1. Hazrat Luqman (as):
Aye mere bete! 1000 dost banao, kyun ki 1000 dost bhi kam hai; magar ek bhi dushman mat banao, kyun ki ek dushman bhi kaafi hai.
(Hayaat al Qolub, v1, p403)
2. Imam Ali (as):
Tumhare 3 dost hain aur isi tarah aur 3 dushman. Tumhare dost (ye hain): tumhara dost, dost ka dost, dushman ka dushman. Aur (isi tarah) tumhare dushman (ye hain): tumhara dushman, dost ka dushman, dushman ka dost.
(Tajalliyaat e Hikmat, p276)
3. Rasule Khuda (saww):
Aakhri zamane mein 2 cheezein kam-yaab (durlabh / scarce) ho jaayegi: Aisa dost jis par mukammal aetemaad aur bharosa kiya ja sakey aur doosra Halaal Rizq (jis mein zarra barabar shaq na ho).
(Nawaadirul Ahadees, v1, p115)
4. Imam Ali (as):
Dosto’n ka na hona bhi ek ghurbat (poverty) hai.
(Nahjul Balagah, p649)
5. Rasule Khuda (saww):
Momin Jannat mein ek sa'at (ek ghanta / ek waqt) apni Jannati biwi ke saath basar karega, ek sa'at apne dosto'n ke saath basar karega aur ek sa'at takht par leyt-kar doosre Ahle Imaan ko dekhne mein basar karega.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p195)
6. Imam Ali (as):
Guzre huwe zamaane par rona, watan ki taraf maayil hona aur puraane dosto’n ka tahaffuz insaan ki sharaafat ki daleel hai.
(Meezan ul Hikmah, v1, p112)
7. Rasule Khuda (saww):
Yaqeenan Khuda Wande Aalam puraani dosti ki hifaazat ko pasand farmata hai.
(Meezan ul Hikmah, v1, p112)
8. Rasule Khuda (saww):
Dosti aur dushmani wiraasat mein muntaqil (transfer) hoti hai.
(Hadiyat ush Shia, p11)
9. Imam Sajjad (as)
ne apne farzand Imam Baqir (as) se farmaya, "Aye mere bete! 5 qism ke afraad se na dosti rakhna, na unka hum-mehfil ban'na aur na hi safar mein apna rafeeq qaraar dena,
1) Jhoote shakhs ko dost na banaao kyun ki wo saraab (mirage, mrigtrishna, mrigjall) ki maanind hota hai, duur ko nazdeek aur nazdeek ko duur dekhta hai,
2) Faasiq (evil) logo'n ki dosti se bacho kyun ki wo tumhein ek chhoti cheez ke badle ya ek luqme ki khaatir ya oos se kam qeemat mein bech daalega,
3) Kanjoos logo'n ko dost na banaao kyun ki agar tumhe uske maal ki zaroorat ho to wo tumhe zaleel o khwaar karega,
4) Bewaqoof ki mehfil se bacho kyun ki wo tumhein nafaa pahu'nchana chahega, lekin apni himaaqat ke wajah se nuksaan dega,
5) Qat e Rehmi karne waalo'n (rishtedaaro'n se talluqaat kaattne waalo'n) se mil-jul kar na rehna aur unhe apna dost na banana kyun ki Quran e Majeed mein aise afraad par la'nat ki gayi hai.
(Aasmani Nasihatein, v1, p37)
10. Imam Ali (as):
Khabardaar! Kisi ehmak (bewaqoof) ki dosti ikhtiyaar na karna ke tumhe faaida bhi pahunchana chahega to nuksaan pahuncha dega; aur isi tarah kisi bakheel (kanjoos) se dosti na karna ke tumse aise waqt mein duur bhagega jab tumhe uski shadeed zarurat hogi; aur dekho kisi faajir ka saath bhi ikhteyaar na karna ke wo tumhe haqeer cheez ke evaz bhi bech daalega; aur kisi jhoote ki sohbat bhi ikhteyaar na karna ke wo misle saraab (mirage, mrigtrishna, mrigjall) hai jo duur waale ko qareeb aur qareeb waale ko duur kar deta hai.
(Nahjul Balagah, p641)
11. Imam Sadiq (as):
Logo'n mein nek Dost 3 tarah ke tajrube se banao:
1) Gaiz o gazab mein dekho ke wo haqq se khaarij to nahi hota hai,
2) Daulat ke zariye se aazmao,
3) Safar saath kar ke dekho.
(Imam Jafar Sadiq (as) - Almustashaar Abdul Haleem Jundi, p208)
12. Rasule Khuda (saww):
Behtareen dost wo hain:
1) Jinhein dekh kar Khuda yaad aa jaata ho,
2) Jinke saath guftagu karne se tumhare ilm aur maalumaat mein izafa ho,
3) Jiske amal ko dekh kar Aakherat ki yaad aaye.
(Aasmani Nasihatein, v1, p36)
13. Imam Husain (as):
Jo tumko dost rakhega buraiyo’n se rokega aur jo tum ko dushman rakhega wo tum ko buraiyo’n par ubhaarega.
(Aqwaal 14 Masumeen (as), p93)
14. Imam Askari (as):
Tumhara behtareen DOST wo hai jo tumhari galtiyo'n ko bhool jaaye aur tumhaare ehsaanaat ko yaad rakkhe.
