Thursday, 8 October 2015

EID~E~MUBAHILA

MUBAHELA:

"Rasoole Khuda (sa) ne Najran ke Christian ko lakh samjhaya ke woh Esa (as) ko Khuda ka beta na kahen lekin woh na mane. Akhir mein ye thahra ke Mubahela ho. Yani falan jagah falan waqt hum aur tum apne beton, aurton, janon ko lekar jama hon aur ek doosre par Laanat Karen aur Khuda se Azaab talab karen. Itne ashaab hote hue Rasoole Khuda beton ki jagah Imam Hasan aur Imam Husain (as) ko, aurton ki jagah Janabe Fatema Zehra (sa), Janon ki jagah Hazrat Ali (as) (Pajetan-e-Pak) ko le kar gaye. Jab ye maidan mein pahunche to Christian ka Chief Aafis in Pak Hastiyon ko dekh kar kahne laga ke Khuda ki Qasam mein aise Noorani Chehron ko dekh raha hun ke agar ye pahad ko apni jagah se hat jane ko kahen to yaqeenan hat jayega, isi mein khairiyat hai ke Mubahela se hath uthao warna Qayamat tak nasle Nasara (Nazareth) mein se ek na bachega. Aur Jezia dene par razi ho gaye."

Ashaar on EID~E~MUBAHILA
●○●○●○●○●○●○●○●○●○●○●○

1. Tauheed Ke Mizaaj Ka Mazhar Mubahila,
Haqqaniyat Ki Jeet Ka Manzar Mubahila,
Roshan Zameer Fard Ke Andar Mubahila,
Hota Hai Sirf Sach Ka Muqaddar Mubahila,
Jaise Khuda Ka Soorah E Ikhlaas Ho Gaya,
Yeh Lafz Panjetan Ke Liya Khaas Ho Gaya...

2. "UNKE CHEHRE MUNAWWAR SE IMAAN SE
AAYE MAIDAAN MEIN KUCH AJAB SHAAN SE

PEECHHE PEECHHE ALI (as) QALB MEIN SAYYADA (sa)
DAAYEIN BAAYEIN HUSAYN-O-HASAN (as) AAGAYE

3. Har saal ye batati hai EID MUBAHELA,
Mehfil sajao aati hai EID MUBAHELA.

Me panjetan ki eid hu pehchan lo muje,
Paigaam ye sunati hai EID MUBAHELA.

Jo juthe log he wo Manate nhi muje,
Ye keh ke muskurati hai EID MUBAHELA.

Jisko bhi ahtmaad he Aale Rasul par,
WO koum bas manati hai
EID MUBAHELA.

Haq walo ki fata'h ka baya kar ke waqeya,
Batil ki nind udati hai
EID MUBAHELA.

Parda hata ke jutho ke chehre se baar baar,
Haq rasta dikhati hai
EID MUBAHELA.

Aale nabi ki aaj talaq baargaah me,
"Rizwan"sar jukati hai
EID MUBAHELA.

1 comment: