Monday, 11 January 2016

HALAL GHEZA

Quran: (167)

(بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ)
🍴
(يَا أَيُّهَا النَّاسُ كُلُوا مِمَّا فِي الْأَرْضِ حَلَالًا طَيِّبًا وَلَا تَتَّبِعُوا خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ ۚ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ)

"Aye logo! Zameen mein jo HALAL aur PAAK cheezen hain unhen khao aur Shaitan ke batay hue raston  par na chalo, woh tumhara khula dushman hai."

(Surah Baqarah: 168)

----------------------------------------------
Hadith :

Imam Sadiq (as):

"Apni KAMAAI (Income) ko paak karo taake tumhari Dua QUBOOL ho, kyunki EK Haraam luqma khane se 40 din tak Dua qubool NAHI hoti."
(Meezan ul Hikmah, v3)

Rasule Khuda (saww):
"Ibaadat ke 10 hisse hain, jiske 9 hisse HALAAL ROZI haasil karne mein hai."
(Sharh Dua e Kumail)

Rasule Khuda (saww):
"Haraam ki maamuli si raqam ko chhod dena Allah ke nazdeek aise 100 Hajj se zyada mehboob hai jo Halaal maal se adaa ki jaaye."
(Meezan ul Hikmah, v2)

Thursday, 7 January 2016

Namazo ki rakate mukhtalif kyu

Imam Jafar-e-Sadiq (a.s) se kisi ne poocha:

Yeh Namazo ki rakate mukhtalif kyu hoti hai?

Imam ne farmaya,

Bunyadi tour par 2 rakate farz thi,
🍃🌹Jab Ali (a.s.) ne Zahoor kiya toh Hazoor Pak (s.a.w.w.) ne shukarane ki 2 rakate Asar mein padhi toh woh Allah ne 4 farz kardi.

🍃🌹Phir Janab-e-Syeda (a.s.) ki aamad par Maghrib ki namaz mein ek rakat shukarane ki ada ki toh woh 3 rakat wajib ho gayi.

🍃🌹Phir Hasnain (a.s.) ki aamad par 2, 2 rakate shukrane ki ada ki toh Isha aur zohar bhi 4,4 rakat ho gayi.

Imam farmate hai ke,

🍃🌹yehi wajah hai ke jab koi Halat-e-safar mein hota hai toh Hum apna Haq us se utha lete hai, lekin maghrib ki namaz 3 rakat hi ada ki jati hai, woh 🌹Haq-e-Zehra (s.a.)🌹 hai jo har hal main ada karna wajib hai.

REF: Ellal-ul-sharah'ay

Tuesday, 5 January 2016

Raza Sirsivi (Ashar)

One of the best nazm of Raza Sirsvi sahab recited last night in Majlis organised in rememberance of Martyr Shekih Baqir An-Nimr in Imam bargah Sadat sirsi.

Hai dahsardgard jitne dushmane Islam sare hai,
Naqab Islam ka oode ye sb chele tumhare hai,

kaha Islam or kaha dahshatgard, akal k maaro,
humare sar pe ye rakhe hue ilzam saare hai,

band aankho se bhi dekhoge to Islam or dahshat,
kabhi Jo mil nahi sakte ye do aise kinare hai,

Faqat Islam hi dushman hai dahshat ka zamane me ,
ye hi ek jurm hai or sab ke sab dushman humare hai,

Miya tum 11 September ke ek hamle pe cheek uththay,
kabhi socha hai kitne begunah khud tumne maare hai,

Kisi bi dour Ki tareeq khud hi dekh lo padh kar,
Tumhare damano par khoon ke dhabbe humare hai,

Tumhe maloom hi kya hai kise Islam kahte hai,
ye usse puchiye faaqo me din jisne guzare hai,

Aijayab ghar me jitne Taj rakhe h Kisi ke Ho,
sina Ki nok par jitne bi sar hai sb hmare hai,

Ali a.s ke ishq me sadiyo se maqtal or zindan me,
ye humse puchiye kaise din hmne guzare hai,

Hume Baghdad Ki diwar me hai jinda chunvaya,
Zaban ghuddi se khichi hai badan se sar utare hai,

Magar Tariq shahid hai ke itne zulm sah kar bhi,
Na humne haq ko choda hai na hum himmat me haare hai,

Ohad me badar me siffien me khaiber me khandaq me,
Ali e murtuza a.s ne saare dahshatgard maare hai,

- Raza Sirsivi

Neki & Gumrahi ki Daawat Dena

Majmaul bayaan me marqoom hai ke Hazrat RasoolAllah (saww) ne farmaaya:

Jo shakhs logo ko neki ki daawat de aur iski tableegh ki wajah se jitne log, neki par amal kare to, Allah Ta'aala daawat dene waale ko in sab afraad ki nekiyo ke mutaabiq ajr dega, jabke neki karne waalo ke ajr me bhi koi kami nahi karega

Aur jo shakhs logo ko gumraahi ki daawat de aur uski daawat ki wajah se jitne log bhi gumraah ho, to un sab ki gumraahi ka bojh daawat dene waale ki gardan par hoga, jabke gumraah hone waale logo ke azaab me bhi koi kami nahi ki jaayegi.

(Tafseer e Noorus saqalain,j 5,pg 57,moallif:Allaama khabeer sheikh abd e alal hovaizi)