PAANI PEENE KE ADAAB
🔸🔹🔸🔹🔸🔹
1. Rasule Khuda (saww):
Duniya o Aakherat mein sab khaano'n ka sardaar Gosht hai aur tamaam mashrubaat (peene ki cheez) ka sardaar Paani hai.
(Wasaail ush Shia, v17, p51)
2. Imam Sadiq (as):
Aab e Zam Zam har marz ke liye shifa hai.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (saww), p113)
3. Rasule Khuda (saww):
Oon'tt (camel) ki tarah gatt-gatt kar ke ek ghu'ntt (ek saa'ns) mein paani na piyo balke 2 - 3 ghu'ntt kar ke piyo. Jab paani peene lago to Bismillah padho aur peene ke baad Alhamdulillah kaho.
(Tibb e Nabi Akram (saww), p31)
4. Imam Baqir (as):
Paani peene ke adaab mein se qaabil e khayaal adaab ye hai ke ibteda mein Bismillah kahe aur ikhtetaam par Alhamdulillah.
(Tehzeeb ul Islam, p99)
5. Imam Sadiq (as):
Kabhi aisa hota hai ke ek shakhs paani nahi peene paata ke Allah Ta'ala usko paani hi se Behishti (Jannati) kar deta hai aur soorat iski ye hoti hai ke wo shakhs paani peene mein thhaher jaaye aur Khuda ki taarif (Hamd) kare, phir piye aur abhi pyaas baaqi ho phir thhehre aur Khuda ki taarif kare phir piye. Khuda Wande Ta'ala is taarif ke sabab se Behisht uspar waajib kar deta hai.
(Tehzeeb ul Islam, p97)
6. Imam Sadiq (as):
Agar koi shakhs paani peene se pehle Bismillah keh le phir ek ghu'ntt pi-kar thhaher jaaye aur phir Bismillah keh le aur phir baad paani pi chukne ke Alhamdulillah kahe to jab tak wo paani uske peyt mein rahega Khuda ki Tasbeeh padhega aur iska sawaab peene wale ke liye likha jayega.
(Tehzeeb ul Islam, p97)
7. Imam Sadiq (as):
Agar wo shakhs jo tumhe paani de wo tumhara ghulaam ho to 3 dafaa (3 ghu'ntt) kar ke piyo aur agar azaad ho to ek dum se pi jao.
(Tehzeeb ul Islam, p98)
PAANI & ISTEQBAAL E AYYAM E AZAA
8. Imam Sadiq (as):
Allah la'nat kare qaatil e Husain (as) par ke qatl e Husain (as) ki yaad hamare dil ko na-gawaar bana gayi hai. Main thanda paani nahi peeta kyun ki yaad e Husain (as) tung karti hai. Yaad rakho koi aadmi aisa nahi hai jo paani pi-kar Husain (as) ko yaad kare aur unke qaatil par la'nat kare aur Khuda uska ajr na de. Khuda aise shakhs ke liye Ek Laakh nekiyaa'n likhta hai aur uske Ek Laakh darjaat buland karta hai aur ye aise hai goya oos shakhs ne goya Ek Laakh gulaam azaad kiye…
(Amaali - Shaikh Sadooq, Majlis 29, p140)
9. Imam Sadiq (as):
Jo banda paani pi-kar H. Imam Husain (as) aur unke Ahlebait ko yaad kare aur oon Hazrat ke qaatileen par la'nat kare to Haq Ta'ala ek laakh nekiyaa'n uske naam e aamaal mein likhega aur ek laakh gunaah mitaa dega aur ek laakh darje uske buland karega aur usko is qadar sawaab hoga ke goya ek laakh bande usne Khuda ki raah mein azaad kiye aur Haqq e Ta'ala Qayamat ke din usko khush-haal aur mutmaeen khaatir mash'hoor karega; aur paani pi-kar ye kahe to behtar hai, "Swalwaatullahi 'Alal Husaine Wa Ahlebaitehi Wa As'haabehi Wa La'natullahi 'Alaa Qatelatal Husaine Wa 'Adaaehi".
(Tehzeeb ul Islam, p97)
PAANI
&
ANIMAL RIGHTS IN ISLAM
10. Imam Baqir (as):
Allah Ta'ala kisi ke jigar ki aag ke bujhaane (Pyaase ko Paani pilaane) ko bahut pasand karta hai. Aur jo shakhs kisi jaanwar ke jigar ki aag ko bujhayega (Paani pilayega) to Allah Ta'ala Apne Arsh mein usko oos din rakhega jis din Uske saaye ke siwa doosra saaya na hoga.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v2, p48)
11. Rasule Khuda (saww):
Ek dafaa ka zikr hai ke ek gunaahgaar aurat ku'nwe (well) ke paas se guzri ke ek pyaasa kutta pyaas se mar raha tha. Oos aurat ne apna joota utaara aur dupatte se baandh-kar ku'nwe se paani bhara aur oos pyaase kutte ko pilaaya. Khuda Wande Aalam ko ye amal itna pasand aaya ke Unse is aurat ke saare gunaah baksh diye.
(Aasmani Nasihatein, v1, p69)
12. Imam Sadiq (as):
Bani Israel mein ek budhha shakhs tha. Jab wo ibaadat kar raha tha to usne dekha ke 2 bachche ek murghi ko pakadd-kar uske parr (feather) khench rahe the. Wo murghi dard ki wajah se cheekh rahi thi magar wo shakhs apni ibaadat mein masroof raha aur oon bachcho'n ke chungal se oos murghi ko azaad nahi karvaya. To Allah ne zameen ko hukm diya ke is shakhs ko nighal jaaye aur choos ke bilkul gehraaye mein utaar de.
(Greater Sins, ch30, p508)
13. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs ek chidiya (sparrow) ko bila wajah maar daale to Khuda Wande Aalam Qayamat ke din uske baare mein sawaal karega.
(Aasmani Nasihatein, v1, p69)
14. Riwaayat:
H. Rasule Khuda (saww) ne jaanwaro'n ko aag mein jalaane ki mumaniyat (paabandi) farmaayi hai.
(Tehzeeb ul Islam, p364)
15. Imam Sadiq (as) :
Ek aurat ne billi ko kamre mein band kiya jis se wo pyaasi mar gayi. Khuda Wande Aalam ne uske is feyl se azaab mein mubtela kiya.
(Aasmani Nasihatein , v1, p69)
(Tehzeeb ul Islam, p364)
(Nayaab Gauhar, ch Azaab)
ISLAM NE JAANWARO'N KA ITNA KHAYAAL KIYA HAI MAGAR UMMAT NE NAVASA E RASUL (SAWW) AUR UNKI AAL KO PAANI SE MEHROOM RAKHA, UNPAR ZULM KIYA AUR JHULASTE DASHT MEIN SHAHEED KIYA
QAATILAAN E IMAM HUSAIN (as) PAR BE-SHUMAAR LA'NAT
16. Rasule Khuda (saww)
se ek shakhs ne sawaal kiya, “Ya Rasulallah (saww)! Wo kaun sa amal hai jis ko main anjaam doo’n taake Jannat mein daakhil ho jaoo’n.”
Aap (saww) ne farmaya, “Nayi mashk kharido aur uske zariye logo’n ko paani pilaate raho, yahaa’n tak ke wo mashk phatt jaaye. Kyun ki wo nahi phattegi magar tere liye Jannat waajib ho jayegi.”
(Amaali – Shaikh Toosi, v2, 404)
No comments:
Post a Comment