Wednesday, 12 August 2015

Salmaan e Farsi

Imam Sadiq (as)
se raawi ne sawaal kiya ke, "Kya wajah hai ke main aap se Salmaan e Farsi ka tazkera zyada sunta hoo'n?"

Aap ne farmaya, 
"Salman e Farsi na kaho balke Salman e Mohammadi kaho.
Kya tum jaante ho ke main Salman ko zyada kyun yaad karta hoo'n?"

Raawi ne kaha, "Nahi".

Imam (as) ne farmaya,
"Unke 3 ausaaf (qualities / khususiyaat) ki wajah se main unko zyada yaad karta hoo'n. 

1) Wo apni khwaish e nafs par Ali (as) ki khwaish ko muqaddam rakhte the (yaani apni khwaish ko aap ki khwaish par qurbaan kar diya karte the. Wo ye nahi dekhte ke meri khwaish kya hai balke wo ye dekhte the ke Ali (as) ki khwaish kya hai). Yehi manzelat e ita'at o itteba hai, 

2) Wo faqr aur ghorba (gareebo'n) se mohabbat karte the aur unko saahebaan e Daulat (maaldaaro'n) par tarjih (preference) dete the,

3) Wo Ilm aur Ulema se mohabbat karte the.

Hazrat Salman Allah ke nek bande the jo Deen e Hanif e Ibrahimi par qaaem o daaem the aur wo kabhi mushrik nahi rahe".

(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p348)

No comments:

Post a Comment