Sunday, 25 October 2015

Taqleed

Taqleed

Agah e sistani  se puche gaye swaal aur uska jawaab

1. Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he.

(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5)

2) Hazrat imam hasan askari (a.s) :
lougo ko chahiay k fuqaha (yani ahkaam e shariyat ko tafseel o tehqeeq k sath jaane wale mujtahideen) me se jo shaks apne aap ko gunaho se bachata ho, apne deen ki hifazat karta ho, apne nafsani khahishaat ka ghulaam nah ho aur ahkaam ilaahi ki itaat karta ho us ki taqleed kare.

(Ref: Ehtijaaj e tabarsi, Jild#2, Mafhoom e Pg#263).

3) Jo shaks khud mujtahid nah ho aur na he ehtiyaat per amal karta ho us k liay wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare (yani os k fatwe k mutabiq amal kare).
Jis shaks ki taqleed ki jaay wo
(1) mujtahid
(2) mard
(3) baliq
(4) aqil
(5) shia
(6) halal zada
(7)zinda ho aur adil ho.

(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2).

No comments:

Post a Comment