1. Imam Husain (as):
Jis momin ki aankh se ek qatra aa'nsu ka hamari musibat mein nikle ya aankhein uski aa'nsuo'n se bhar aayein Haq Ta'ala usko hamesha Behisht (Jannat) mein rakhega.
(Bihaar ul Anwaar, v1, p116)
2. Imam Ali (as):
Aa'nsu khusk hote hain sirf dilo'n ki sakhti aur be-rehmi se aur dil sakht ho jaate hain sirf gunaaho'n ki kasrat (excess) se.
(Elal ush Sharaaye, p61)
3. Rasule Khuda (saww):
Jiski aankhein khauf e Khuda se behne lagein uska sawaab ye hai ke uske har qatra e ashk ke badle Ohad ke pahaadd ke barabar Ajr uske naama e aamaal mein daal diya jayega.
(Meezan ul Hikmah, v1, p665)
4. Imam Sadiq (as):
Duniya mein har cheez ka wazn aur paimaana hai siwaaye aa'nsuo'n ke, kyun ki aa'nsu ka ek qatra aatish (jahannum) ke samandar ko bujha sakta hai...
(Meezan ul Hikmah, v1, p667)
No comments:
Post a Comment