Wednesday, 12 August 2015

Roman English Hadith

Yateem
Imam Ali (as):
Yateem ki kefalat karne wala khuda ke nazdeek burgazeeda aur mutakhab (chuna hua)hai.
(Ghurarul Hikam v2 p787/5)

Gunah
Imam -Sadiq (as):
Koyi banda nahi magar uske dil main ek safeed (white) nukta hota hai, Jab gunah karta hai, Us safeed nuktey se siya (Black) nukta nikal a/’ata hai. Agar tauba kare tu voh siyahi mit jati hai. Agar woh gunaho main doob gaya aur lagatar alooda raha tu dil ki siyahi badjati hai.yantak ke woh dil puri safeedi ko gair leti hai. Jab safeed nukte par mokammal taur par kala parda chajata hai. Tu ayse dil ke malek khabi bhi khair ki taraf ruzoo nahi karenge.
(Gunahne Kabira Vol 1 Pg 68)

Nasihat e Imam
Imam Ali (as):
Jis par tum ehsaan karogey, uspar tumhari hukoomat hogi.
Jis sey tum apni haajat bayaan karogey, tum uske qaidi ban jaoge.
Jis se tum beniyaaz (needless) rahoge, to uskey baraabari waaley ho jaaoge.
(Meezanul hikmah, V1)

Salaam
Imam Baqir (as):
6 Aadmi Qabil-e-Salaam nahi hain:
1) Yahoodi (Jew)
2) Nasrani (Christian)
3) Majoosi (Fire Worshipper)
4) Bait-ul-Khala (Toilet) ke Andar
5) Woh Shayar Jo Aurto'n par ilzam Lagata hai!
6) Woh Shakhs Jo Mazaq me Maa ki Gaali Deta hai!
(Ref: Pg. No. 21 Tohfa-e-Rizvia;
Tarteeb: Allama Zeeshan Haider Jawadi Sb)

Ehsan
Imam Ali (a.s):
Bhaiyon ke sath ehsan ke sath raho aur darguzar karke unke gunaho ko chhipao.
(Akwale Ali (a.s)v1 p44)

ILM
Imam Ali (as) :
Kamtar Ilm vo hay jo zuban say zahir ho aur Balatar Ilm vo hay jo kirdar say zahir ho.
(Ghurar Hikam)

Ism e Aazam
Imam sadiq (as)
Kya mey tumhe khuda k ism e aazam se aagah na karu ?

Farmaya :  surah hamd, surah ahad, autal kursi and surah qadr qibla ru ho kar padho fir jo chahe doa karo
(mohajjuddawat, p316)

Momin
Imam Jafar Sadiq (as):
Momin Ki Qasam Ko Poora Karo,
Uss Ki Daawat Qabool Karo,
Marz Me Uss Ki Ayadat Karo,
Uss K Janazay K Saath Jaao,
Uss K Kahe Baghair Uss Ki Haajaat Poori Karo,
Agar Tum Ne Inn Tamam Baton Per Amal Kar Liya To Tum Ne Momin Ke Sab Huqooq Ada Kar Liay.
(Hadiya Tush shia)

DIL
Rasule Khuda (saww):
Aadmi ke Andar ek gosht ka tukra hai jiske paak o saaf hone se tamam jism saaf rehta hai..
Agar wo kharab aur ganda ho jaye to tamam jism ganda aur napaak rehta hai, uska naam dil hai.
(Rooh'ul hayat)

ROTI
Imam Ali (as):
Roti ki qadr karo, Kyunke is Roti ke liye Arsh se Farsh tak koshish kee jaati hai.
Aasman se Barish aati hai aur Zameen me Gandum ughti hai, Phir Roti Naseeb hoti hai.
(Aasmani Naseehatein,  Pg.156)

Tauba
Holy Quran:
Tauba oon logo'n ke liye NAHI hai jo (zindagi bhar) buraaiya'n karte hain aur phir jab maut saamne aa jaati hai to kehte hain ke ab humne Tauba ki, aur na un ke liye Tauba hai jo haalate Kufr mein mar jaate hain, aise hi logo'n ke vaaste Hum ne DARDNAAK AZAAB taiyar kar rakkha hai.
(Surah Nisa, Surah 4, Ayah 18)

