Friday, 20 November 2015

Rishtedar (Hadith)

1. SHAUHAR - BIWI
-------------------------------
Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs kisi aurat ko apni biwi banata hai to uska ehteraam (respect) bhi karna chahiye.
(Aasmani Nasihatein, v1, p115)

Rasule Khuda (saww):
Aurato'n ke saath shafqat (compassion / karuna) ke saath pesh aao aur unke dilo'n ko khush rakho taake wo tumhare saath khuloos o mohabbat se zindagi basar kare aur unki taaqat se zyada kaam anjaam dene par majboor na karein aur sakhti se pesh na aayein.
(Aasmani Nasihatein, v1, p115)

Rasule Khuda (saww):
Auratein tumhare paas Allah ki amaanat hain.
(Aasmani Nasihatein, v1, p116)

Imam Sadiq (as):
Mal'oon hai wo aurat jo apne shauhar ko aziyyat de aur khush-bakht hai wo aurat jo apne shauhar ka ehteraam kare aur usay takleef na de, zindagi ke tamaam umoor mein ita'at guzaar ho.
(Aasmani Nasihatein, v1, p116)

Rasule Khuda (saww):
Jo aurat zindagi ki mushkilaat mein sabr o tahammul kare, Khuda Wande Aalam usay Shaheed ka sawaab ataa karta hai.
(Aasmani Nasihatein, v1, p117)

Imam Sadiq (as):
Jo aurat khushnoodi e Khuda ke liye apne shauhar ki na-haq baato'n ko bardaasht karti ho to Khuda Wande Aalam usay har kalme (every sentence uttered by her husband) ke badle Rozedaar ka sawaab aur Raah e Khuda mein jung karne waale Mujaahid jitna sawaab milta hai.
(Aasmani Nasihatein, v1, p117)

2. MAA - BAAP
------------------------
Imam Sadiq (as):
Ek shakhs Rasulallah (saww) ke paas aaya aur kaha, "Main Jihad ke liye raaghib (khwaish-mand) hoo'n lekin mere Waaledain maane' (rukaawat) hain jo mujh se bahut oons (mohabbat) rakhte hain".
Aap (saww) ne farmaya, "Apne Waaledain ke saath raho. Wallah, tumhara oon dono ke saath ek din raat rehna, ek saal ke Jihad se afzal hai".
(Imam Jafar Sadiq (as) - Almustashaar Abdul Haleem Jundi (Misri), p205)

Imam Sadiq (as):
Agar Maa Baap dono ek saath pukaare aur hukm de'n to Maa ki pairavi aur hukm muqaddam (pehle) hai.
(Imam Jafar Sadiq (as) - Almustashaar Abdul Haleem Jundi (Misri), p211)

No comments:

Post a Comment