Aib (Defect)
(1)
Rasule Khuda (saww):
'SUBHANALLAH' ki Tafseer ye hai ke Allah ko har naqs o aib se PAAK samjhe (to accept that Allah is free from all defects).
(Sharh Dua e Kumail)
(2)
Imam Baqir (as):
Har Musalmaan par WAAJIB HAI ke wo apne Muslamaan biradaro'n ke 70 (seventy) bade aib (defects) ko CHHUPAYE (Taake uski izzat mehfooz rahe).
(Kashkol, Book2, Pg16)
(3)
Imam Ali (as):
Agar tum ek doosre ke Aibo'n (defects / buraaiyo'n) ko zaahir karne lag jaaoge to ek doosre ko Dafn karna CHHOD doge.
(Meezan ul Hikmah, Vol7)
(4)
Imam Sadiq (as):
Aaqao'n (Masters) ki tarah dusro'n ke aibo'n (defects) ko NA dekho balke Gulamo'n ki tarah apne aibo'n ki taraf dhyaan do.
(Meezan ul Hikmah, Vol7)
(5)
Imam Ali (as):
Sab se bada aib ye hai ke tum oon baato‟n ko doosro'n ke liye aib qaraar do jo tum mein khud maujood ho.
(Tajalliyate Hikmat)
(6)
Rasule Khuda (saww):
Jo kisi Musalmaan ke Aib ko zaahir karega to Allah uske Aibo'n ko zaahir karega hatta usay KHUD APNE GHAR MEIN be-izzat kar dega.
(Meezan ul Hikmah, Vol7)
(7)
Imam Husain (as):
Wo jo tumhare Aib aaine ke jaise tumhe batata hai wo tumhare sachcha dost hai aur wo jo tumhari chaplusi karke tumhare aib chhupata hai wo tumhara dushman hai.
(Hadees of Imam Husain (AS)
(8)
Imam Ali (as):
Tumhari nazar mein sabse behtareen wo shakhs ho jisne tumhe ek Tohfe (Gift) ki tarah tumhari galtiyaa'n aur Aib bataaye.
(Commentary of Surah Al-Hujurat, The Islamic Moral System)
(9)
Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs aib-daar (Defective) cheez ko beche lekin uska Aib bayaan NA kare to… Farishte hamesha uspar La‟nat karte hain.
(Rehmat Aagosh e Tauba)
(10)
Imam Ali (as):
Jab tak tumhare naseeb achche hain, tumhare AIB dhake huwe hain.
(Meezan ul Hikmah, Vol7)
(11)
Imam Sadiq (as):
Jo koi apne biraadar e Momin ke aib / khaamiya'n chhupayega to Qayamat ke din Allah uske aib chhupyega.
(Mishkaat ul Anwaar)
(12)
Imam Ali (as):
Kisi ke Aibo'n ke baare mein sochna bhi Aib hai.
(Meezan ul Hikmah, Vol7)
(13)
Imam Ali (as):
Kam baat aibo'n ko chhipa deti hai aur gunaaho'n ko kam kar deti hai.
(Tajalliyate Hikmat)
(14)
Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs apne kisi Musalman bhai ki Duniya mein koi BURAAII CHHUPAAYE to Allah Ta'ala Qayamat ke din uske Aib chhipaayega.
Meezan ul Hikmah, Vol7)
(15)
Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs len-den karna chaahta hai usay 5 cheezo'n se bachna chaahiye: 1] Suud [interest / byaaj], 2] Qasam khaana, 3] Maal ka aib chhupana, 4] Jo cheez doosro'n ko BECHNI ho uski taarif karna, aur 5] Jo cheez auro'n se kharidna ho uski buraai karna.
(Tehzibul Islam)
(16)
Rasule Khuda (saww):
Aye Muslaman ke wo giroh, jo zubaan se to imaan le aaya hai lekin Imaan e Khaalis unke dil mein daakhil nahi huwa. Musalmano'n ki mazammat (condemn) na karo aur unke Aib ki khoj mein na raho, is liye ke jo shakhs logo'n ke Aib ki khoj mein rahega, Allah uske Aib ki khoj mein rahega aur Allah jiske Aib ki khoj mein rahe, usko ruswa (badnaam) kar dega, agar-che khud uske ghar mein sahi.
(Wasaael us Shia 12 / 275)
(17)
Imam Ali (as):
Badtareen aib ye hai ke insaan kisi aib ko bura kahe aur phir OOS MEIN wohi aib paaya jaata ho.
(Nahjul Balagah)
(18)
Rasule Khuda (saww):
Nek logo'n ke Aib aur galtiyaa'n dhoondne wale, nukta-chin aur chugal-khoro'n ko Allah (Qayamat mein) KUTTO'N (dogs) ki surat mein mehshoor karega.
Meezan ul Hikmah, Vol7)
(19)
Imam Sadiq (as):
Logo'n ke saath Dushmani se Parhez karo kyun ki ye baat badnaami ka sabab banti hai aur aibo'n (defects) ko zaahir karti hai.
(Meezan ul Hikmah, Vol6)
(20)
Imam Ali (as):
Jo (kisi par) apna GUSSA utaarne se parhez karta hai to Allah Ta'ala uske Aibo'n (defects) ko chhipa deta hai.
(Meezan ul Hikmah, Vol7)
(21)
Imam Baqir (as):
Har Momin pe WAAJIB hai ke apne Momin biraadaro'n ke [hatta / even] 70 bade Aib chhupaaye.
(Bundle of Flowers)
(23)
Imam Ali (as):
Oos shakhs ko dost kabhi NA banao jo tumhari khubiyo'n ko chhupaye aur aibo'n ko phailaye.
(Meezan ul Hikmah, Vol1)
No comments:
Post a Comment