khuda apne dosto'n ko zaaye aur barbaad nahi karta aur agar wo log Khuda ke dushman hai to tumhari mashguliyat aur tumhari tawajjoh dushmanaan e Khuda ki taraf kyun ho?
(Guftaar e Dil Nasheen, p67)

30. Holy Quran:
Aye Imaan walo'n! Tumhara maal aur tumhari aulaad tumko Khuda ki yaad se gaafil na kare aur jo aisa karenge to wohi log ghaate mein rahenge.
(Surah Munafiqoon, Ayat 9)

31. Holy Quran:
Aur yaqeen jaan lo ke tumhare maal aur tumhari aulaad tumhari aazmaish ki cheezein hain (ke jo unki mohabbat mein bhi Khuda ko na bhoole wo Deen'daar hai) aur yaqeenan Khuda ke paas badi mazdoori (ajr) hai.
(Surah Anfaal, Ayat 28)

No comments:

Post a Comment