Sunday 23 August 2015

Peshaab aur Pa-khana (urination & toilet)


Imam Reza (as)

se sawaal huwa ke Peshaab aur Pa-khana (urination & toilet) ke baad Ghusl ka hukm kyun nahi diya gaya?

Imam (as) ne jawaab diya, "Peshaab aur Pa-khana ki insaan ko din mein kayi baar zarurat mehsoos hoti hai aur agar peshaab aur pa-khana ki wajah se ghusl waajib hota to logo'n ke din ka zyada hissa ghusl karne mein guzar jaata aur ye kaam insaan ke liye intehaai dushwaar (difficult) hota jab ke Allah ka qanoon hai 'Alllah kisi bhi nafs ko uski quwwat se zyada takleef nahi deta' (Surah Baqarah, Ayat 286).

Aur peshaab aur pa-khana ke bar-aks Janaabat kabhi kabhi taari hoti hai aur uska talluq insaan ki khwaish aur iraade se hota hai jisme insaan apni marzi se tabdeeli kar sakta hai.

(Ek aur sawaal ke jawaab mein aap ne farmaya) ...Pa-khana insaani giza ki badli huwi soorat hai jo ke ek raaste se daakhil huwi aur doosre raaste se nikal gayi.

(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p224 & 225)

No comments:

Post a Comment