Saturday, 29 August 2015

MEHMAAN (Hadith)

MEHMAAN

1. Imam Sadiq (as):
Jab tumhara (Deeni) bhai (bin bulaaye) aaye to usay wo kuchh pesh karo jo tumhare paas maujood hai aur agar usay daawat di hai to phir uske liye takleef (tayyari) karo.
(Wasaail ush Shia, v16, p330)

2. Imam Sadiq (as):
Rasule Khuda (saww) (ka ye dastoor tha ke wo) jab mehmaano'n ke saath khana khate the to sabse pehle haath badhate the (sab se pehle khana shuru karte the) aur sab se aakhir mein haath uthhate the (sabse aakhir mein khana khatm karte the) taake log (tasalli se) khaayein.
(Wasaail ush Shia, v16, p340)

3. Imam Sadiq (as):
Halaakat hai oos aadmi (mezbaan) ke liye ke wo jo kuchh apne bhai (mehmaan) ko pesh kare usay haqeer (kam aur halke darje ka) samjhe aur halaakat hai oos (mehmaan) ke liye jo usay haqeer samjhe jo kuchh usay pesh kiya jaaye.
(Wasaail ush Shia, v16, p329)

4. MOMIN KE GHAR MEIN ACHCHI TARAH AUR KHUSH HO KAR KHANA CHAHIYE AUR ZYADA KHANA CHAHIYE AUR KISI QISM KI KOTAAHI AUR SHARM NAHI KARNA CHAHIYE

Imam Sadiq (as):
Kisi shakhs ki kisi se dosti ka pataa is baat se chalta hai ke wo uske yahaa'n khush ho kar khana khaata hai..
(Wasaail ush Shia, v16, p333)

2 comments:

  1. convert 0.1 btc to usd to dolars Check the latest price 0.1 btc to usd exchange in euro locally or globally most popular conversions calculator how to convert btc to usd cash peso inr rupee.

    ReplyDelete
  2. convert 0.1 btc to usd to dolars Check the latest price 0.1 btc to usd exchange in euro locally or globally most popular conversions calculator how to convert btc to usd cash peso inr rupee.

    ReplyDelete