Friday, 17 August 2018

HAJJ: TAUBA KA ZARIYA

⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜
   ♦ HAJJ: TAUBA KA ZARIYA♦

As-salamu alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatohu

Start your Day by reading Quran: (987)

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ*

*فَتَلَقَّىٰ آدَمُ مِنْ رَبِّهِ كَلِمَاتٍ فَتَابَ عَلَيْهِ ۚ إِنَّهُ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ*

"Pas Adam (as) ko uske Parwardigaar ki taraf se kuchh Kalemaat mile aur Khuda ne unki Tauba qubool ki. Beshak Woh Bahut Zyada Tauba Qubool Karne wala Meherbaan hai."
(Surah Baqarah: 37)

👉 Tafseer
*Hajj ki pahli Training:*
Imam Sadiq (as):
_"Jab Allah ne Adam (as) ki Tauba Qubool karne ka Iraada kiya to Jibraeel (as) ko unke paas rawana kiya. Jibraeel (as) ne baad salam ke Arz kiya 'Allah Ta'ala ne mujhe Aapko Hajj ki taa'leem dene ke liye bheja hai,' Jibraeel (as) ne Hazrat Adam (as) ka haath pakda aur unhe Baitullah ke maqaam par le aye. Us waqt ek Baadal ka tukde ne unpar saya kiya. Jibraeel (as) ne kaha ke is Baadal ke tukde ka saaya jahan tak phaila hua hai Aap apne Paon (Foot) se yahan lakkeer khenche. Phir jibraeel (as) unhe Mina le gaye aur us maqaam ki nishandahi ki. Adam (as) ne wahan lakkeer khenchi aur Baitullah ke maqaam ke baad Masjidul Haram ki lakkeer khenchi. Phir Jibraeel (as) Arafaat le gaye aur unhe wahaan thaihraya aur baadme Hazrat Adam (as) se kaha: Jab Suraj doob jaye to Saat martaba apne Gunahon ka aitraaf karo. Hazrat Adam (as) ne uspar amal kiya isi wajeh se Arafat ko (معترف) mo'tarif bhi kaha jata hai (Self Confession). Kyunki yahan Hazrat Adam (as) ne apne Gunah ka aitraaf kiya tha aur Hazrat Adam (as) ka ye amal unki Aulaad ke liye Sunnat ban gaya. Wo Arafaat me Adam (as) ki tarah se apne Gunahon ka aitraaf karte hain. Adam (as) ka guzar Saat pahadon se hua. Jibraeel (as) ne kaha ke Aap har pahaad par 4 martaba Takbeer kahe. Adam (as) ne amal kiya. Phir ek tihai Raat guzarne ke baad Jibraeel (as) unhe Mash'ar le gaye. Jahan unhone Maghrib o Isha ki Namazen *ek saath* padhi. Isliye is jagaah ko 'Jama' bhi kaha jata hai. Chunaanche is maqaam par Namaz-e-Isha ke waqt se Raat ki tihaai guzarne par shuru hota hai. Jibraeel (as) ne Hukm diya wo raat wahin par basar karen aur jab Fajr ka waqt hua to Jibraeel (as) ne kaha ke Aap Jabal e Juma par chadh jayen aur jab Suraj tulu hua to Jibraeel (as) ne kaha ke ab Aap Saat baar apne gunah ka aitraaf kare. Aur saat baar Allah se Tauba aur Maghferat ki darkhwaast karen. Hazrat Adam (as) ne aisa hi kya. Aur unka Hajj pura hua. Phir Adam (as) Mash'ar se Mina ki taraf rawana hue aur din chadhe Mina pahunche aur Masjide Mina me do rakat Namaz padhi aur uske baad khuda ke huzoor me qurbaani pesh ki. Aur unki Aulaad ne is rasam ko jaari rakha."_

"Doosre Din Jibraeel (as) Adam (as) ke haath ko pakad kar "Jamrah e Oola - *جمره اولى*" ke paas gaye to wahan Iblees dikhayi diya. Jibraeel (as) ne kaha ke Aap ise Saat kankariya (Pebbles) aur har kankar ke saath Takbeer kahen. Adam (as) ne uspar amal kiya. Us waqt Iblees chala gaya. "Jamrah e Saniya - *جمره ثانيه*" ke paas namudar hua aur usne kaha Adam kahan jaa rahe ho? Jibraeel (as) ne Adam (as) se kaha ke Aap ise Saat Kankariya maren aur har kankar ke saath Takbeer kahen. Adam (as) ne waise hi kiya. Phir wo "Jamrah e Salisa - *جمره ثالثه*" ke paas namudar hua aur usne kaha Kahan jaa rahe ho? Jibraeel (as) ne kaha ke Aap Saat Kankariya maren aur har kankar ke saath Takbeer kahen. Aur Hazrat Adam (as) ne waise hi kiya. Phir unhone Teesre aur Chauthe Din bhi usi amal ko dohraya aur Iblees chala gaya aur Jibraeel (as) ne kaha aaj ke baad Aap ise yahan kabhi na dekhenge. Iske baad Jibraeel (as) unhe Baitullah le gaye aur unse kaha Tawaaf ke Saat chakkar lagayen. Hazrat Adam (as) ne Saat chakkar lagakar Tawaaf mukammal kiya. Us waqt Jibraeel (as) ne farmaya 'Allah ne Aapko Ma'af kardiya aur Aapki Tauba Qubool farmayi aur Aapke liye Aapki Biwi Halal kardi' "
(Ilalush Sharay, Noorus Saqlain)

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Imam Sajjad (as)
"(Aye Maabud!) Mujhe Apne Mohtaram Ghar Ka'aba ka Hajj is saal aur aainda saalon mein bhi naseeb farma..."
(Dua e Abu Hamza Shimali)


Imam Sadiq (as):
"Imam e Qaim (atfs) ke liye 2 Ghaibaten hain. Ek mein to unki taraf ruju kiya jaana mumkin hoga, magar doosri mein to kisi ko ilm hi na hoga ke wo kahaan hain. Wo Mausam e Hajj mein jayenge to wo sab ko dekhenge lekin unhe koi na dekh sakega."
(Bihaar ul Anwaar, v12, p31)


Imam Sadiq (as):
"Hajj se waapas aane waale 3 tarah ke hain: Kuchh Aatish e Jahannum se najaat haasil kar lete hain, kuchh apne Gunahon se is tarah Paak ho jaate hain jis tarah Maa ke janne waale Din Paak the aur kuchh log apne Khandan aur Maal ki hifaazat kar lete hain. Ye Haaji ko haasil hone waale kam-tareen fawaaid hain."
(Sawaabul Aamaal, p105)


⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