Umr (Age)
1. Holy Quran:
Aur Hum jis shakhs ko (bahut) zyada umr dete hain to usay khilqat mein ulatt-kar phir bachcho'n ki tarah majboor kar dete hain, to kya wo log samajhte nahi?
(He whom We bring unto old age, We reverse him in creation [making him go back to weakness after strength]. Have ye then no sense?)
(Surah Yaseen, Ayat 68)

2. Imam Sadiq (as):
Jab koi 100 baras ki umr ka ho jaaye to uski aql 7 baras ke bachche ke barabar ho jaati hai.
(Irshadaat e Masumeen (as), p89)

Geebat
Rasule Khuda (saww):
Geebat ka kaffara ye hai ke jiski tum ne geebat ki jab bhi uski yaad aaye uske liye Allah se Astagfaar karo.
(Al Kaafi, v4, p321)
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p117)
(Meezan ul Hikmah, v7)

Tijaarat / Business
Imam Sadiq (as):
Isme kya harj hai ke ek taajir (business-man) jo saara din karobaari masrufiyaat (activities) mein guzaar deta hai ke wo raat ko sone se pehle Quran ki koi Surah padhh le taake uske naama e aamaal mein Har Ayat ke badle mein 10-10 nekiyaa'n likh di jaayein aur 10-10 buraaiyaa'n mitaa di jaayein.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p32-)

Waaledain ( parents )
1. Rasule Khuda (saww):
Jab koi kisi ko "BISMILLAH HIR RAHMAN IR RAHIM" ki taalim de to Allah oos bachche, uske maa-baap aur ustaad ko Dozakh ki aag se Najaat ka parwana deta hai.
(Sharh Dua e Kumail)

2. Rasule Khuda (saww):
Waaledain ke saath RAHEM-DILI se pesh aana, Namaz, Roze, Hajj, Umrah aur raahe Khuda me Jihad karne se BEHTAR hai.
(Jaame 'al Saadaat, v2, p264)

3. Imam Sadiq (as):
Jo koi Allah pe aur Roze Qayamat me yaqeen rakhta hai, usay waajib namaz ke baad Sure Qulhowallah padhna bhulna NAHI chaahiye, kyun ki har koi jo iski tilaawat karta hai, Allah usay DUNIYA aur AAKHERAT ki HAR KHAIR ataa karega aur usko, uske waaledain ko aur uske bachcho'n ko MAAF kar dega.
(Uddatud Dai)

Padosi
1. Rasule Khuda (sawa):
Jo Shakhs Apne Padosi Ko Taqleef Dega, Khuda Us Par Jannat Ki Khushbu Haraam Kar Dega, Or Uska Thikana Jahannam Hoga.
(Tehzeeb-ul-Islam, p.273)

2. Imam Ali (as):
Apne Padosi Ki Izzat Karo Kyu Ki Wo Tumhare Liye Aisa Hai Jiska Tum Sahara/Madad Lete Ho..
(Sahifa e Kamela, p.378)

3. Imam Ali (as):
Agar Tum Apne Padosi Ko Acche Haal Mai Dekho To Unki Us Amr Mai Madad Karo, Agar Musibat Mai Dekho To Unhe Es Haal Mai Na Chodo..
(Tezeeb-ul-Islam, p.274)

4. Rasule Khuda (sawa):
Jo Padosi'o Ke Haq Ko Rook/Stop Leta Hai, Allah Aakhirat Mai Uske Neki Or Uske Ahsan Ko Rook Leta Hai..
(Tehzeeb-ul-Islam, p.273)

5. Rasule Khuda (sawa):
Wo Shakhs Sabse Badtar Hai, Jo Apne Padosi Ko Dekh Kar Khush Ho, Or Andar Se Usae Kose..
(Tehzeeb-ul-Islam, p.273)

6. Imam Baqir{as}
"Jo Hukuk Tum Ne Apne Upar Lazim Kiye Hue Hai Usse Peche Mat Hato, Or Jis Cheez Ki Tumhre Padosi Ko Zarurat Hai, Usae Wo Do..
(Tehzeeb-ul-Islam p.274)

Mazdoor
1. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs mazdooro’n par zulm karega, Khuda wande Aalam uske amal ko zaaya kar dega aur uspar Behisht haraam kar dega jab ke uski khushboo 500 saal ke faasle se soonghi jaayegi.
(Meezan ul Hikmah, v1, p61)

2. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs khaadim (naukar) ki ujrat (mazdoori / wages) nahi deta wo mal'oon hai.
(Aasmani Nasihatein, v1, p78)