(Insaan ke Kamaal mein Akhlaaq ka Kirdaar - Mujtaba Musavi Laari)
15. Imam Ali (as):
Tumhara achcha dost wo hai jo tumhe faasid (gunahgaar) hone se bachaaye.
(Aasmani Nasihatein, v1, p34)
16. Imam Husain (as):
Wo jo tumhare Aib aine ke jaise tumhe batata hai wo tumhare sachcha dost hai aur wo jo tumhari chaplusi karke tumhare aib chhupata hai wo tumhara dushman hai.
(Nayaab Gauhar)
17. Imam Ali (as):
Oos shakhs ko dost kabhi NA banao jo tumhari khubiyo'n ko chhupaye aur aibo'n ko phailaye.
(Meezan ul Hikmah, v1)
18. Imam Ali (as):
Har cheez ke liye ek aafat hoti hai aur nekiyo'n ke liye bura dost ek aafat hai.
(Aasmani Nasihatein, v1, p39)
19. Imam Ali (as):
Dost oos waqt tak dost nahi ho sakta hai jab tak apne dost ke 3 mauqe par kaam na aaye: Musibat ke mauqe par, uski ghaibat mein aur marne ke baad.
(Nahjul Balagah, p679)
20. Imam Ali (as):
Apne dost ke dushman ko kabhi dost na banana kyun ki is tarah tum apne dost ko dushman bana loge.
(Tajalliyaat e Hikmat, p277)
(Tuhaful Uqool, p235)
21. Imam Ali (as):
Jiski zabaan meethi ho jaati hai uske dost badh jaate hain.
(Tajalliyaat e Hikmat, p420)
22. Imam Sadiq (as):
Logo'n mein BAHUT ZYADA tafteesh (investigation) na karo warna baghair dost ke reh jaoge…
(Imam Jafar Sadiq (as) - Almustashaar Abdul Haleem Jundi, p208)
23. Rasule Khuda (saww):
Miskeeno'n jaisi kaifiyat banao aur miskeeno'n se dosti rakho. Unke saath rehen sehen rakho aur unki imdaad (madad) karo. Maaldaaro'n ki ham-nashini (company / sangat) se kinara-kashi karo, unke haal par rahem karo aur unke maal se duur raho.
(Meezan ul Hikmah, v2, p116)
24. Imam Sadiq (as):
Oomda khana khilaao, apne dosto’n aur saathiyo’n ko bulaao aur unke saath khaao aur khilaao.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p72)
25. Imam Sadiq (as):
…Kisi shakhs ki kisi se dosti ka pataa is baat se chalta hai ke wo uske yahaa'n khush ho kar khana khaata hai..
(Wasaail ush Shia, v16, p333)
26. Imam Askari (as):
Jo apne dost ko TANHAAI mein nasihat karte hain, wo unki izzat karte hain aur jo zaahir mein karte hain, wo unhe zaleel karte hain.
(Tuhaf ul Uqoul, p585)
27. Imam Hasan (as)
se puchha gaya ke Buzdili kya hai? Aap ne farmaya, “Dost par jari (niddar / audacious) hona aur dushman ke saamne jhuk jaana."
(Meezan ul Hikmah, v1, p58)
28. Imam Sadiq (as):
Banda Allah se duur tab hota hai jab wo kisi se dosti karke uske Aib aur Galti yaad rakhe taaki ek din usay zaleel kar sakey.
(The Islamic Moral System, Commentary of Surah Al-Hujurat)
29. Imam Sadiq (as):
Qayamat ke din Muttaqeen ke alawa baaqi tamaam dost ek doosre ke dushman ban jaayenge.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p557)
30. Imam Ali (as):
Dost ka hasad (jealousy) karna mohabbat ki kamzori hai.
(Nahjul Balagah, p707)
31. Imam Sadiq (as):
Rasulallah (saww) ki aadat thi ke jab apne dosto'n mein se kisi ko 3 din tak nahi dekhte to uske baare mein daryaaft karte the, agar bimar hota to milne jaate.
(Meezan ul Hikmah, v1)
32. Imam Sadiq (as):
Wo jo apne dost ko gunaah mein mubtela dekhta hai magar usay gunaah karne se rokta nahi hai, oos ne apne dost ke saath gaddari / khayaanat ki.
(Miskhat ul Anwaar)
33. Imam Ali (as):
Jo shakhs kaahili (laziness) aur susti se kaam leta hai wo apne huqooq ko bhi barbaad kar deta hai aur jo chugal-khor ki baat maan leta hai wo dosto’n ko bhi kho baithh’ta hai.
(Nahjul Balagah, p713)
34. Imam Ali (as):
Apne kisi dost se tallukaat kaatna chaho to apne dil mein itni jagah rehne do ke agar kabhi uska rawaiyya badle to uske liye gunjaaish ho.
(Meezan ul Hikmah, v8, p869)
35. Imam Ali (as):
Jab tum apne kisi dost se talluqat kaatna chahte ho to apni taraf se koi aisi gunjaaish baaki rakho ke agar kabhi sulah karni ho to uski taraf palat sako.
(Meezan ul Hikmah, v1)