Friday 28 August 2015

Namaz e Juma

Imam Reza (as)

se sawaal huwa ke Namaz e Juma 2 rak'at hai aur agar Imam (prayer leader) na ho to 4 rak'at Namaz e Zuhr kyun padhi jaati hai?
Imam (as) ne kaha ke iski bahut si wajuhaat (reasons) hai:
1) Log Namaz e Juma ke liye duur daraaz se safar kar ke aate hain. Allah Ta'ala ne chaha ke log thake huwe hain is liye inhe 2 rak'at ki ri'aayat (discount) di jaaye. Is liye Namaz e Juma 2 Rak'at hai.
2) Imam kuchh deyr ke liye khutba deta hai aur muqtadi khutba sunte rehte hain aur unhe Namaz ka intezaar hota hai aur jo Namaz ke intezaar mein ho to wo bhi Namaz mein shumaar kiya jaata hai. Isi liye Juma ke 2 khutbe 2 Rak'at qaaem karne ke barabar hai.
3) Imam ke saath 2 Rak'at Namaz Khuda ki nazar mein 4 Rak'at hai kyun ki Imam ke Ilm, Fiqh, Adl aur Fazl ki wajah se 2 Rak'at Namaz ko itni bulandi naseeb hoti hai ke wo 4 Rak'at maani jaati hai.
4) Juma musalmano'n ki Eid hai aur Namaz e Eid 2 Rak'at hi huwa karti hai aur 2 khutbo'n ki wajah se isme qasr paida nahi hoti.

(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p237)

ROZ E JUMA ZYADA SE ZYADA SALWAAT PADHE

8 comments:

  1. Yar nemaz juma ki niyat bata do plz

    ReplyDelete
  2. Nimaz juma mein niyat kya padhe ... mein nimaz juma ki diw rakat nimaz padhta hoon qurbatanillah padhna kafi hai ??

    ReplyDelete
  3. Me niyat karta hu 2 rakat namaz e juma moo mera kaba shareef ki taraf wajib qurbat lillah

    ReplyDelete
  4. Replies
    1. Yes
      Agar puri shrayt k sath ho to wajib ki niyat h otherwise muztahab ki

      Delete
  5. जुम्मे का दिन एक अज़ीम दिन है, अल्लाह तआला ने इस के साथ इस्लाम को अज़मत दी और येह दिन मुसलमानों के लिये ख़ास कर दिया, फ़रमाने इलाही है : जब जुम्मे के दिन नमाज के लिये पुकारा जाए पस जल्दी करो अल्लाह के ज़िक्र की तरफ़ और खरीदो फरोख्त छोड़ दो। इस आयत से मालूम हुवा कि अल्लाह तआला ने जुम्मे के वक्त दुन्यावी शगल हराम करार दिये हैं और हर वो चीज़ जो जुमा के लिये रुकावट बने ममनूअ करार दे दी गई है। हुजूर सल्लल्लाहो अलैह व सल्लम का फरमान है कि तहक़ीक़ अल्लाह तआला ने तुम पर मेरे इस दिन और इस मकाम में जुमा को फ़र्ज़ करार दे दिया है। एक और इरशाद है कि जो शख्स बिगैर किसी उज्र के तीन जुम्मे की नमाजें छोड़ देता है अल्लाह तआला उस के दिल पर मोहर लगा देता है। इस पेज से हजारों खुबसूरत जुम्मा मुबारक इमेजेज डाउनलोड कर सकते हैं
    1000+ Jumma Mubarak image

    ReplyDelete