Aib
Imam Ali (as):
Kisi ke Aibo’n ke baare mein sochna bhi Aib hai.
(Meezan ul Hikmah, Vol7)

Rozi Me Barkat
Imam Baqir (as):
Azaan ka jawab dene se (dohraane se) rozi mein izaafa hota hai. 
(Bihaar ul Anwaar, v88)

Dua e Noor
Bibi Fatema Zehra(sa)
"Aye Salaman !
Agar Tum Chahte Ho Ke Jab Tak Zinda Raho, Kabhi Bukhar Na Ho To Har Roz 'Dua-e-Noor' Padha Karo..
(Tehzeeb-ul-Islam, P.223)

Aqalmand/Behtareen Insaan
1. Imam Ali (a.s):
Aqalmand woh hai jo us cheez ko ehmiyat nahi deta jis cheez per jahil jaan deta hai.
(Gurar ul Hikam 2/176)

2. Imam Ali (a.s):
Behtareen kaam woh hai jo Insaan ko azaab se najahat ki taraf dawat de.
(Gurar ul Hikam 1/85)

3. Imam Ali (a.s):
Iss duniya me sabse faydemand woh shaqs hai jo apni Duniya ko bech ke aakherat kharid le.
(Ghurar Al Hikam, H.3076)

Sadqa
1. Rasule Khuda (saww):
Apne Momin bhai ki taraf muskurana, Neki ki taraf daawat dena aur buraai se rokna, bhatke huwo'n ko raasta batana, aur logo'n ke raaste se patthar, kaante aur haddiyaa'n hataana, ye tamaam mukhtalif kism ke sadqe (different forms of charity) hai.
(Nahjul Fasaha)

2. Imam Sajjad (as):
Jab koi shakhs kisi kamzor miskeen ku SADQA de aur Miskeen usay Duaei‟n de to OOSI LAMHE Dua Mustajaab hogi. 
(Sawaabul Aamaal)

Namaaz Me Tawajjo
Rasule Khuda (saww):
"Poore dhyaan (tawajjo) ke saath padhi gayi do (2) Raka'at Namaz, raat bhar khade hokar ki gayi aisi ibaadat se behtar hai jisme dil bhatka huwa ho."
(The Prayer)

Tijaarat / Business
Rasule Khuda (saww):
Taajir log (businessmen) hi faajir (immoral / bhrashtt) hote hain. Logo'n ne puchha, "Ya Rasulallah (saww)! Kya Khuda ne khareed o farokht ko halaal nahi kiya?" Aap (saww) ne farmaya, "Halaal to kiya hai lekin wo baatein aisi karte hain jinme jhoot hota hai aur qasmein khaate hain jinse wo gunahgaar ho jaate hain".
(Meezan ul Hikmah, v1, p766)

Sabr
Rasule Khuda (saww):
Jo Momin kisi balaa / musibat mein mubtela ho jaye aur uspar SABR kare to uska Ajr o Sawaab EK HAZAAR SHAHID ke barabar hai.Salwat
(Mishkaat ul Anwaar)

Rishtedar
1. Imam Ali (as):
Rishtedaro se husn e sulook na karna hi qat e rahm ki ibteda hai.
(Gurar ul Hikam1/586)

2. Rasule khuda(saww)
Jo shakhs apni Beti ki shaadi aise Aadmi se kre jo Mazhab ka paaband NAHI HAI, to usne Yaqeenan apni Beti k saath QAT-E-RAHEM kiya or uske saath Taallukat KAAT diye.
(Kashkol Book2, Pg52)

3. Janabe Fatima Zahra (sa): Allah ne Waaledain ke saath neki karne ko Apni naraazgi ke liye dhaal (shield) banaya hai…aur Sile Rahem ko bulandi ka aur lambi Umr ka sabab qaraar diya hai.  (Guftaar e Dil Nasheen)

4. Imam Sadiq (sa):
Sile Rahami se
➡ Acche padosi milte hai,
➡ Shahr aabad hote hai aur
➡ Umr lambi (tulani) hoti hai.
(Al-Kaafi, vol 2, Page 152, Mafatihul Hayaat, Page 212)

Imaan e Abu Talib (as)
Imam Baqir (as):
Agar Janab e Abu Talib{as} K Imaan Ko tarazu K Ek Palley Me Rakha Jaye Or Digar Tamam Logo K Imaan Ko Dusre Palley Me Rakha Jaye To Imaan e Abu Talib{a} Ka Palla Bhari Hoga.
(Momine Quraish P.169)

