Saturday 29 August 2015

HADIYA / TOHFA (GIFT)

HADIYA / TOHFA (GIFT)

1. Imam Sadiq (as):
Tum log aapas mein ek dusre ko Hadiya (gift) pesh karo aur aapas mein mohabbat badhhao.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v3, p186)

2. Imam Sadiq (as):
…Aapas mein Tohfa (gift) diya karo taake tum mein oos se mohabbat paida ho. Tohfa dene se bugz (nafrat) o dushmani duur hoti hai.
(Khisaal, p41)

3. Imam Ali (as):
Uski Ayaadat karo (oos beemar ko milne jao) jo tumhari ayaadat nahi karta aur usko Hadiya bhejo jo tumko Hadiya nahi bhejta.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v3, p187)

4. RASULE KHUDA (saww) KAUN SE HADIYE PASAND KARTE THE

Riwaayat:
Rasule Khuda (saww) kisi ki bheji huwi (Hadiya / gift ki huwi) khushboo (perfume) aur shireeni (mithhaas / sweet dish) waapas nahi karte the.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v3, p186)
 
5. Rasule Khuda (saww):
Mujhe Paaye khane ki daawat di jaati hai to qubool kar leta hoo'n aur agar koi mujhe Paaye hadiya karta hai to usay qubool kar leta hoo'n.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v3, p186)

6. Imam Sadiq (as):
Ek doosre ko khane ka hadiya hamesha pesh karte raho aur bartan apne ahle hadiya (khana gift karne wale) ko waapas kar diya karo.
(Amaali - Shaikh Toosi, p388)

7. Rasule Khuda (saww): 
Jis bartan mein Hadiya aaye usay jaldi waapas kar do taaki Hadiya mutawatir (lagaatar / continuously) aata rahe.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v3, p186)

No comments:

Post a Comment