Thursday 13 August 2015

Quranic Surah in Namaaz

JAB SAWAAB WALE SURAH KO TARK KAR DIYA JAAYE AUR SURAH QADR AUR SURAH TAUHEED KI FAZILAT KE SABAB DONO MEIN SE KISI EK KO PADHA JAAYE TO PADHE HUWE SURAH KA BHI SAWAAB MILEGA AUR TARK KIYE HUWE SURAH KA BHI SAWAAB MILEGA - IMAM E ZAMANA (atfs)

Muhammad bin Ja'far ne Maula Sahebuz Zaman (atfs) se khat likh-kar fiqhi masaail puchhe, jin mein se ek ye hai:

Sawaal:
Waajib Namazo'n aur uske alawa Qurani Suro'n ko padhne ke sawaab ke baare mein Imam Hadi (as) ne farmaya hai ke, "Ta'jjub hai ke jis ne apni Namaz mein Surah Qadr nahi padha uski Namaz kaise qubool hai?"

Doosri riwaayat: Jis Namaz mein Surah Tauheed na padhi jaaye wo na-mukammal hai.

Ek aur riwaayat: Jo shakhs Namaz e Fariza mein Surah Humazah ki tilawat kare usay tamaam duniya ke barabar sawaab milega. Kya dono mazkurah (mentioned) riwayato'n ke dono Surah ko chhor kar Surah Humaza ka padhna jaayez hai jab ke baghair Surah Qadr aur Surah Tauheed ke koi Namaz maqbool hai na mukammal?

Imam (atfs) ki Tauq'ee (jawaab):
Suro'n ke sawaab wohi hai jo riwaayat mein hain aur JAB IS SAWAAB WALE SURAH KO TARK KAR DIYA JAAYE AUR SURAH QADR AUR SURAH TAUHEED KI FAZILAT KE SABAB DONO MEIN SE KISI EK KO PADHA JAAYE TO PADHE HUWE SURAH KA BHI SAWAAB MILEGA AUR TARK KIYE HUWE SURAH KA BHI SAWAAB MILEGA aur Namaz mein in dono Suro'n ke alawa bhi padhna jaayez hai aur Namaz bhi tamaam hai lekin usne fazilat aur istehbaab ko tark kar diya hai.

(Ehtejaj e Tabrisi (Urdu), v2, p336) 
 

ENGLISH:

Muhammad bin Abdullah bin Ja’far wrote some questions regarding religious law in a letter to His Eminence, the Awaited Imam. .

Question : 
It is narrated from scholars regarding the reward of Quran in its necessary and non-necessary aspects that he said: It is astonishing that a person who does not recite Surah Qadr in his prayer, how his Prayer is accepted.
It is narrated that: A prayer in which “Qul huwallaho Ahad” is not recited does not scale heights of honor.
It is narrated that: One who recites Surah Humazah in his prayers, he would get the reward equal to the whole world. Then is it allowed for one to recite Surah Humazah and omit other Surahs that we mentioned, while it is narrated that Prayer is not accepted without them. And the purity and loftiness of the Prayer is due to those Surahs.

Reply: 
Imam (a.s) replies to the three questions as follows:
The rewards of the Surahs is on the same basis as narrated. If one leaves the Surah that is eligible for rewards and instead recites “Surah Qul huwalho Ahad or Surah Inna Anzalna” for their merits he would get the rewards of the Surahs he has recited as well as the rewards of the Surahs he has left. Although it is also allowed to recite a Surah other than these and his Prayer is correct but that he has omitted a meritorious deed.

(http://www.coiradio.com/library/library/pro_ahl/imam12_mahdi/the_life_of_imam_mahdi/12.htm)
(http://alhassanain.org/english/?com=book&id=168)

No comments:

Post a Comment