Taqwa
1. Imam Ali (a.s):
Taqwa tumhare aur khuda ke beech mazboot tareen waseela hai agar tum use hasil karlo aur dardnaak azab se bachane ka sipar hai.
(Ghurarul Hikam v2 p 739/5)

2. Imam Ali (a.s) :
Taqwa ye hai ki insan har us cheez se parhez kare jo usko gunahgar banae.
(Ghurarul Hikam v2 p739/7)

Dilo ki Sakthi
Imam Ali (a.s):
Aansu khushk hote hain sirf Dilo'n ki shakthi aur be-rehmi se. Aur Dil sakth ho jate hain to sirf Gunaaho'n ki kasrat ki wajah se.
(Elul al Sharaaye, Pg.62(02)

Mazaaq
Imam Sajjad (a.s):
Allah ka ek din (QAYAMAT) hai, oos din wo log ghaata uthhayenge jo dusro'n ka MAZAAQ udaane mein umr ganwaate hain. 
(Aaina e Huqooq (Sharh Risaalatul Huqooq))

ILM
Imam Ali (as): 
Aye Kumail, ILM maal se behtar hote hai, ILM tumhari hifaazat karta hai jab ke maal ki tum hifaazat karte ho.
(Tajlliyaate Hikmat)

Nafarmaniye Waledain 
Imam Sadiq (a.s): 
Jisne apne Maa Baap par ghazabnaak Nazar daali jabki Unhone uspe ZULM hi kyu na kiya ho, Uski NAMAZ Qubool na hogi.
(Usool e kafi, Vol. 4
Baab Nafarmaniye Waledain
Hadees #5
Page 310)

Badbhakt Insan
IMAM ALI (A.S.)
 Sab se bada badbakht Insaan woh hai jo doosro ki duniya ke liye apna deen furukht karta hai.
(Gurar ul Hikam 1/708)

Musibat
Holy Prophet Muhammad al Mustafā (S.A.W.W):
"Beshak kaamyaabi usey milegi jo musibato'n par bhi Sabr kare". 
(Bihaar ul Anwaar,Vol. 77)

BARKAT
1. Imam Ali (as):
Insaan jis kaam ko anjaam dena chaahe to usay chahiye ke BISMILLAH kahe aur jo kaam Allah ke naam se shuru ho wo Mubarak / barkat-wala hai.
(Tafseer e Namoona, v1, p50)

2. Rasule Khuda (saww):
Jiske din ki shuruaat Ilm haasil karne se hoti hai uspe Farishte saaya karte hain, uski Kamaai mein Barkat hoti hai aur uski Rozi mein zara bhi kami Nahi aati.
(Rizq)

Rozi
Imam Ali (as):
"Jo duniya chahta hai use maut dhunti hai take use duniya se nikaal bahar kare. Aur jo aakherat chahta hai use duniya dhundti hai take uski rozi us tak pahucha de."
(Tajalliyate Hikmat)

Duniya
Imam Ali (as):
"Wo ghaate me hai jo duniya hi me mashgool raha aur apna aakherat ka hissa kho baitha."
(Tajalliyate Hikmat)

Ghamand
Imām Sādiq  (a.s) 
"Yakinan ghamand karne walo ko (qayamat ke maidan me) chote cheez banakar tab taq logo ke pairo tale kuchla jayega jab taq ke hisab kitab mukammal na ho jaye". 
(Al-Kafi, V. 2, P. 311, No. 11)

Sadaqah
IMAM ALI (A.S.)
Poshida taur per diya jaane wala Sadaqah behtareen neki hai.
(Gurar ul Hikam 1/770)

★Azaab
1. Rasule Khuda (saww):
Meri Ummat ke oon logo'n ke liye sakht azaab hai jo ye kehte hain ke fulaa'n shakhs Jannati hai aur fulaa'n Jahannumi hai.
(Meezan ul Hikmah, v1, p811)

2. Rasule Khuda (saww):
Tum Khuda ke baare mein ye na kaho ke Wo (fulaa'n ko) nahi bakshega, kyun ki jo aisa kehta hai Khuda usay jhoota kar deta hai.
(Meezan ul Hikmah, v1, p811)

3. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Khuda ke kaamo'n mein apna faisla sunata hai, Khuda usay jhoota kar deta hai.
(Meezan ul Hikmah, v1, p812)

★Lanat
Imam Baqir{as}
"Jo Shakhs Magrib Ke Waqt Hamare Dushman Pe Lanat Kare, Allah Uske Din Bhar K Gunah Ko Maaf Kar Dega.
(Wasail us Shia v.2 p.129)

Dua
Imam Sadiq (as):
Dua KARO aur ye NA kaho ke jo Taqdeer mein likkha hai wohi hoga, is liye ke Allah Qaadir e Mutlaq hai aur Dua taqdeer ko badal deti hai.
(Roohul Hayaat)

Dil ka Murda hona
Rasule Khuda(sawa)
"Pait Bhar K Khana Na Khaya Kro Warna Tumhary Dilon Sy Ma'arfat Ka Noor Buj Jaey Ga.
(Ref Za'ad-e-Raah, Safa.91)

★Namaaz
1. Imam Ali{as}
"Namaz Ke Liye Allah{swt} Ka Irshaad Hai Ke Apne Gharwalo Ko Namaz Ka Hukm Do, Or Khud Bhi Uski Pabandi Karo..
(Nehjul Balagah P.509)

2. Imam Ali{as}
"Namaz Ki Pabandi Karo, Or Usae Ziyada Se Ziyada Padho, Or Uske Zariye Se Allah{swt} Ke Qareeb Ho Jao.
(Nehjul Balagah P.508)

3. Imam Kazim (as):
"Khuda Ki Marefat Ke Baad Sab Se Afzal/Behtar, Cheez Se Takarrub Kar Sake Wo Namaz Or Waledain K Sath Neki Hai..
(Tohful ukool)

4. Imam Ali (a.s):
Agar namazi ko yeh maloom ho jaee keh us waqt usper kitni rehmat naazil ho rahee hai toh woh sajdah se kabhi sar na uthaee.
(Gurar ul Hikam 1/783)

5. Rasul e Khuda (sawa):
Meri Aankho Ki Thandak Or Roshni Namaz Hai, Mujhe Aisi Mehbub Hai, Jese Bukha Khane Ko Or Pyasa Paani Ko Dost Rakhta Hai.
(Ruhul Hayaat P.282)

6. Rasule Khuda(sawa):
"Deen Me Namaz Ka Wohi Makaam Hai Jo Badan Me Sir Ka Makaam Hai.
(Hadiat ul Shia, P.12)

Qatl
IMAM SADIQ(as):-
Tamaam Wehshi Jaanwar, Parindey aur Darindey balki tamaam Makhlooq-e-Ilaahi pehle aapas me mel-milaap aur ikhltilaat rakhte the. Magar jab Adam(a) ke Bete ne apne Bhai ko Qatl kar diya to un me Nafrat paida hui aur ek dusre se darrne lage. Har ek sirf apni shakl-o-surat walo se milne julne laga.
(Elul al Sharaaye  Pg.03(05)

Jawaani me Neki
Imam Sadiq (as):
Tum par zaroori hai ke jawaano'n par zyada tawajjoh de'n kyun ki wo neki ke kaamo'n mein jaldi amal karte hain.
(Aasmani Nasihatein, v1, p33)

Hunar
Imam Ali (as):
Har shakhs ki qeemat wo hunar (skill / talent) hai jo oos shakhs mein hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p233) 

Mansoob
Imam Ali (as):
Duniya kisi ki taraf rukh karti hai to doosro'n ki khoobiya'n bhi oos se mansoob kar deti hai aur jab oos se mu'nh modd-ti hai to uski apni khoobiya'n bhi oos se chheen leti hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p93)

Dost
1. Rasule Khuda (saww):
Nek saathi itr-farosh (perfume seller) ke jaisa hai. Agar tum ne oos se khushboo na bhi kharidi to bhi tumhara mashaam (smell) mu'atter (khushbu-daar) zaroor hoga aur bura saathi lohaar bhatti (furnace) ki tarah hai. Agar wahaa'n jalne se bach bhi gaye to haraarat (garmi) se bach nahi sakoge.
(Hadiyat ush Shia, p43)

2. Imam Hasan (as):
Qareeb wo hai jise dosti nazdeek kare chaahe rishte ke aitbaar se wo duur ho.
(Guftaar e Dil Nasheen, p85)

Musalman
Rasule Khuda (saww):
Musalman ke liye musalman ko khauf-zada karna halaal nahi hai.
(Hadiyat ush Shia, p29)

Jaahil
Imam Sadiq (as):
Jaahil ki aadat ye hai ke sun'ne se pehle jawaab dene lagta hai, samajhne se pehle jhagaddne lagta hai, jis cheez ke baare mein nahi jaanta uske baare mein hukm lagaata hai.
(Guftaar e Dil Nasheen, p151)

Jannat
1. Imam Sadiq (as)
se sawaal huwa ke 2 Momin Jannat mein daakhil huwe hain aur ek ka darja doosre se buland hai aur ek unme se apne doosre dost se milne ki khwaish kare to kya hoga? 
Imam (as) ne farmaya, "Jo buland (high) darje par hoga usay ikhtiyaar hoga ke neeche ke darje waale se uske darje mein aakar oos se mil le. Lekin jo neeche ke darje mein hai usko ye mauqa na hoga ke wo upar ke darje mein jaa kar oos se miley, kyun ki wo oos hadd tak pahu'ncha hi nahi".
(Irshadaat e Masumeen (as), p91)

2. Imam Sadiq (as):
Jannatiyo'n mein se adna se adna (lowest) ka makaan itna hoga ke agar tamaam Jinn o Insaan uske mehmaan ho jaayein to wo sab ko khana aur paani ba-faraagat (aaram se) de sakey.
(Irshadaat e Masumeen (as), p123)

Rizq
1. Imam Sadiq (as):
Koi banda e Momin MOHTAAJ agar Khuda se kehta hai "Aye mere Rab, mujhe Rizq ataa farmaa taaki main fulaa'n fulaa'n neki aur umoor e khair anjaam doo'n", to Allah uski niyyat ki sachchai maalum kar ke usko wo ajr ataa farmata hai jo uske kaam karne par deta hai. Beshak, Allah Wus'at wala aur Kareem hai.
(Al Kaafi, v3, p331)

2. Rasule Khuda (saww):
Khuda nahi chahta ke uska mukhlis banda mashkook (suspicious / sandeh-janak / shanka-spad) raaste se Rizq paaye.
(Hadiyat ush Shia, p21)

Majlis/Gathering
1. Rasule Khuda (saww):
Yaqeenan har cheez ka ek sharaf hai aur majlis (gathering) ka shareef-tareen maqaam wo hai jo ru-ba-Qibla (facing Qibla) ho.
(Hadiyat ush Shia, p34)

2. Imam Askari (as):
Jo shakhs apne waqaar aur sharaf (dignity and honour) ko pesh e nazar NA rakh-kar kisi majlis (jalse / gathering) mein kam darje ki nashist (seat) par baithhne par raazi ho jaaye to jab tak wo wahaa’n se khada nahi ho jaata, Allah Ta’ala uspar Apni  Rehmat bhejta rehta hai aur Malaika uske liye Rehmat ki Dua kiya karte hain.
(Meezan ul Hikmah, v2, p100)

MUSAFIRO'N KI RIHAAISH KE LIYE RAASTE MEIN MAKAAN BANANE KA SAWAAB
Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs raaste mein koi makaan banaaye jisme guzarne waale qayaam (stay) kar sakein, to ba roz e Qayamat Khuda Wande Aalam usay Durr o Jawaahir ke naaqe (oo'nttni) par sawaar kar ke layega aur uske chehre se Ahl e Mehshar ke liye  Noor saate' hoga jo J. Khaleel (as) (J. Ibrahim (as)) ke Noor ki barabari karega. Chunaanche, Farishte uske Noor ko dekh kar kahenge ke ye Farishto'n mein se koi aisa Farishta hai jis jaisa Farishta hum ne pehle kabhi nahi dekha aur uski wajah se 40,000 aadmi Jannat mein daakhil honge….
(Wasaail ush Shia, v11, p424)

Tasbeeh
Imam Baqir (as)
se sawaal huwa ke kya sukhe darakht bhi Tasbeeh karte hain?
Imam (as) ne farmaya, "Zaroor karte hain. Kya tumne ghar ki khidkiyo'n ko cheekhte huwe (khidkiyo'n ka kikiyana) nahi suna?
(Have you not heard the house windows making squeaking sound?) 
Bus yehi unki Tasbeeh hai".
(Irshadaat e Masumeen (as), p92)

Aalimo'n ke saath
Imam Kazim (as):
Aalimo'n ke saath kudaa-ghar (kachre ke dheyr) par baithhna behtar hai jaahilo'n ke saath masnado'n (kaaleen / gaalicho'n) par baithhne se.
(Having discourses with a learned scholar even on a garbage dump is better than a talk with an ignorant and illiterate person on a carpet)
(Al Kaafi, v1, p85)

Dastar-khwaan
1. Imam Reza (as):
Har shai (cheez) ki zeenat (beauty) hoti hai aur dastar-khwaan ki zeenat sabzi hoti hai.
(Aasmaani Nasihatein, v2, p163)

2. Imam Reza (as):
Apne dastar-khwano'n ko Sabzi (vegetables) se zeenat do kyun ki sabziyaa'n khaane se bimari khatm hoti hai, lekin khaane ke waqt Naam e Khuda se khaayein, yaani 'Bismillah' padhh kar khaayein.
(Aasmaani Nasihatein, v2, p163)

Gussa
Rasule Khuda (saww):
Pehelwaan wo nahi jo kisi ko pachhadd de, balke pehelwaan wo hai jo gusse ke waqt apne nafs par qaabu pa le.
(Hadiyat ush Shia, p39)

Riyasat aur shohrat-talabi 
Imam Askari (as):
Khabardaar! Riyasat aur shohrat-talabi (leadership and fame-seeking) se bacho, kyun ki ye dono halaakat (tabaahi) ki taraf daawat dene waale hain.
(Guftaar e Dil Nasheen, p241)

Momin ke paas 4 cheeze hona chahiye
Imam Jafer Sadiq (a) ne farmaya ek Momin ke paas 4 cheeze hona chahiye,
(1) Wasee( Bada ) ghar
(2) Acchi sawari
(3) Accha libaas
(4) Aisa charaag jo uske ghar ko roshan kar sake

Ek Sahabi ne arz kiya Maula (a) hamare paas ye cheeze nahi hai hum kya kare?

Imam (a) ne jawab diya tunne is hadith ke zahir ko dekha hai iske batin par gaur karo,

(1) Wasee ghar se muraad sabr hai
(2) Behtareen sawari insaan ki aql hai
(3) Sabse accha libaas haya hai
(4) Behtareen charaag ilm hai jiska natija Khuda (swt) ki bandagi wa ita'at hai.
(Reference:Usoole Kaafi)

★ Haraam cheezo se Parhez karna
Imam Ali (a.s) :
Agar Khuda apni haraam ki hui cheezo se manah bhi nahi karta toh bhi aqalmand ke liye un se parhez karna zarooree tha.
(Gurar ul Hikam 1/563)

Sakhawat
IMAM ALI (A.S.)
 Sab se badi sakhawat yeh hai ke tum apne maal ko talab ke bagair do aur doosro ke maal se ejtenaab karo.
(Gurar ul Hikam 1/638)

Halaakat
Imam Ali (as):
Teen cheezein halaak kar dene waali hai - TAKABBUR (Pride) - Jisne Iblees (Shaitaan) ko apne martabe se gira diya, LAALACH (Greed) - Jisne Adam ko Jannat se nikalwa diya, aur HASAD (Jealousy) - Jisne Adam ke bete ko apne bhai ke qatl par aamaada kiya. 
(Tajalliyate Hikmat)

Zyada khana
1. Imam Sadiq (as):
Zyada khana makrooh hai.
(Wasaail ush Shia, v16, p313)

2. Imam Sadiq (as):
Allah Ta'ala zyada khaane ko bura jaanta hai. Farzand e Adam ke liye is qadar khana zaruri hai jo uski kamar ko seedha rakhe.  Pus tum mein se koi khana khaye to apne peyt ka ek tihaai (one third) hissa khane ke liye rakhe aur ek tihaai peene ke liye aur ek saa'ns ke liye rakhe...
(Wasaail ush Shia, v16, p313)

3. Hazrat Isa (as):
Aye Bani Israel! Oos waqt tak na khao jab tak (khoob) bhook na lage aur jab bhooke ho to khao magar shikam seyr (peyt-bhar ke) na ho kyun ki tum shikam seyr ho jaaoge to tumhari gardanein (neck) moti ho jayengi aur tumhare pehlu mote ho jayenge (aur jab aise ho jaoge) to apne Parwardigaar ko bhool jaaoge.
(Wasaail ush Shia, v16, p315)

2 comments: